Coffee With REDROSE- Bahaar

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Socha behti ganag may hum bhi hath dhoo lay,

Bahaar ji ma app ku ziyada tu nahi janata, lekin phir bhi app say chand sawalat poochany ki jasart ker raha hoon , umeed hay app in k jawab poori emandari say day gi aur gussa bilkul nahi karay gi:

here is your q:

1: App 24hrs may kis waqat sub say ziyada boriyat mehsoos hoti hay?
Jab aksar akele hoti hun aur karne ko koi kaam nahi hota
2: Free tym may app kiya kurti hain?
Free tyme me pahle to sojati thi ya koi achi si book parhti thi but abb to TM hai..
3: Music wagera sunnay ka shouk hay?
Ji haan..kabhi kabhi sunti hun but not always
4: App ka bachpan k koi aisa waqea jis ki yaad aj bhi ap ka demag may taza phool ki tarah hay, kiya app usay TM walon say share kurna pasand karay gi?
Ji haan..jab meine Taqreeban 6 saal ki umr me Quran khatm kiya aur jab mere abbu ne khatm e Quran ki dua parhayi..Wo lamhaa..mere liye humesha yadgar rahega..
5: School may kis type ki student thi I mean naughty, dull mind yeh bus bohat ziyada parako thi?
Parhakoo k sath sath naughty thi bahut aur intelligent hone ki wajhe se meri naughtiness ko maaf kardiya jata tha.
6: App hard working student thi yeh inelegant student, I mean aik bar ju cheez dhaik le yeh perli yaad ho gye, yeh pehir ruttay marti thi in only exams days?
Zyadatar teachers ki explainations se samjh jati thi,bahut kam dobara parhna partha tha.
7: School yeh college k zamany may kabi app ku koi extra activity per koi prize mila yeh nahi?
Ji haan..bahut baar..
school me dramas,singing aur fancy dress comp me prizes mile hain.
12 standard me badminton championship bhi..

8: School yeh college may sub say ziyada kis subject may interest tha aur q?
waise mujhe urdu se bahut lagao hai..ghar ka atmosphere urdu adab ka hi hai.Biology is my fav subject..
9: kabi school may kisi shararat yeh study ki wajah say koi punishment mili thi, if yes share it here?
Meine apni frnd ka homework kiya tah wo bhi apni handwriting me..to pakri gayi aur mere assign marks usko de diye gaye..:(
10: Aiana dekh ker mind may kiya soch aati hay?
Allah ki nematon ka shukr ada karti hun.
apne se kamtar ka khyal aata hai aur sochti hun k parwardigar ka ehsan k usne koi nukhs na rakha

11: Shadeed bhook may kiya kurti hain?
Maggi banakar khaati hun
12: Gussay may kiya kernay ku dil chahta hay?
Bahut kuch..pahle to jispar aaye uska gala dabana dil chahta hai..agar wo door baitha/baithi ho to nehayet khush kismat..
13: Aub tuk apany liye sub say qeemti cheez kiya khareedi hay?
Mere czn ki shaadi me bahut qeemti dress khareedi thi magar bad me ahsaas hua k fuzool kharchi hui..
14: Kin baton ka janoon ki hud tuk shouk hy?
Jo bhi kaam karun imandari se karna chahti hun..
Mera shaukh Badminton,aur meri education

15: Duniya ki khaternak mahlook, app ki nazar may kon c hay?
Wo,jisme insaniyat nahi,dusron k liye jinke liye rahem nahi
16: Kisi khoufnak khawab say ankh khul jaye tu kiya kurti hain?
Allah ka shukr ada karti hun aur Aayetal kursi parh leti hun
17: Kis khobsurat din ka shiddat say app ku intezar hay?
ji..haan..jab mei phirse ek baar champion ban jaun
18: Koi Shakhs aisa ju akser yaad atta ho?
My grand father
19: Zindagi ka who lamha jis nay app ki sari zindagi badal di?
Nahi.aisa koi khaas lamha nahi hai koi..
20: Khawateen/Female may kon si qualities app ku achi lugti hain?
Sharm o haya
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Quest By Saviou..
apko tohfe me kya pasand hai matlab aap ko agar koi tohfa dena chahe to aap kya umeed rakhte hain ya apko kya acha lagta hai
Mujhe Duaaon ka tohfa bahut pasand hai..
Koi maddi cheez k liye arz karun k phool bahut pasand hain..

aur apko agar tohfa dena ho kisi ko to kya dete ho aur hame dena ho to kya denge
Agar kisi ko tohfa dungi to uske mizaj ya pasand k lehaz se..
Aapko mei Quran ka nadir nuskha pesh karna pasand karungi..

aap kise apni baten share karte hain aur TM par agar kisi se share karna ho to kisse karenge
Mei bahut kam kisi se share karti hun koi baat..
haan agar mujhe aisi baat jiska ilm na hoaur maloomat hasil karne hon to saviouji se hi karungi

kya aap apna koi kaam karne se pehle mashwara lete ho aur kisse lete ho
Waise to aam halath me mashvera nahi leti.mujhe lagta hai k mei sahi hun.magar baaz aukhat tazabzab ka shikar hoti hun to apne walid mohtaram se lena pasand karti hun.
agar apse koi rai puche mashwara puche to kya aap unhe deto ho aur uski kya kaifiat hoti hai
Meri to adat hai k bina mashvera mange hi muft kisi ko raye deti hun agar mujhe lagta hai k kuch ghalat horaha hai..
Aqalmand hazrath ko agar samjh ajaye to meri bat maan lete hain..Nahi to Allah se unki bahtri k liye dua karti hun

agar ham apse koi mashwara aur rai naseehat karne k liye kahe to aap hame kaise naseehat karoge
Aaapke liye kaisi naseehat janab..?
Hum to bas yehi kahenge apse k jo kaar e khair ap karahe ho usay kisi halath me nahi rukna chahiye,aur koshish e musalsil kabhi rayeaan nahi jaati


sawal kuch zyada to nahi hogaye nahi pf aur storm se to bohot kam hi hain :p
Nahi..apke sawalath dusron k liye bhi to mashal e raah honge.
kya aap hamare sawalon se bore ho rahe ho ya gussa aaraha hai
Nahi..balkay apke sawalath k javabath se lutfandoz hote hain
chahe kuch bhi ho hamto sawal karte rahenge :)

Ji..ji Zarur..intezar rahegaa.
baki sawal do din k baad agar interview jari rahe to yar phir akhir me ap ladkion k liye islami nuqte nazar se naseehat karna :)
hmm..bara ahem sawal..
jahan tak meri soch hai ya jo tarbyat meri hui hai,mei tamam larkyion se kahna chahungi k insan ki sabse bari daulat uske kirdar hote hain,aur bat se,uske lehje se uske andaz e guftagu se uski fitrat ka pata chalta hai..
Mei khususan yahan forum ki larkyion se ye kahna chahti hun k aap jab kisi se baat karo,kisi se dosti karo to na hi apne atvaar bhoolo,na hi apni tahzeeb,ikhlaqi hudood me rahkar aap mazakh karo,enjoy karo,na to ap apne limits k par jaao aur na kisi ko allow karo k koi hudoob se barh jaye.
hum larkiyon ki ghalti hoti hai k kisiko barhava deti hain ya kisi k sath bahut free hojati hain phir ilzam tamam larkon par lagaya jata hai..mei nhi samjhti k jab tak aap kisi se mohtat andaz me baat karen ya apki guftagu purtahzeeb ho,koi ap par ungli uthayga,ya agay barhne ki koshish karega.

(Im sorry to all girls of TM..ye sawal aur uska javab general hai,kisi ki nukhta cheeni k liye nahi)
masha Allah :)
bohot hi maqool jawab mohtarma

jee insha Allah apke liye hamari taraf se duaon ka tohfa hamesha rahega :)
aur sath hi apke tohfe ka intezar bhi rahega
aur apne jo hame naseehat kiye hain unpar amal ki koshish bhi rahegi insha Allah
hamare sawalon ko pasand karne k liye shukriya
aur akhir me apki naseehat kabile tareef aur kabil e gaur hai
umeed hai hamari sari behne isko padhengi aur amal ki koshish bhi karenge insha Allah :)

kuch aur sawal apki khidmat me :)
kya apne kabhi school ya college me non muslims ko deen ki dawat diye
kya apne net par kisi ko islam ki dawat diye ho agar haan to kis tarah se apne ye kaam kiye agar nahi to kya aap koshish nahi karte ya karna chahte ho
kya apki koi khwahish hai jo abhi tak puri nahi huyi
muashre ko agar apko sudharne ka mauqa mile to aap kahan se pehle shuruat karoge aur aise konsi galat cheez hai jisse sabse zyada muashre ko nuqsan ho raha hai

shayad ek do sawal pehle kisi ne puche hon apko aur ek sawal to ek thread me achuka hai shayad phir bhi ham apse yahan puch rahe hain :)
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Tooba u kab aai thi yahan? :eek: mujhey pata he nahi chala.soly :s . bahar se mera aik he question hai agar inhen kisi waja se TM chorna par jaye Allah na karey aisa ho shadi se pehle :D magar toe is waqt inka reaction kya hoga{(thinkg)} aur ye sub se zyada kya miss karen gi yahan ki koi baat koi member aisa hoo?
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
[GLOW="red"]COFFEE WITH RR




PART 5[/GLOW]





Answers To Coffee With RR Part 5

41...Wo waqt jab mei shadeed bimar hui thi aur zindagi ki umeed bahut kam thi..Aur wo waqt jab mere grand father mujhse bichar gaye,wo sadma mei dohrana nahi chahti
42...Internet k jitne favayed hain usse kahin zyada nukhsanat.
Relationship k baray me mei ye kahungi k net ki duniya aarzi,ek sarab ki manind hai..It is like an OASIS in the desert..
43...Subah fajr k baad phir sojati hun,phir 7 baje,raat me sone k koi aukhaat nahi,aur jabse TM join kiya tabse to limit hi nahi..:)
44...Mahmaan ki khidmat bare josh se karte hain aur interior decoration bhi kisi hadd tak..bakhi sab kaam susti se hote hain..
Ji haan ghar ki safayi k baad jab kabhi kisi bacche ki wajhe se dobara safayi karni pare tab be hisab ghussa ata hai..
45...ba ikhlaq,polite
46...Sunnat e Nabavi SWW hai...Khuda k Rasool SWW ka hukum hai..
47...Dosti aur Mohabat me srf itna farq hai k Dosti mohabat me badal sakti hai magar mohabat karnewala ek acha Dost ho ye zaruri nahi..
48...Ji haan....khaanay e kabaa jahan mera bahut dil karta hai jaane ka magar abhi tak gayi nahi..
49...Simple,Straight forward,Honest,Angry mood,kind
50...Mujhe sab sawalath bahut ache lage aur maza bhi aya..
I really Thanks Admins for inviting me & give opportunity to share my views
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513


masha Allah :)
bohot hi maqool jawab mohtarma
Shukriya
jee insha Allah apke liye hamari taraf se duaon ka tohfa hamesha rahega :)
InshAllah
aur sath hi apke tohfe ka intezar bhi rahega
aur apne jo hame naseehat kiye hain unpar amal ki koshish bhi rahegi insha Allah
Ameen
hamare sawalon ko pasand karne k liye shukriya
aur akhir me apki naseehat kabile tareef aur kabil e gaur hai
umeed hai hamari sari behne isko padhengi aur amal ki koshish bhi karenge insha Allah :)
Allah hume amal ki taufeeq de..Ameen
kuch aur sawal apki khidmat me :)
Ji hazir hain hum..
kya apne kabhi school ya college me non muslims ko deen ki dawat diye
Nahi...albatta humara hijab dekhkar ek non-muslim larki ko shaukh hua aur uski farmayesh par humne tohfe me usay ek khubsurat abaaya di thi..
kya apne net par kisi ko islam ki dawat diye ho agar haan to kis tarah se apne ye kaam kiye agar nahi to kya aap koshish nahi karte ya karna chahte ho
Net par mera rabeta kabhi non-muslim se nahi hua.
Ji haan agar maukha mile to zarur karna chahungi

kya apki koi khwahish hai jo abhi tak puri nahi huyi
Ji nahi..aisi koi khwahish nahi
muashre ko agar apko sudharne ka mauqa mile to aap kahan se pehle shuruat karoge aur aise konsi galat cheez hai jisse sabse zyada muashre ko nuqsan ho raha hai
Muashere ke bigaar ki bahut si wujuhat hain..
Jaisa k meine pahle bhi kaha k'' Ikhlaq ki girawat''se bahut nukhsan horaha hai..

shayad ek do sawal pehle kisi ne puche hon apko aur ek sawal to ek thread me achuka hai shayad phir bhi ham apse yahan puch rahe hain :)
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Tooba u kab aai thi yahan? :eek: mujhey pata he nahi chala.soly :s . bahar se mera aik he question hai agar inhen kisi waja se TM chorna par jaye Allah na karey aisa ho shadi se pehle :D magar toe is waqt inka reaction kya hoga{(thinkg)} aur ye sub se zyada kya miss karen gi yahan ki koi baat koi member aisa hoo?
Nahi ji..mujhe TM chorkar kahin nahi jaana hai..
Shaadi k liye bhi meri yehi shart hogi,jahan mei wahan TM..:):D
 

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Bohat shukriya bahaar sis app nay apnay qeemti waqt hamary bongay walo ka reply diya

agaer app ki icha ho tu mazeed kuch bongay quest app ki nazar karo.
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
here u go bahaar with this small q

1: Kis cheez per travel kurnay say khouf aata hay?

2: Ager app ka 3 carore ka bond nikal aye tu itnay apison ka kiya karay gi?

3: Saving kurnay k liye air appnay gher ku sahe manage kurnay k liye aik aurat ku kon say iqdamat kurnay chahye?

4: App ki nazar may ladkiyon ku kis omer may garoor aatta hay?

6: "Dil Chahta hay" describes this in your own words?

7: Akser kiya sochti hain?

8: Aisa koe kaam jis k kernay say dil ghabrata ho?

9: Meri Shkasiyat app ki nazar may?

10: Last but not least, describe your self in a brief detail?
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
here u go bahaar with this small q
Hehehee...small...ok..very tough but intersting quest,.
Anyway..try to answer you..
1: Kis cheez per travel kurnay say khouf aata hay?
Ship
2: Ager app ka 3 carore ka bond nikal aye tu itnay apison ka kiya karay gi?
Aaap dua kijiye..agar nikal aya to 1 crore aapke,1 crore mustaheqeen k,aur 1 crore mere aur meri family k,world tour p jana chahungi
3: Saving kurnay k liye air appnay gher ku sahe manage kurnay k liye aik aurat ku kon say iqdamat kurnay chahye?
Mere khyal me budget banana chahiye thori si pre planning as my mom does..
4: App ki nazar may ladkiyon ku kis omer may garoor aatta hay?
Ghurur?Ye marz to kisi umar me nahi hona chahiye
6: "Dil Chahta hay" describes this in your own words?
Ye sawal mere samajh me jo aya waise hi javab deti hun..
Humare jism k do ahem azu..dil aur Dimagh..
log kahte hain k zyadatar kam dil se liya jata hai..
Dil chahta hai k chaaye pio,dil karta hai k kisi ko chero,dil chahta hai k kisi se gappen laraao..magar mgar mei kahti hun k Dil ne kabhi kuch kaha hi nahi..ye tohmat hai,ilzam hai sarasar dil ko badnam kiya gaya hai..As per science,Brain always give orders to the body,not the Heart..Bechare Dil ki logon ne bahut buri halath ki hui hai.
Dil ek bezarar aur khamosh aur chote se wujood ka naam hai jiska kam srf dharakna hai jab tak zindagi hai..
7: Akser kiya sochti hain?
Yehi k akhir zindagi ka maqsad kya hai aur maut k baad kya hoga?
8: Aisa koe kaam jis k kernay say dil ghabrata ho?
jhoot bolne se
9: Meri Shkasiyat app ki nazar may?
hmmm...Aap bahut soft nature,intelligent,ba ikhlaq aur deen k bhi qareeb ho
10: Last but not least, describe your self in a brief detail?
Toughest one..
Meri shaksiyat k ye chand pahlu hain.jo k abtak TM members bhi jaan gaye honge.

Bahut jald ghussa ajata hai..
Mei kisi ki buri ya ghalat baat bardasht nahi kar sakti
Dusron ko hansane ki hatalimkaan koshish karti hun
Kisi ka dukh ya koi ranjeeda mujhse nahi dekha jata
saafgo,achayi ya burayi samne karne me yakeen rakhti hun,pichay nahi
jahan zarurat ho,muft mashvere dene me kotahi nhi karti
kisi ki hausla afzayi ya tareef karne me bhi kanjoosi se kaaam nahi leti
(Abb ye parhne wale hi bataenge k ghalat hai ya sahi)


 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Very Ncie & fruitful replies

Akhaer may hum app say ijazat chahay gay k hum nay app ku bohat disturb kiya, aur ager koe question galat laga ho k yeh mujhey nahi kerna chaye tu tu us k liye tahay dil say mazrat kha hay

Allah App ku woh sub khusiyan day jin ki app ku tammana hay (Ammen)

Khush rehye aur khush rakiye

Allah Negihban
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Very Ncie & fruitful replies

Akhaer may hum app say ijazat chahay gay k hum nay app ku bohat disturb kiya, aur ager koe question galat laga ho k yeh mujhey nahi kerna chaye tu tu us k liye tahay dil say mazrat kha hay

Allah App ku woh sub khusiyan day jin ki app ku tammana hay (Ammen)

Khush rehye aur khush rakiye

Allah Negihban
Aapne humko distb nahi kiya janab..balkay humare liye apne itna qeemti waqt aur itne khubsurat sawal yahan share kiye..
Hum bhi tah e dil se apke mashkoor hain..
Thankss 4 ur kind comments..
Bahut aacha waqt beeta aap sab k saath..
Aaapko Allah khush rakhe..
Duaaon k saath aur duaaon k mustaheq..
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh
Status
Not open for further replies.
Top