2 Sawalat ka baqaya Hissa(pls ek dafa aakhir tak zaror perhiey ga)

  • Work-from-home

nasirnoman

Active Member
Apr 30, 2008
380
574
1,193
Assalam-o-Alikum All friends

tamam un doston sey guzarish jo pehley is post ko click ker rahey hain:
is post ko perhney sey pehley ap log humari post 'tamam logon sey do sawalat(pehla sawal) and dosri post "tamam logon sey do sawalat(dosra sawal)" pehley ye do post ko read ker lijiey ga taakey phir apko bat samjh aaey gi,key kehney waley ka kia maqsad hai.

or ab humari un tamam doston sey guzarish hai jo pehli post or dosri post perh chukey hain key ye is book "andhrey sey Roshni tak" ka aakhri hissa zaroor zaroor aakhir tak or tawajey sey thori himmat kerkey lazmi perhiey ga.taakey aap log humari is 03 post ka bohat ziada eham maqsad samjh sakain,
kio key akser log ye bat samjhtey hain key ye firqey key ikhtalafat to qayamat tak chaltey rahain gey,or is sey kia nuqsanaat hain?her firqey key log ek hi tarha Namaz bhi perhtey hian , Roza bhio rakhtey hain, Zakat bhi detey hain,or ek hi tarha sey Haj bhi kerty hain phir Islam ko kia nuqsan pohanch sakta hai?

Mager doston esa nahi hai ager hum issi tarha in ikhtalafat key sath chaltey rehy to hum kis rastey per pohanch saktey hain ye janney key liyain is book ka ye aakhri hissa aakhir tak zaror perhiey ga.

Phir apko bat samjh aajey to koshish kijiey ga ziada sey ziada logon tak ye pegham pohnch sakey,ye soch kern a umeed na hoiey ga key is nafsa nafsi key dor main humari is koshish ki kia ehmiat hai,mager ye zehan main sath rakhiey ga “Us nanhi si churia jab Hazrat Ibrahim Alhey Assalam ko aag main dala jar aha tha to wo apni nunhi si chonch main pani ki ek boond lati or aag key pas gira deti to kisi ney poochha key A nunhi churia kia teri is nunhi si boond sey ye aag bujh jaey gi to is per us churia nay kaha key main janti hoon key meri is koshish sey aag to nahi bujhey gi mager roz-e-qayamat main tamasha dekhney walon ki suff main nahi khhara hona chahti aag bujhaney walon ki suff main khhara hona chahti hoon”

Doston hum ney apna faraz ada kerney ki koshish ki hai taakey hum bhi us suff main shamil hojain ab aap logon ko apna faraz ada karma hai.

Allah Taala humain sahi maanoo main Hazoor Sallaho Alihey Wassalam key ehkamat ko samjhney mian humari Madad farmaey.Ameen

Duaon Ka talabgar

Nasir Noman
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top