Bohot muddat k baad kal jab
kitaab-e-maazi ko maine khola
bohot se chehre nazar main utray
bohot se naamo pey dil bhar aya
joh safah sab se mohtbar tha
kuch aansu phir us par tapkay
phir is sey agay main pardh na saki
kitaab-e-maazi ko band kar k
teri yaadon main kho gai main
agar tu mil jata toh kaisa hota?
inhi khayalon main sogai main...!!!