~*~ bada zarf ( broad minded ) ~*~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
بسـم الله الـرحمـن الرحيـم

السـلام و عليكـم




Lyndon jhonson america ka 36th president tha.wo 1908 ko paida hua.1973 me uski wafat hui.wo chahta tha k america ko azeem samaj banaye.iskeliye isne mukhtalif iqdaamaat kiye.inhi me se ek hijrat k qaanoon(law) me tabdeeli tha.

jhonson ne subse ziada ahmiat ilm aur taaleem ko di.iska kahna tha k america k mustaqbil k baare me hamari jo umeedein hain isme subse ziada ahmiat taaleem ko hai.america berooni dimaghaon ka isteqbaal karta hai.taahum is silsile me jhonson se pahle ek wukawat haayel thi.america me sufaid faam(white colour) logaon k liye nurm qawaneen thei.laikin siah(black) logaon keliye bade saqt qawaneen thei.iski wajah se america apne aksar kamaon me black colour logaon ko ziada istemal nahi kar pata tha.

lyndon jhonson ne iqtedaar me aane k baad hijrat qawaneen me tabdeeli kardi isne siah(black) logaon k daakhile par se tamam qaanooni pabandian utha lin isne kaha hamey logaon ki mahart ki zaroorat hai hamey unke chamre(skin) ki zaroorat nahi.

ye ek misal hai jisse andaza hota hai k is dunya me badi taraqi haasil karne keliye aadmi ko kia kuch karna parta hai.wo ye hai k wo logaon ki salahiataon ko dekhe aur baqaya tamam pahlauoan ko nazar andaz karde.

badi kamiyabi keliye bada zurf darkar hota hai.laikin hamare mumalik me aksar iske barkhilaaf hota hai.jiski wajah se hum unki salahiataon ko istemal nahi kar paate.
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
walaikum assalam
MASHALLAH bohat khoobsurati se aapne tamam halat pe roshni daali hai bro n its true n necessary k sab k saath barabri ka sulook kiya jaye, ISLAM main b yehi kaha gaya hai:)
JAZAKALLAH for sharing
hamen khud se na sahi taraqqi yafta mumalik se hi seekh lena chaiye, at least kuch na kuch behtari toh hogi na INSHALLAH
 

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
bht zaberdast bhai, insan ki asal khobsorti us k huner us ki salahiyat n us ki seerat hoti hai, hume kisi bhi insan ko us k rung se us k region se us k culture se nai dekhna chaiye, chahe ameer ho ya ghareeb gora ho ya kala, Allah k agey sab ek jese hain
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalam u alaikum
boht umdah sharing..
sachi baat to ye hai wohi aqwan aage bharti hain jo apni salahiton ko jan leti hain or phr un ka darust istamal krti hain..
rang,nasal,zaat ye sb kisi b insan ko janchne ka miyar kbi nhi hota.bal'k us k andr ka insan us ki salahiten or us ki qabliyat ki us ki pehchan hoti hai..

btw apka likhne ka andaz acha hai..

is dunya me badi taraqi haasil karne keliye aadmi ko kia kuch karna parta hai.wo ye hai k wo logaon ki salahiataon ko dekhe aur baqaya tamam pahlauoan ko nazar andaz karde.
badi kamiyabi ke liye bada zurf darkar hota hai..
umdah..
 

sOhNi_

Super Star
Sep 4, 2010
5,507
3,502
1,113
really very nice sharing .....
keep writing...
and
keep sharing....
Khush Rahien
 

ENCOUNTER-007

Newbie
Feb 10, 2011
516
834
0
Medan e Jihad


رسول اللہ ﷺ کی فکری تربیت اور تزکیہ میں ایک خوبصورت اسوہ نظر آتا ہے، ہجرت کے بعد مہاجرین و انصار کے درمیان مواخذات، جو اس کی روشن دلیل ہے اور پھر آپ دیکھیں کہاں کا بلال، کہاں کا ابو ذر غفاری، کوئی مہاجر کوئی انصاری لیکن سب ایک قائد اور ایک نظم کے تحت،
اور پھر حجۃ الودع کا عظیم خطبہ کسی کالے کو گورے پر اور کسی گورے کو کالے پر ، کسی عجمی کو عربی پر اور کسی عربی کو عجمی پر کوئی برتری نہیں۔ برتری صرف تقوی ہے،
یہی وہ مختصر سی جماعت تھی جس نے دنیا کی بڑی بڑی عظیم سلطنتوں کو لپیٹ دیا۔
حقیقت یہی ہے کہ ہم اپنے اسوہ رسول ﷺ سے دور ہوگئے ہیں اور غیروں نے ان چیزوں کو اپنا اصول بنالیا،
ہمارے ہاں بھی کوئی اچھی صلاحیت کا مالک ہوتا ہے وہ فورا بیرون ممالک نکلنے کی کوشش کرتا ہے اس کی وجہ ہمارے ہاں ایسے باصلاحیت لوگوں کی کوئی قدر نہیں ہوتی۔
شکریہ جناب
 

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Walaikum salam Wrwb!
MashAllah buhut achi mauzu aapne share ki..wakiye mei insan ki pahchan uske talent and salahiatu se huti hain voh banda kaunse color ka hain ya kaisa dekhta hain thats not important...jaisa Encounter bro ne bhi kaha:
ہ کسی کالے کو گورے پر اور کسی گورے کو کالے پر ، کسی عجمی کو عربی پر اور کسی عربی کو عجمی پر کوئی برتری نہیں۔ برتری صرف تقوی ہے،
JazakAllah Khair...
 
Top