Aankh barsi hai tere naam pe sawan ki tarah
Jism sulgha hai teri yaad main eindhan ki tarah
Louriyaan dein hain kisi qurb ki khakhish ne mujhe
Kuch jawani k bhi din guzray hain bachpan ki tarah
Is bulandi se mujhe tou ne nawaza kyun tha ?
Gir k main toot gya kaanch k bartan ki tarah
Mujh se milte hue yeh baat to soochi hoti
Main tere Dil main sama jaon ga dharkan ki tarah
Muntazir hai kisi makhsoos si aahat k liye
Zindagi bethi hai dehleez pe barhan ki tarah