Hum ko kis ke gham ne maara yeh kahani phir sahi
Kis ne tora dil hamara yeh kahani phir sahi
Dil ke lutne ka sabab poocho na sab ke saamne
Naam ayega is main tumhara yeh kahani phir sahi
Nafraton ke teer kha kar doston ke shehar main
Hum ne kis kis ko nahi pukara yeh kahani phir sahi
Kia batayen pyar ki baazi wafa ki raah main
Kon jeeta kon haara yeh kahani phir sahi