Tehreek Insaf Ke Chairman Imran Khan

  • Work-from-home

Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
Tehreek insaf Ke chairman Imran Khan 25 November 1952 ko paida huye. Imran khan ne 16 saal ki umer mein 1969 ke doran aalmi cricket khelna shuru ki. In Ke khel ka safar mukhtalif kaam yabiyon se hota hua, 1992 mein bator captain Pakistan ko world cup jitwane ke oruj tak puncha. Inhon ne world cup jeet kar Pakistani awam Ke dil jeet liye



Shaukat Khanum Cancer Hospital ke Qayam

Imran Khan ki walda cancer jaise muzi bimaari ka shikar ho kar chal basi. Is waqaye ne in ki zindagi ka rukh badal dia aur inhon ne Shaukat Khanum Memorial Cancer Hospital ki taameer shuru ki aur ise takmeel tak punhchaya. Yeh hospital cancer ke marizon ke ilaj ke international meyar ki sahoolaton se aarasta aur nadir marizon ko muft tibbi sahulatein farahum karta hai.

Shaukat Khanum Cancer Hospital ke qayam se Imran Khan mulk aur beroon e mulk mein dard mand insan aur samaji karkun ban ker ubhre. Imran Khan ne Namal University bana kar aik aur roshan baab raqam kia. Ba salahiyat aur khelandre nojawan, play boy ke naam se mashoor Imran Khan ki mulaqaat aik rohani shakhsiyat Mian Bashir se huyi aur in ki zindagi ka rukh badal gia. Imran ne siasat ke maidan mein qadam rakha.

Imran Khan ka Ruhanyat Par Yaqeen

Imran Khan ruhanyat par buhat yaqeen rakhte hain aur inhein Cancer Hospital key qiyam ki taraf raghib karne ka sehra bhi aik ruhani shakhsiyat Muhammad Bashir ke sar hai. Jinhon ne ne Imran ke baqol in ki zindagi badal kar rakh di. Ruhani logon se Imran khan ka wasta pehli bar is waqt para tha jab aik khatoon ne in ki maan key samne yeh inkeshaf kia keh Imran ne bachpan mein Nazrah Quran mukammal nahi kia hala keh khood Imran ne maan ko yeh bata rakha tha keh inhon ne Nazrah Quran khatam kar lia hai. Phir sarhadi ilaqe mein aik shakhs 1987 mein inhein mila, jab Imran Khan Cricket se retirement ka elan kar chuke the. Is shakhs ne Imran se kaha keh Allah ki marzi yahi hai keh tum abhi khelte raho. Agar cheh is waqt Imran ki aisi koi khuahish na thi lekin chand mah baad hi General Zia ul Haq ki darkhust par woh West Indies mein dobara cricket khel rahe the Muhamma Bashir se mulaqaat Lahore mein huyi, inhon ne Imran ko woh teen Qurani Aayat batayein jo in ki maan in ki hifazat key liye parha karti thi, is key ilawah inhon ne chand degar zati noiyat ki batein bhi Imran ko batayi thi. Imran Khan par mzhab aur ruhanyat ka gehra asar hai jo in ki guftar aur tahreeron mein jhalakta hai.

Imran Khan ki Shadi aur Talaq

Oxford University Ke taleem yaftah Imran Khan ne Jemima Khan se shadi ki jo 2004 mein talaq par khatam huyi, in ke do bête Salman aur Qasim hain. Imran ki zati zindagi mein woh waqiyat aise hain, jin ka inhein sab se ziadah malal hai. Pehla maan ka inteqaal aur dusra Jemima Khan se talaq. Imran ko aaj bhi yaad hai Jemima Khan kehti thi “ Tum kamyab huye begheir kab tak siasat karte rahoge” Jemima Khan to na umeed ho kar London lot gayi lekin Imran Khan mayoos na huye.

Siasi Zindagi

1996 mein sabiq captain ne apni siasi jamayat tashkeel di, lekin siasat mein nozaidah hone ki wajah se 1997 ke aam intekhabat mein in ki kar kardagi sifr rahi. 2002 mein Imran Khan pehli bar rukun qomi assembly muntakhab huye 2011 se in ke siasi qd kaath aur moqaam mein nehayat numayan izafa hua hai. Imran Khan ne General Pervez Musharraf aur in ke referendum ki himayat ki Pervez Musharraf ne inhein wazarat uzma ki pesh kash bhi ki lekin in ke kheyalat badal chuke the. Pervez Musharraf ki himayat ko inhon ne hameshah apni siasi na samjhi qarar dia hai. Musharraf ki lagayi gayi emergency ke khelaf Imran Khan ne sakht moqaf ikhtiyar kia aur inhein giraftar karaya gia. Imran Khan ne 2008 ke intekhabat ka yeh kehte huye boycott kia keh woh munsifana nahi hon gay. October 2011 mein Imran Khan ki jamayat aik nayi siasi quwat ban kar Lahore mein aik jalse ki surat mein samne aayi jis mein lakhon ka majma tha. Is hairan kun jalse ne mukhalfeen ko dam bakhood kar dia. Apne pure siasi safar ke doran Imran Khan ne mukhtalif masail ke hawale se thos moqaf ikhtiyar kia.

Inhon ne drown hamlon,

fata mein foji operation

Ghiar mulki imdad aur corruption ki sakht mukhalfat ki.

Woh jagir dararna nizam ke khatme

Tax Nizam mein Islahat ke Hami Hain.

2013 ke aam intekhabat mein tehreek insaf ko aik aise taqat war fareeq ke tor par dekhaya jaraha hai jo do mazboot siasi jamaiton Pakistan People’s Party aur Pakistan Muslim League (N) ke liye sakht khatra sabit ho skati hai tehreek insaaf ki asal quwat nojawan hain.

Imran Khan Cricket khelne key zamane mein khatarnak injury se sehat yabi aur world cup jitney key do bare karishme dikhane key baad ab siasi karishma kar dikhane key mood mein hain, yeh karshma agla alection jeet kar wazir aazam banne ka hoga. Dekhna yeh hai key aaya siasat ki dunya mein ab bhi karishma ronuma hote hain ya in ka dor guzar chukka hai.​
 
Top