~*~ cigarette smoking is injurious to health ~*~

  • Work-from-home

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
nice sharing bro, meri family me koi kisi taree k ki nashey ki buri aadat me nai hai alhumdulillah...mujhe to apne dost per ghussa ata tha wo bike chalata tha to mere pore mun per dhuwa ata tha cigrete ka ja hum ghumne jate they{(nea)}
akhir mene uski cigrete ki aadat chora di ahista ahista {(ok)}
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
ohhh wah wah wah....bahut hi khubsurat sharing Arshad Bhayi....& Welcome Back....
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
walaikum assalam
very useful thread Qasim bhai:) JAZAKALLAH khair
wese aaj hi is topic pe mene bot socha aur thora discussion b hua ghar main........actually aaj mere chachu aaye hue the hamare ghar aur mere dad kabi b smoke nai karte na hi doosre chachu but ye mere wahid chachu hain jo ek din main cigarettes k do do packet khatam kar jaate hain
aaj b mere dekhte dekhte inhon ne half packet toh khatam kar diya in about 2-3 hours aur ash tray jab mene dekha toh hairani hui aur tabi mene cigaratte packet jo table pe hi para tha us pe parha tha saamne front pe itne bari writing main waziya likha tha k cigarette smoking se mouth cancer ho sakta hai
toh mene wo utha k chachu se bola k batayen ye kya likha hai, he red it to me aur fir mere taraf dekhne lage:D tab mene kaha k sirf parhen nai balki in words pe ghaur b karen k khud cigarette banane wale warn kar re hain is k affects se toh aap toh jaan bhooj k apni sehet k saath zulm kar rahe hain
toh un ka reply yehi aaya
k jab main tens hota hun toh cigarette se mujhe sukoon milta hai...........aur usi tarah addiction bharti jaa rahi hai
muje kaafi dukh hua k chachu apni sehet khud tabah kar rahe hain jab k acchi sehet toh ALLAH ki nemat hai aur hamen shukar ada karna chaiye but is tarah jaan bhooj k sehet tabah karna goyah khuda ki nemaaton ko thukrane k barabar hai
ek aur baat.............k wo bot fit hua karte the, skin colour b proper white tha, build b slim ya fit keh sakte hain, aur ek dum 100% healthy hau karte the
but abi sirf 10 yrs main..........jab se smoking start ki tab se chachu kaafi motay ho gaye hain, colour ek dum black koyle jesa ho gaya aur aankhen b itni red, baal b white ho rahe hain aur kaafi rookhe b
:(
:(
ALLAH hamen naik raasta dikhaye aur esi buri cheezon se bachne ki tofeeq ata farmaye(Ameen)
assalam o alaikum doston

main arshad kaafi dinaon baad firse aapki khidmat me ek naye thrd k saath haazir e khidmat hon.waise naam se hi pata chal gaya hoga.laikin main yahan saath hi saath is laanat se kaise chutkaara paaya jaaye uski chund shaklen bhi bayan karunga.

cigarette naushi turk karne par jo pareshanian aapko pesh aayengi usse kis tarha nimta jaaye.

pareshanian : cigarette naushi ki chahat aur uski yaad.
solution : mufeed aur pasandeeda cheezaon ki aadat daaliye.fruits ka istemal karte rahiye.

pareshanian :mizaaj tabdeel hone ka ehsaas.
solution :gahri saans lia karen.

pareshanian :susti aur thakaan ka ehsaas.
solution :neend keliye munasib waqt dijiye.

pareshanian :mu aur halaq ki khushki ka ehsaas.
solution :ziada meqdaar me paani aur juice ka istemal kijiye.

pareshanian :sur chakrane ka ehsaas.
solution :fresh air me chahalqadmi kijiye.

pareshanian : bhook ka ehsaas.
solution :chewing gum ka istemal karen.

pareshanian :hazame ki shikayat.
solution :fruits ka istemal kasrat se karen.

isi tarha aur bhi dosri mushkilat ka samna karna padh sakta hai.laikin saath hi uska hul bhi maujood hai.lehaza hame is khatarnak aadat se chutkaara hasil karna chahiye.

ab aayie cigarette naushi turk karne par hone wale fawayed par nazar daalte hain.

1 . aakhri cigarette naushi k 2o min.k baad.
qoone(blood circulation) ka dauraan normal hojata hai.
dil ki dhadkan normal hojati hai.

2 . 8 hours k baad (after 8 hours).
qatarnaak corbondioxide ka blood se kum(less) hona shru hojata hai.
blood me aam taur par oxygen ki meqdaar ziada hojati hai.

3 . after 48 hours.
saare aasaab nicotene ko qatam karna shru kardete hain.
hazame ki salahiat me bahetri aajati hai.

4 . after frm one week to 3 weeks.
blood circulation baheter hojata hai.
runnig karte waqt thakaan ka ehsaas nahi hota.
20% se ziada lungs work karna shru kardete hain.

5 . ek mahine k baad se 9 months tak.
khaansi aur thakaan ka ehsaas qatam hojata hai.
jism ki quwwat ziada hojati hai.
lungs se siah maadda(black colour) ghayeb hona shru hojata hai.

6 . after one yr
dil ki bimariaon ke sabab wafat ka ehtemaal qatam hojata hai.
cancer ka qatra kum hojata hai.

to ye rahe fawayed to cigarette naushi turk karne par hame milte hain.to doston hum aaj hi ye tahiyya karen k hum is laanat se chutkaara haasil karne ki bharpoor koshish karenge.


 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
to theek hai aap apne chachu ko is baare me batlayyie k cigarette naushi kis tarha turk ki jaasakti hai.hosakta hai k wo aapki baat maankar is laanat se chutkaara hasil karlen.aur iska ajr Allah aapko bhi dega inshaAllah.k aapne ek zindagi bachaayi.
 
  • Like
Reactions: Nelli

ENCOUNTER-007

Newbie
Feb 10, 2011
516
834
0
Medan e Jihad


یہ ایک نشہ ہے جو انسان کو آہستہ آہستہ تکلیف دے دے کر مارتا ہے
عام طور پر یہی خیال کیا جاتا ہے کہ نشہ چھوٹ نہیں سکتا،
بہت سے لوگ دیکھے ہیں جو چین اسموکر تھے لیکن انہوں نے ارادہ کیا یا کسی تکلیف میں مبتلا ہوئے چھوڑ دیا، ہاں کچھ تکلیف تو ضرور ہوتی ہے کسی بھی نشہ کو چھوڑنے پر لیکن آہستہ آہستہ اور ترتیب سے اگر نشہ چھوڑا جائے تو کافی فائدہ رہتا ہے۔
سگریت نوشی ہمارے ہاں ایک فیشن بن گئی ہے چھوٹے چھوٹے لڑکے فیشن کے طور پر یا بھرم میں یہ نشہ کرتے ہیں اور اس کی بنیادی وجہ ہماری ایڈورٹائزنگ اور میڈیا ہے جو ایسے اشتہار پیش کرتی ہیں جن سے یہ زہر پھیل رہا ہے ۔ ہمیں میڈیا کے ان رویوں سے بھی احتجاج کرنا چاہئے، اور دباو ڈالنا چاہئے۔ اللہ تعالی ہماری حفاظت فرمائے
 
  • Like
Reactions: Nelli

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
very nice sharing smoking to such main is muashre ki sab se bari burai hai jo nojawan nasal ko tabahi ki tarf le ker ja rahi hai mujhe to samjh nahi aata log smoking karte hi kyun hain mera bass chale to ek cigrate peene per pure 100 rupe ka jurmana aayid kardun i realy hate smoking zyada afsos tab hota hai jab kisi bache ko action se cigrate ka dhuwan nikalte hoye dekhta hon to be ikhtiyar sochne beth jata hon yeh nayi nasal kis raaste ki tarf gamzin hai so meri sab bhaiyon se yehi appeal hai ke plz is jaan leva adat se chutkara hasil karen afterall ap logon ko hi agay chal ker is mulk ki baag dor sambhalni hai islye meri ap logon se sirf itni si guzarish hai ke jitna mumkin ho smoking se dur rahen or phir bhi agar apka dil karta ho cigrate peene ka to sirf GOLD LEAF hi piyen kyunke yeh sasti b hai or iska flavour b bohot mazedar hota hai or to or 10 packets ka roll khareedne per ek packet free b milta hai
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Serious Topic hai shayed...Ulte mashvere kyun dete ho chote bacchon ko..huhhh({smilestar)}
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
bas bas rehne do ek to mashwaren do oper se baaten b suno ainda koi mashwara dunga hi nahi this is my first n final mashwara
 
Top