Beauty Parlors

  • Work-from-home

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May

Beauty Parlor

Mardon, khas tour per shohron aur waldain ki pocket per hamla our “Beauty Parlours” ki wabha baday shehron ka fashion zada ilaqo ma hasher bapa kernay ka bad rafta rafta chotay sheron say hoti hoe aub qasbon aur dehat tuk aa phunchi hay. Dil lugti bat tu yeh hay k beauty parlors ku make up parlor kehna chahye q k akser beauty parlors may khwateeno hazrat k sath jis wadat k ertikab kiya jata hay us k nateejay may unkay chehray per beauty nam kit u koi cheez dikhaye nahi deti al batta unki karagarisay unka asal chehra xaror chup jata hay. Hamaray nam nohad rehnuma (leaders) aur hukmaran aik chehray per kaye chehray sujwanay k liye yaqeenun kisi na kisi khufiya beauty parlor ki khidmat he sa istifadha kertay hay. Is lehaz say yeh siyastdano aur hukmarano k liye baday kam ki cheez hay q k who unki hasbay mansha chehra aur girget ki tarah rang badalanay ki xarorat puri kertay hay aur sirf hukmaran aur siyasatdan he nahi unki madad say aam shatter admi bhi chehray aur rang badaltay hay,

Kisi shayer nay kiya khoob kaha hay:-

“ Jub bhi chahay ek naye surat bana letay hay log
Aik chehray per kaye chehray saja letay hay log”

Beauty parlor bhi achi aur buri kargerdagi k hamil hotay hay, maher beauticians ki khidmat k hale aur miyari cosmetics ka istemal kernay walay beauty parlors bila shubaaisi hastiyon ku bhi waqti tour per he sahi abilay deed bana detay hayjinhay make up k begair hosan parast logo ki taraf say “na munh na muttah jin pahron luttha “ jaisy dialogue say nawaza jata hay.

Kalay kuway ka sa rang roop rakhnay walay humaray aik aisy he class fellow ku aisi gori chitti larki ku apni dhulhen banay k kahwahish mund thay k jis ki anday jaisi rangt aur bareek o mulyem skin ki wajah say pani peetay howay uski gerdhan ki skin say neechay jata dekhae day jub k janab ki apni halat yeh thi k jub wo 7up peetay tu uski gerdhan may neechay utertay howay unki skin may say who coca cola nazar aati thi. Is kari shaert aur khud masoof k rango roop ki wajah say uskay waldain k liy dhulhen talsh kernay ka kaam joeys her lanay k mutradaf tha. Kafi tago dhood k bad at last us ki shadi jis larki say hoe who apnay waldain ki hoshiyari aur kisi mushtaq beauty parlor ki funkari ki wajah say hujla aroosi may chand ka tukra lug rahi thijis per humaray dost “kalay Mian” khushi say phoolay nahi sama rahay thay magar hye re qismat! Agli subah jub dhulhen munh dhoo ker apnay asli roop may uskay samnay aaye tu kalay mian k saray suhany sapnay chikna choor ho gaye, dil dooray sat buchnay k liye masoof waha say forum uraun chooo ho gaye, tooti fruit shayer usay apnay lafzoo may youn biyan kertay hay:-

“ Palat ker Dhulha aisa bagha phir nahi wapis aya
Subah sewary Dhulhan nay jub apnay munh ku dhoya”

Youn tu dilkush bunnay ki dour may mard bhi kisi say peechay nahi hotay hay magar beauty parlors ki amdni ka asal aur permanent waseela khawteen he hoti hay. Khas tour aisi kahwateen k jin ki natural beauty ki suratay hal is shyer k mehboob ki si hoti hay, “ meray mehboob ka chehra chand jaisa hay aur chand may hazaroon khudday hay, tu beauty parlors ka peecha nahi chorti.



“Beauty parlor janay say pehlay
Who ek masoom bhuriya lug rahi thi
Magar make up kerwa ker jub who nikli
Badi aafat ki puriya lug rahi thi”
 
  • Like
Reactions: Atif-adi
Top