Coffee With REDROSE- Waqas Naseer

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
answer

COFFEE WITH RR​


PART 1



mera asli naam waqas naseer hai.

main mardan sheher main peda hua aur tareekhe pedaish 26 feb 1992.

main star pe yakeen nahi rakhta.

main fsc k last year main hoon.

main mobile software engineare hoon.

hum 5 behen bhai hain aur main sab se pehla hoon.

main abhi bhi pakistan main rehta hoon.

tm main aik dafa mera jhagra pari se hua tha wo shayad yadgar rahe.

mere liye ideal personality HAZRAT MUHAMMAD (S.A.W) hain.
 

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
COFFEE WITH RR​



PART 2


mera pasandidah khana chawal hai.

sweat dish main kheer bohot pasand hai.

pasandidah rang green.

newzealand and auckland pasandida sheher hai.

pasandida programs main informative jo ho aur zyada ter islam k lihaz se.

mosame bahar ye aisa mosam hai jis main kisi bhi kism ki pareshani feel nahi hoti.

main sher shayari nahi perhta.

mujhe cricket khelna pasand hai.

rishte Allah tala ki taraf se hum per bohot bara ahsaan hain aur mere liye sabhi rishte best hain.

mera pasandidah libas shalwar kamees hai, aur ain nihayat aam aur sadah tareeqe se jese k log pehente hain, khas tor jese pathan pehente hain.
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
kuch sawal mere b answer kar do:D
1- ghussa kab aata hai? kyun aata hai? kis baat pe aata hai?
2- ghusse k waqt kya eraction hota hai? control karte hain? ya saara ghussa kisi na kisi tarah nikla dete hain?
3- aapki sab se bari khuwahish kya hai?
4- logon se first time mulaqat main un ki personality main kya baat note karte hain?
5- aap k nazdeek, insaan ki izzat ziyada ehmiat rakhti hai ya daulat?
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
assalam o alaikum
kuch sawal hn waqas..:)
1=dil ki mante ho ya dimagh ki?
2=zindgi kb buri lgti hai?
3=ap kb se likhte hn ap,or kese shok huva?
4=koi esa lamha jis ne apki zindgi badal di ho?
5=ap taqdeer pe yaqeen rakhte ho ya tadbeer pe?
 
  • Like
Reactions: waqas naseer

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
kuch sawal mere b answer kar do:D
1- ghussa kab aata hai? kyun aata hai? kis baat pe aata hai?
2- ghusse k waqt kya eraction hota hai? control karte hain? ya saara ghussa kisi na kisi tarah nikla dete hain?
3- aapki sab se bari khuwahish kya hai?
4- logon se first time mulaqat main un ki personality main kya baat note karte hain?
5- aap k nazdeek, insaan ki izzat ziyada ehmiat rakhti hai ya daulat?
nelli behen main pehle bhi bata chuka hoon k jo shakhs befazoole baatain kerta hai to mujhe us pe bohot ghussa aata hai, mujhe kisi bhi kisam ki fazool bakwas pasand nahi.

ghusse k waqt main control ker leta hoon kyun k ghusse main koi bhi kaam kerna theek nahi.

khwahishain to sab ki hoti hain mager kamyab wo hi hota hai jo apni nafsani khwahishat ko daba ke rakhta hai.

janab main akser baaton se pehchan jata hoon k agla aadmi kesa hai.Allah ka bara karam hai.

mere nazdeek insan ki izzat bari hai.
 
  • Like
Reactions: Nelli

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
COFFEE WITH RR



PART 3




main 1 saal pehle koi acha pakistani forum dhoond raha tha to mujhe google main tm mil gaya.

2. mera tm main pasandidah section tm contest hai aur wo mujhe is iye pasand hai k wahan per maine apne bohot se contest start kiye hain.

3. tm main mera pasandiah member nasir bhai hain kyun k wo mere best friend hain.

4. hamesha kuch naya kerne ka sochta hoon, jis se tm ko faida pohonche .

5. tm k aik khusoosiyat hai, wo ye k yahan per suggestion section hai jis se sabhi member ko apni rai pesh kerne ka ihtiyar hai.

6. tafreeh mela ki khami bhi same hai k yahan suggesion to liye jate hain per kiya wohi jata hai jo admins chahain.

7. meri dosti zyada ter nasir bhai se rahi aur is ki bunyad hamari aapas main khuli aur ikhlaqi gapshap hai.

8. ager mujhe aik din k liye tm ka admin bana diya jai to main urdu adab section ko farogh doonga, members ko opportunities doonga, etc.

9. i think tm already aik ache makam per hai mager thori aur mehnat chahta hai, yahan admins ko sochna chahiye k tm main members ko us section ka mod banain jo us section ka mahir ho.

10. tm k members ko ye hi pegham doonga k wo ittehad qayam karain. thanks
 

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
assalam o alaikum
kuch sawal hn waqas..:)
1=dil ki mante ho ya dimagh ki?
2=zindgi kb buri lgti hai?
3=ap kb se likhte hn ap,or kese shok huva?
4=koi esa lamha jis ne apki zindgi badal di ho?
5=ap taqdeer pe yaqeen rakhte ho ya tadbeer pe?
1. anaaya main dil o dimagh dono ko sahi manta hoon.

2. Allah ka shuker hai zindagi kabhi buri nahi lagi, ye to Allah ki meherbani hai ye kese buri lag sakti hai.

3. main bachpan hi se likhta hoon mujhe choti choti bachon ki kahaniyan perh ker ye shok hua.

4. mujhe koi aisa lamha yad nahi.

5. taqdeer to Allah tala ne bana di hai lekin Allah tala ne hamain ye taqat ata ki hai k hum her cheez ko soch samajh sakain so dono pe.
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
g thek kaha..
thnx


1. anaaya main dil o dimagh dono ko sahi manta hoon.

2. Allah ka shuker hai zindagi kabhi buri nahi lagi, ye to Allah ki meherbani hai ye kese buri lag sakti hai.

3. main bachpan hi se likhta hoon mujhe choti choti bachon ki kahaniyan perh ker ye shok hua.

4. mujhe koi aisa lamha yad nahi.

5. taqdeer to Allah tala ne bana di hai lekin Allah tala ne hamain ye taqat ata ki hai k hum her cheez ko soch samajh sakain so dono pe.
 

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
answers

COFFEE WITH RR​



PART 4


1. admin aur co-admin dono hi ahem hain in k baghair forum nahi chal sakta.

2. mere khayal se modiration k lihaz neilli.

3. mere liye to ferry hi best hai kyun k wo mera dost hai.

4. pakistan is the best.

5. mere khayal main pesha bohot zaroori cheez hai ise pehle seekhna chaiye, kyun k baad main main ye aap k kaam aata hai.

6. mere khayal main to dono hi best hain chahe sacha dost ho ya qareebi rishtedar dono ka ahem kirdar hai.

7. apni zndagi main dil o dimagh dono se kaam lena zaroori cheez hai sirf aik se kabhi nahi banti.

8. hum to chai bohot peete hain kofi bohot mehengi hai.

9. internet bohot hi zyada achi cheez hai ager koi sahi istemal kare to.

10. aitedal k saath kaam lena behter hai na zyada jama kiya jai aur na hi kherch, haan ager aap sahib e istetaat hai to jitna dil khol k zakat khairat karain to ye aap k liye behter hai.
 

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
COFFEE WITH RR

1. Main bachpan main jana pasand karoon ga.

2. mere khayal main internet per relationship theek nahi.

3. janab main subha nimaz k waqt uthta hoon aur raat 10 ya 11 so jata hoon abhi kuch din se main gharelu masroofiyat k baas be waqt uthta aur sota hoon mager inshallah din aadh main phir se wapas apni ruteen pe ajaoon gA.

4. gher main main tab ghussa hota hoon jab mujhe aik hi mertaba aik kam ka nahi kaha jata balke alahida phere lagana perte hai aur acha tab lagta hai jab aik hi bar main sab kam karoon.

5. jo log mujhe samajh sakain aur meri adatain berdasht kersakain wo jald mujhe attract kerte hain.

6. mere khayal main shadi tabhi kerni chahiye jab aap wo zimedariyan sambhal sakain.

7. dost mushkil main kam ata hai aur muhabbat se dil ko sukoon hasil hota hai.

8. auckland,,,,,,,,,

9. main g sochta bohot hoon.

10. bohot acha laga.


 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Thanks Waqas Naseer ap ne apna qeemti time hamay dia or sab questions ka answer dia

aik choti se duwa TM ki taraf se:


I wish you a life full of smiles and happiness. Wishing you a successful life with contentment and peace.​

 
  • Like
Reactions: Nelli

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Thanks Waqas Naseer ap ne apna qeemti time hamay dia or sab questions ka answer dia

aik choti se duwa TM ki taraf se:


I wish you a life full of smiles and happiness. Wishing you a successful life with contentment and peace.​

Thanks so much to all members of tm.
 
Status
Not open for further replies.
Top