Talib E Ishq (episode 4) By Rashk-e-hina

  • Work-from-home

Zahabia

ρяιηcεss
VIP
Jan 23, 2014
14,997
6,868
363
ร๏๓є๏ภє'ร ђєคгt


Kaisey hain sab?? So here we go......


Talib E Ishq ki fourth episode share karny ja rahi hun hopefully apko pasand ayegi kindly do give your feedback :)

TALIB E ISHQ


Episode 4
Zaviyar match khel kar wapis ghar aney ke lia bus stop per khara hota hai. Or bus ke ruktey hi bus ki janib aese lapakta hai jese , " shadi ka khana khula ho or table pe akhiri plate ho ".


Zaviyar foran khali seat dekh kar beth jata hai or bethtey hi aese ankhein band karleta hai jese emtehan ka akhiri sawal haal karlia ho. Thori hi dair bad us ko ek khushbo ka ehsas hota hai woh ankhein khol kar dekhta hai tu braber mai ek larka perfume ki bottle se nahya hua us ki seat k pas khara hota hai. Aesa koi tab tayar hota hai jab kisi se pehli bar milne ke lia ja raha ho ya koi khas mulaqat ho. Hatho mai "dairy milk chocolate" ka packet or "gulab" ki ek kalee transparent shopping bag mai zaviyar ko wazeeh ho rahi hoti hain. Zaviyar ko andaza hojata hai yeh larka is phool ko kisi ki kabar pr nahi balke raah e ishaq mai dene ja raha hai. Zaviyar foran apni seat se uthta hai or us larke ko bethne ka kehta hai or kehta hai ap beth jao mera ghar aney hi wala hai. Us larke k kuch lamhey bethne ke bad hi zaviyar us larke k kandhe pe hath rakh kar kehta hai conductor karaya mang raha hai, larka raah e ishq mai jane ki khushi mai bina kuch sochey foran 100 rs zaviyar ko deta hai or apne utarne ki jaga bata deta hai. Zaviyar woh karae k pese lay kar conductor k pas jata hai jo bus k darwaze pe aese kharey ho kar mukhtalif muqamat ki awaz laga raha hota hai jese titanic ka hero. Zaviyar us conductor ko apne karae k pese deta hai or foran hi stop pe utar jata hai. Or bhagta hua bus ki khirki k pas ja kar us larke ko kehta hai

"Best of luck for your love"


Woh larka khushi se zaviyar ka shukriya ada karta hai. Bina yeh jane ke woh jis maqsad k lia ja raha hai waha ka karaya us ko dugna parne wala hai.

Zaviyar k ghar ke pas atey hi samne waley ghar se awaz atee hai.

"Beta zaviyar zara saleem bhai ki dukan se saman tu lay awo. Parchi un ko di hui hai. Unho ney sab pack kardia hoga tu lay awo"

Zaviyar apne cap ko nechey karta hua saleem bhai ki dukan jata hai or jatey hi ek thandi cold drink lene ke bad kehta hai ke jahangir ke ghar ka saman dey do or cold drink bhi usi bill mai add kar dena .or saman uthane ke lia apne baqi do or dosto ko bhi bula leta hai .sara bhari saman un dosto k sath bhijwa deta hai or khud bad mai 6 andey or 1kg oil lay kar jahangir ke ghar phonch jata hai.itna kam saman dekh kar us k dost herat se us ko dekhte hein or poochte hain

"Bhai naaf tu nahi hate tumhari?”

Zaviyar bhot hi pur etemad andaz mai kehta hai , "mujhey mehnat se kabhi dar nahi lagta"


Or phir jahangir ki ammi sara saman lene ke bad kehti hain aj tumhare dost ki salgirah hai us ko wish kia...


Zaviyar ek dum kehta hai ji aunty hum ney socha tha aj us ko surprice party dene ka. Hum sab dost aj us ke lia gifts lay kar ayein gay ap plz us ko mat batana.


Jahangir ki ammi kehti hain “nahi nahi beta gift ki kiya zarorat hai tum log tu aese hi ajana”


Zaviyar sanjeeda andaz mai jahangir ki ammi ko kehta hai , aunty us ko acha lagega or us ki salgirah bhi yadgar ho jae gi aese .sab tayarian complete hain bas sham ko hum log ayein gey or gift dey kar chale jaein gay,yeh kehte hi zaviyar apne dosto ke kandhe pe hath rakh kar ghar se bahar nikal jata hai , ghar se kuch door jatey hi zaviyar ka dost zaviyar ka hath kandhe se jhatke se hatata hai or kehta hai.


“Bhai tera dimagh tu theek hai hum kab se itney ache hogae ke dosto ki salgirah mai gift dene lage, tumhe shoq hai tum khud salgirah manao humara kio keh dia aunty ke samne ke hum bhi gift dein gay.yeh tu aesi bat hogai jese kisi ne bhooke se roti mang li ho.”


Zaviyar un ko samjhata hai ke sab ka ehtemam ho jae ga tum log fikar na karo mai tum logo se bas kuch saman mangwaoga woh lay ana baqi jo bhi akhrajat honge woh mai sambhal lunga.

Rat ko sarey dost zaviyar ke ghar jama hote hain apne apne saman ke sath or tamam gift pack kar ke jahangir ke ghar chale jate hain . Jahangir ke ghar ek party sa mahool bana hota hai . Ek kamrey mai ribbon or ballon se sajawat ki hoti hai or tez awaz mai saligrah ke gane baj rahey hote hain .jahangir apne dosto ke hath mai gift dekh kar ander hi ander herat mai mubtala hota hai or chehre se muskura muskura kar har dost ko gale laga kar khush amdeed kehta hai .kuch dair bad salgirah ka cake ata hai or sath mai pizza,samose,chips,choley jese mukhtlif khane ke lawzmat ate hain.zaviyar ke dost zaviyar ko dekhte hein or chalne ka kehte hain .

Zaviyar un ko cake cut hone tak rukne ka kehta hai. Or cake k cut jane ke bad jahangir ki ammi kehti hain ke tumhare baqi dosto ko jane ki itni jaldi kio hai tu zaviyar batata hai ke aunty yeh log ap logo ko dekh kar sharma rahe hain. Ap logo ke samne in se khaya nahi jae ga islia jaldi jane ke keh rahey hain, jahangir ki ammi muskurati hain or kehti hain acha chalo hum dosrey kamrey mai chale jate hain tum log aram se tafreeh karo. Jahangir or us ki family ke dosre kamre mai jane ke bad zaviyar dosto se kehta hai ke ab aram se kha lo sharmao nahi. Jis pe jahangir bhi kehta hai yar sharmana kaisa apna hi ghar hai. Or sab khane pene ke bad jahangir dosto ko kehta hai chalo gift kholte hain jis pe zaviyar ek dum khara ho kar jahangir ko kehta hai. Nahi jahangir tum pagal ho ghar wale kiya sochein gey ke kese dost hein gift dia or khud hi apne samne khulwa lia. Tum ghar walo ke sath aram se kholna ab hum bhi chalte hain. Bechare ghar waley kab se ek hi jaga bethe hue hein humari wajah se ab tum bhi enjoy karu family ke sath. Or zaviyar apne dosto ko ishara karta hai uthne ka or jahangir ke ghar se bahar ajate hain sab. Jahangir apni family ko usi room mai khushi khushi bulata hai or kehta hai ajein gift kholte hain ,jahangir apni ammi ko kehta hai ke ammi ab mujhey bhi apne dosto ki salgirah mai isi tarha gift dena parega q ke becharo ne kitni achi tarha mere salgirah manai hai. Or pehla gift kholta hai tu us pe likhi hui tehreeh ko parh kar khush hota hai.

“Personally for dear Jahangir”


Jab gift ko mukammal kholta hai tu us mai se ek porana “lota " nikalta hai. Jis ko dekhte hi jahangir ke armaan lotey ke pani mai beh jate hain. Or woh samjh jata hain ke us ke shareef dosto ne us ke sath koi behtreen sharafat ka muzahira kia hai. Jahangir apni family ko kehta hei ap log jaein baqi mai khud khol longa.

Lakin jahangir ki behan kehti hain nahi nahi dekhao hum ko tumhare ache dosto ne or kia kia ache gift diye hain. Jahangir dosra gift kholta hai tu pe likha hota hai..

"Jummey ki namaz k lia agar kabhi jao tu”


Dabba khol kar dekhtaa hai tu porani chappalo ki jori hoti hai.

Teesra gift kholta hai tu us mei gift pehle hota hai or tehreeh us ke neeche, or us gift mai road ka ek pathar hota hai. Jis k sath tehreer hoti hai

“Showpiece for your new home”

Isi tarha jahangir ek ek kar ke sab gift kholta hai, or apni salgirah ko yadgar banata hai, or samjh jata hai ke yadgar salgirah banane ka khayal kis ko aya hoga.

Zaviyar hamesha se aese hi harkaton ke sath apna din guzarta hai, or har koi us ko waqai ek namoni cheez samjhte hain.




Regards

Rashk-E-Hina
hehehehehhehe @Jahanger :p u bhi a gaye kahani miein lolx :p
joyaaaa ab yeh btao warda bhi aye gi ke nai ;))
Btw awsome epi w8ng for next ;)
 
Top