Ajab Pagal si Larki Hain

  • Work-from-home

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
Ajab pagal c larki hai
Mojhe har khat main likhti hai
Mojhe tum yaad kartay ho
Tumhain main yadd ati hon
Meri batain satati hain
Meri nendain jagati hain'
Meri ankhain rulati hain
December ki suhneri dhoop main..ab bhi tehaltay ho
kisi khamosh rastay say koi awaz ati hai..
Thetarti sard ratoon main tum ab bhi chat pay jatay ho..
Falak k sab sitaron ko meri batain sunatay ho..
kitabon say tumharay ishq main koi kami ayi
Ya meri yad ki shiddat say ankhon main nami ayi..
Ajab pagal c larki hai
Mijhe har khat main likhti hai..
Jawaban usay likhta hon..
Meri masrofiat dekho..
subh say sham office main.. chiragay umr jalta hai
phir us k baad dunya ki.. kayi majborain pa'on main behdhian dal rakhti hain
mujhay bay fikr chahat say bharay sapnay nahin dikhtay
tehalnay,jagnay,ronay ki muholat he nahin milti
sitaron say milay ab arsa hwa..... naraz hon shayad...
kitabon say shagaf mera.. abhi wesay he qayam hay
farq itna parha hai ab unhain arsay main parhta hon


tumhain kis nay kaha pagli
 
Top