Coffee With REDROSE- Bahaar

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513





masha Allah bohot hi umdah jawab sirf hamare hi nahi balke jitne logon ne bhi apse sawal kiye hain apne bade hi ache andaz me maqool jawab diye hain :)

aur bohot hi umda shayari mohtarma kaun kehta hai k aap shayara nahi hamare liye to hain
masha Allah bohot acha likha hai apne

aur umeed hai bohot jald koi acha kalaam dekhne ko milega apse :)

apki zindagi ka sabse yaadgar waqaya sunayen jisse jab bhi yaad karo khushi hoti hai
Mere bachpan k school days..har competition me participate karna phir achieve karne k liye din rat mahnat karna..
mere class me meri hi best frnd se humesha muqabla rahta tha..hum dono ki yehi koshish hoti k humesha frst position len..kabhi uske 1 ya 2 marks barh jate kabhi mere..mere jab bhi kam aate marks mei apne teachers ko bahut tang karti aur bar bar papers chk hote aur revaluation k nateeje me mei aksar baazi maar leti.us time mujhe behad khushi hoti aur wo din yad kar k mujhe aaj bhi khushi hoti k kisi cheez ko pane ki justaju aur lagan thi aur whi mahnat rang layi.

aur koi aisa waqaya jisse ap ghamgeen hote hain
haan gamgeen usi dost ko yad kar k hoti hun..humlogon me bahut achi understanding thi..abb pata nahi wo kahan hai.. I miss her a lot..jahan kahin ho Allah usay khush rakhe..Ameen
aur apko khane peene me kya pasand hai batayen
( shayad in teeno sawalon k jawab agaye hain phir bhi kuch kehna chahen to keh sakte hain )
Meine jo pahle bayan kiya hai uske alwa mujhe chicken fried rice & daal bhare parathy bahut pasand hain
ap masha Allah har maidan me mahir hain to pakwan bhi acha karlete honge insha Allah
to aap kya kya bana lete hain hame batayen
aur sab se acha apke hath se konsa pakwan hota hai
agar ham apke mehman banjayen to kya khilana pasand karenge :)
ji sab kuch jo aam ghar me banta hai,but im not perfect
Mere haath ki nehaari aur kheer bahut acchi hoti hai..
Agar aap humare mahman hur to hum aapki tawazo Nargisi koftay & lucknowi kabab se karenge.:)

kya kabhi cooking karte waqt bartan jalaya hai apne :p
agar haan to tab kya kiye the
hahahaa...ji han hota hai aksar aisa but bahut kam..
Ji haan abhi thore din pahle hi jab hum TM p masruf thy aur jab sab jal gaya to apni waleda ki dant se bachne k liye humne jalay hue cooker ko rooposh kardiya aur fauran nayi dish tayyar karli..waise dusre din chori pakri gayi aur hasb e mamool unki pyari baten sunne ko milin.:)

aur haan din me kitne baar khate hain ap :p
Jab bhook lagi...(magar Hoor ki tarha hargiz nahi:)):p)
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
oyeeeeeee baharu har thread may maira zikr_e_khair karna zaroori hay kia :p

yahan bhi maire kaahne ko nazar lagane k baghair u ko sakoon nhi mila na :s
 
  • Like
Reactions: ~Prince-Farry~

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Originally Posted by saviou





masha Allah bohot hi umdah jawab sirf hamare hi nahi balke jitne logon ne bhi apse sawal kiye hain apne bade hi ache andaz me maqool jawab diye hain :)

aur bohot hi umda shayari mohtarma kaun kehta hai k aap shayara nahi hamare liye to hain
masha Allah bohot acha likha hai apne

aur umeed hai bohot jald koi acha kalaam dekhne ko milega apse :)

apki zindagi ka sabse yaadgar waqaya sunayen jisse jab bhi yaad karo khushi hoti hai
Mere bachpan k school days..har competition me participate karna phir achieve karne k liye din rat mahnat karna..
mere class me meri hi best frnd se humesha muqabla rahta tha..hum dono ki yehi koshish hoti k humesha frst position len..kabhi uske 1 ya 2 marks barh jate kabhi mere..mere jab bhi kam aate marks mei apne teachers ko bahut tang karti aur bar bar papers chk hote aur revaluation k nateeje me mei aksar baazi maar leti.us time mujhe behad khushi hoti aur wo din yad kar k mujhe aaj bhi khushi hoti k kisi cheez ko pane ki justaju aur lagan thi aur whi mahnat rang layi.
aur koi aisa waqaya jisse ap ghamgeen hote hain
haan gamgeen usi dost ko yad kar k hoti hun..humlogon me bahut achi understanding thi..abb pata nahi wo kahan hai.. I miss her a lot..jahan kahin ho Allah usay khush rakhe..Ameen
aur apko khane peene me kya pasand hai batayen

( shayad in teeno sawalon k jawab agaye hain phir bhi kuch kehna chahen to keh sakte hain )
Meine jo pahle bayan kiya hai uske alwa mujhe chicken fried rice & daal bhare parathy bahut pasand hain
ap masha Allah har maidan me mahir hain to pakwan bhi acha karlete honge insha Allah
to aap kya kya bana lete hain hame batayen
aur sab se acha apke hath se konsa pakwan hota hai
agar ham apke mehman banjayen to kya khilana pasand karenge :)
ji sab kuch jo aam ghar me banta hai,but im not perfect
Mere haath ki nehaari aur kheer bahut acchi hoti hai..
Agar aap humare mahman hur to hum aapki tawazo Nargisi koftay & lucknowi kabab se karenge.:)
kya kabhi cooking karte waqt bartan jalaya hai apne :p
agar haan to tab kya kiye the
hahahaa...ji han hota hai aksar aisa but bahut kam..
Ji haan abhi thore din pahle hi jab hum TM p masruf thy aur jab sab jal gaya to apni waleda ki dant se bachne k liye humne jalay hue cooker ko rooposh kardiya aur fauran nayi dish tayyar karli..waise dusre din chori pakri gayi aur hasb e mamool unki pyari baten sunne ko milin.:)
aur haan din me kitne baar khate hain ap :p
Jab bhook lagi...(magar Hoor ki tarha hargiz nahi:)):p)



masha Allah mohtarma bohot hi ache andaz me maqool jawab :)
bohot acha lag raha hai apke bare me jaan ke aur zaroor ham apke mehman banenge insha Allah
chunke ham do din nahi rahenge apse kuch sawal kar ke jate hain
pata nahi aane tak apka interview rahega kya khatam hojayega

arre hoor ki tarah khana to door aap sochna bhi nahi :p
ye ejaaz sirf unke liye hain :p


masha Allah apne umra kiya hai Allah kare aap ka haj bhi hojaye Aameen :)
bilkul kabah Allah ka ghar hai aur usko dekhna bhi sawab hai aur jo bhi dekhta hai bas dekhte rehne ka hi dil karta hai :)
aur apke abu k liye ham dua karte hain Allah unhe jannatul firdaus me jaga aata farmaye aur aap sab ko sabr e azeem aata farmaye Aameen
ohhh masha Allah khane me bohot hi kam cheezen apko pasand hain :p aur upar se diet bhi

apko tohfe me kya pasand hai matlab aap ko agar koi tohfa dena chahe to aap kya umeed rakhte hain ya apko kya acha lagta hai
aur apko agar tohfa dena ho kisi ko to kya dete ho aur hame dena ho to kya denge
aap kise apni baten share karte hain aur TM par agar kisi se share karna ho to kisse karenge
kya aap apna koi kaam karne se pehle mashwara lete ho aur kisse lete ho
agar apse koi rai puche mashwara puche to kya aap unhe deto ho aur uski kya kaifiat hoti hai
agar ham apse koi mashwara aur rai naseehat karne k liye kahe to aap hame kaise naseehat karoge

sawal kuch zyada to nahi hogaye nahi pf aur storm se to bohot kam hi hain :p
kya aap hamare sawalon se bore ho rahe ho ya gussa aaraha hai
chahe kuch bhi ho hamto sawal karte rahenge :)


baki sawal do din k baad agar interview jari rahe to yar phir akhir me ap ladkion k liye islami nuqte nazar se naseehat karna :)
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Assalamoalaikum wrwb..gud morning to u
here r some questions dat I would like to ask u...iske answers mei parents ko leikar nai layeega..maloom hai khalis mohabbat apne waldein mei milti hai..magar..yeh sawal aik larka aur larki ke desire par hein..
1. mohabbat kia hai?
Ans..Mohabat insaani fitrat hai..Qudrat ka anmol aur khubsurat tohfa
2. mohabbat kesi honi chahiye?
Ans..Mohabat banti hi khulus se hai..
Khuslus,nek niyati aur wafadari mohabat me shamil honi chahiye

3. mohabbat kisse hoti hai?
Ans..Yahan apne srf larke aue larki ka zikr kiya,to zahir hai ek dusre se
4. kia mohabbat paane ke lie apko kuch sacrifice karna parta hai?
Ans..Ji haan baz aukhat,Mohabat naam hai qurbani ka..
5. sachi mohabbat kaise hoti hai?..(yeh mat kehna ke woh khud hi hojati hai...magar hoti kaise hein..akhir hame 2nd person mei aisa kia nazar ata hai jisse hamara dil unke lie fida hojata hai)
Ans..Is baat ka javab to mohabat karnewala bahtar de sakta hai..
kahte hain k mohabat kabhi surat,seerat,daulat dekhkar nahi hoti,mohabat k liye srf kisi ek cheez ya adaa ka dil ko bhana kafi hota hai,bakhi sab khamiyon ko nazar andaz kardeti hai..
Buzurg isiliye kahte hain k''Moahabat andhi hoti hai'' ''Love is blind''

6. sachi mohabbat ko kaise paana chahiye?..
Ans..Is sawal ka javab bhi mere paas nahi..phir bhi guess karti hun.
Baat yahan srf larke ya larki ki mohabat ki hai to mei kahungi k khulus e dil se shayed har cheez miljati hai magar apni mohabat ko paane k liye ghair sharayi ya ghair ikhlaqi tareeqe nahi apnana chahiye.

7. kia apke frnds mei se kisi ko sachi mohabbat hoye.?..uska result kia nikla end mei?
Nahi ji..mera circle mei koi aisa nahi

8. kia net ki duniya mei kisi ko mohabbat hosakti hai?..
Ans.. ji hosakti hai..
9. aj kal ki generations ne mohabbat ko itna lightly kyon liya wa hai?..uski khas waja?..
Ans..Aajkal ki generation ne srf mohabat ko hi nahi har rishte,har kaam ko lightly lia hai.Iski sabde bari wajhe khulus ki kami,ehteram aur respect kisi k liye nahi,selfishness,jhoot aur kisiki koi value nahi
10. mohabbat ki reality mei aik shair arz karein..
An
s.. Ye Ishq nahi asaan bas itna samjh lijiye
Ek aag ka darya hai aur doob k jana hai

11. Koi aik love song jisne dil ko cho diya ho..usey idhar share karein
Ans.. bahaaro phool barsaao mera mahboob aaya hai...
12. Jo log apne pyaar se bhaagte hein..woh apki nazar mei kaise hote hein…koi waja bata sakti hein ke woh apne pyaar se kyon bhagte hoge?..
Ans...It depends on the situation..kisi k liye majburi,kisi k liye bewafayi
kabhi kabhi saccha pyar kar k bhi bhagna parhta koi na koi majburi,parents ki raza nahi,ya halath sath na dete hon.

13. Kia love marriage kia successful hoti hein ya arrange? ..
Ans.. meine jahan tak dekha hai srf arrange marraiges successful hoti hain
14. Agar farz karein..apko koi pasand karta ho..aur ap bhi usey achi tareeke se janti hogi…aur woh larka apse shadi karna chahta ho..to ap ka most likely response kia hoga….agar apki haan hogi to pher apke ghar wale apke faisle se razamand hoge..?..agar apka response NO ho to pher jo apko pasand karta ho..usmei uska kia kasoor?..
Ans..Yeh faisla sirf mere parents ka haq hai..unki marzi me meri han ya na shamil hogi.meri marzi se nahi..
15. Kia larkiya hi larko ko majboor karti hein larko ko mohabbat karne se..ya larka majboor karta hai?..
Ans...Sorry,iska javab mujhe nahi maloom..i have no idea..
16. Kia sachi mohabbat ko izhar rite away kardena chahiye..ya uska intezar karna chahiye?..
Ans..Moahabt me izhaar zaruri nahi
Ye wo jazba hai jo khud hi ayan hota hai

17. Aj tak apne khud se koi poetry likhi mohabbat par..agar likhi to plz idhar share karein hamare saath..
Nahi...abhi tak to nahi likhi..
18. barish ke mausam mei hamein apni poorani yaadein kyon ati hein?..aisa kyon hota hai?
Ans.. mere sath to aise nahi hota..May be hota ho jinse purani yaden juri hon
19. Kia mohabbat se pehle dosti honi zarori hai ya mohabbat ke baad dosti hoti hai?..
Ans..Zaruri nahi..mohabat k liye koi condition nahi hai.kahin bhi kabhi bhi hosakti hai
20. Yeh sab sawal ka jawab deikar agar apko koi galat question laga to plz usey idhar point out karein..aur agar mai apse kuch ziada hi personally ho raha ho to plz mujhe rok diye ga…

Ans..Not at all..All questions are fair & logical..
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
dear bahhar ye batao k..
1.u ki life may kabe asa koe moqa aya jub u nay kud ko bht baybs mehsos kia ho?
2.u say jub koe naraz hota hay to kis tara manate ho usay?ya pir bagair manaye chor dayte ho?
3.kon sa mulk or city bht pasand hay u ko?
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Deti hun sis...mei jahan jaati hun sablog ittte sare sawal,,mera interv shuru hojata hai..:(
in logo ko mujh p zara rahem nhi aaying..:p
 
  • Like
Reactions: ~Prince-Farry~
Status
Not open for further replies.
Top