uffff ye bhikaari bachay

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
1 problem jo bohat aam hai wo ye hai k bhikaari bachay jo k baqaida training k saath maangtay hain jaan hi nahi chortay un ko paisay bhi denay ka dil nahi chahta kyn k ye un ki majboori nahi balk ghar walay un ko mangnay ka adi banatay hain saaray hi ghar walay nikle kharay hotay hain..agr paisay na do to bad dua detay hain k

ja tera excedent ho ye ho wo ho

kiya un ko is tarha dena jaiz hai ya nahi?

agr un ko de dain to hum samjhtay hain hum nay haq ada kar diya sadqa de kar
jab k haq ada nahi hua kyn k wo haath phaila kar maang kar kha laiatay hain jab k kuch lgon ko
bari mushkil se 1 waqt ki roti milti hai lakin wo shikwa nahi kartay aap ka kiya khayaal hai
 
Suhana

Newbie
Aug 11, 2008
16
3
0
40
bhikaari bhi insaan hain.apne aap ko unki situation main rakh ke dekho,aam logon ko bhi jab bhook lagti hai to bina khana khaye woh chup nahin kerte.bhook pyaas aur ghurbat ke sataye hoye logon ki madad kerna chahiye na ke unn ko boora bhala kaho!
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
koi bhi maa k pait say bikari pidaa nahi hota

aur nahee kasey ko shook hota hai yeh saab karnay ka

mantaa hoo k yeh galat cheaz hai per yeh woh log khuad bhi

nahi karna chatai balkai ann ki majbouri karwate hai
 
acha majboori konsi majboori

aap aur suhana zara ghor se dobara post parh lain to behtar hoga aur vicyyyyyyyyyyy sahab aap ko to kabhi kuch samaj hi nahi ata

main nay un bacho ki baat ki hai jo achay bhalay hain un k maa baap agay karty hain aur wo paisay mang kar wahi k wahi buble gum ya chocklate kha jaatay hain

ghar se un ka koi talluq nahi paisay ka kyn k un k peechay poori foj hoti hai un k maa baap ki jo khd bhi maangtay hain yani gadagri

main nay khd observe kiya hai...aap to sirf batain bana rahay hain

kitnay bacho ko dekha jinho nay majboorian bata kar paisay maangay phir shop par se foran cold drink ya koi pasand ki cheez kha li yani un ko wo sub kuch hasil hai jo ghareeb longo ko hasil nahi jo maangtay nahi...

quran-e-paak main hai k

Allah k baaz banday aisay hain jin k chahron se bhook ka pata chalta hai
lakin wo aam longo ki tarha lapat kar mangtay nahi phirtay.....

kisi aisai ghareeb se poocho jo kisi k agay haath na phailaata ho un ko cold drink to kiya do waqt ki roti mushkil se milti hai

waisay bhi vickyyyyyy sahab kiya aap aisay longo par tars khyen gay jo maang kar apna pait bhar hi laitay hain jin par mehngai asar nahi kart

ya

aisay longo par jin ka aap ko pata ho k ye shaks ghareeb hai lakin kisi se maangta nahi hai..

jis nay Allah k siwa doosro k agay haath phaila liya wo ghareeb nahi bhikaari hai

jis nay Allah k agay haath phailaya wo kabhi bhikaari nahi ban sakta..thats all
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
panchoo unliyaa barabar nahi hote ss sister main nay app say kaha na k koi bhi insaan apney khuishi say nahi mangta ... i know k asay bohaat say log hotai hai joo apnay bacho say bheek mangwatai hai per khuishi say nahi .... majbouri main kartai hai .... mere behan batai banaa bohaat ahsaan hota hai per iss waqat say gozarna aik alaag cheaz hai
 
main sirf 1 baat jaanti hu islam main kisi haal main bheek mangna jaiz nahi
jab Allah nay do haath diya to us se mehnat mazdoori ki jasakti hai

bheek zuroori nahi
 
Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
main sirf 1 baat jaanti hu islam main kisi haal main bheek mangna jaiz nahi
jab Allah nay do haath diya to us se mehnat mazdoori ki jasakti hai

bheek zuroori nahi

mere behan aghar app baat islaam ki karoo gi too baat kasey aur moor per chalain jahai gi

islaam too hum ko bohaat kuch karnay say manaa kartaa hai too kia hum woh kaam nahi kartai
 
Suhana

Newbie
Aug 11, 2008
16
3
0
40
ss sister there are a lot of other things that we don't follow according to Islamic point of view.agar baat Islam ki karain to aisi harsh baat kerke kisi ka Dil bhi nahin dukhana chahahiye.You need to put urself in other person's shoe to feel the pain that person is going through.We do not know what their majboori is or was that made them begg! Islam ki baat karain to online bhi haram hai lekin sab atay hain sab kerte hain jo kerte hain.
 
atul32

Active Member
Jul 18, 2008
277
27
728
bhhek mangna galat hai ...to hum kya kar rahe hai...hum sabhi bheek mang rahe hai...allah se...kushion ki...knowledge ki...worldly matters ki...our prayers are nothing but demands.......to pray means to demand ..and also our demand is far higher and greedy than normal beggar...we demand for jannat....heaven...bechara beggar to sirf livelihood ke liye kuch mangta hai.....real prayers can not be done...it happens.....like love ...

hum sabhi beggars hai...and it is foolish on the part of beggar that he is begging from beggars..
 
Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
to islam par amal na karain?try to karna chaheya aap jaisay log hi aisi bato ko appriciat kartay hain jabhi aisi batain barh jaati hain

achaa app try karahai gi too teek hai islaam ki aik baat main app ko bataa hoo app phalai iss per amal karoo bakee baad main dekhee jahai gai ISLAM hum ko namahraam say baat karnay k leyai mana kartaa hai aur i think yaha saab hee app k leyai namaharaam hai too aik kaam karoo abb phalai saab larkoo say baat karna choor doo phalai iss per amaal karoo phir bakee baad main dekhee jahai gi
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
1 problem jo bohat aam hai wo ye hai k bhikaari bachay jo k baqaida training k saath maangtay hain jaan hi nahi chortay un ko paisay bhi denay ka dil nahi chahta kyn k ye un ki majboori nahi balk ghar walay un ko mangnay ka adi banatay hain saaray hi ghar walay nikle kharay hotay hain..agr paisay na do to bad dua detay hain k

ja tera excedent ho ye ho wo ho

kiya un ko is tarha dena jaiz hai ya nahi?

agr un ko de dain to hum samjhtay hain hum nay haq ada kar diya sadqa de kar
jab k haq ada nahi hua kyn k wo haath phaila kar maang kar kha laiatay hain jab k kuch lgon ko

bari mushkil se 1 waqt ki roti milti hai lakin wo shikwa nahi kartay aap ka kiya khayaal hai
Thanks for a zabardast sawal.

Bilkul sahi kaha aap nain. Per bhikarion ko uf karna ya jhiraknay say mana kia gia hai Islam main.

Aik dafa to main college ja rahi thi meray peechay bi aik larki per gai main nain kuch naheen kaha aur chalti rahi jaisay hi main gate say college main dakhil huwi wo meray peetha main bohat zor say mar kar bhaag gai.

Main nain socha kay achcha huwa main nain usko kuch naheen dia kitni budtameez thi.

Per us waqt mujhay pata naheen tha kay quran kahta hai kay koi tum say mangay to kuch na kuch zaroor do. Agar main kuch na kuch day deti to wo chirh kar mujhay marti to naheen.

Hum loag jhirkiaan bhi detay hain jub kay quran main jhirakna mana hai faqeeron ko.

Ub aap ka yay sawal kay dena chahyay kay naheen haq ada hota hai kay naheen aisay adi faqiron ko.

To aik hadees hai kay aik shuks nain Muhammad Sallallaho o Alaihi Wasallim say ghalla lia zakat ya sadqay wala unhon nain day dia. Phir manga phir day dia phir manga phir day dia shayad teesri ya chauthi baar main Muhammad Sallalaho Alaihi wasallim nain kuch kaha main bhool gai to us nain ghalayban sub wapis kar dia aur us din kay baad say kabhi kuch naheen manga ksisi say jub kay us kay paas hotay huway bhi wo lalach main Muhammad Sallah O Alaihi Wasalam say mangay ja raha tha aur Muhammad Sallaho Alaihi Wasallim sub samajh rahay thay uski lalach ko phir bhi detay ja rahay thay mana naheen kar rahay thay.

Quran main bhi hai kay koi mangay to kuch na kuch zaroor do so chahay wo adi bhikari ho kay waqai zaroorat mund aap naheen samajh saktay jub Muhammad Sallah O Alaihi Wasallim detay rahay to hamain bhi dena chahyay kuch na kuch zaroor. Chahay wo bohat thora hi kioon na ho.

Aik dafa to aik faqeer ko main nain paisay diay to us nain haqarat say phaink dia. Aisa bhi naheen tha kay main nain bohat kum dia tha. Main nain bhi na paisay uthaay na kuch kaha chal di. Dil main socha faqeer ho kar itna budtameez aur asman pay dimagh hai.
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
lozzz jaab woh app ko maar kar bhagee too app nay iss ko kuch nahi bolaa

Ghussa to bohat aya uski budtameezi pay shaitan nain bahkaya palat kar usay pakar kar maroon per main is tarha ki naheen maaf kar denay wali hoon socha bechari aik to buchchi hai aur ghareeb bhi qusoor mera hi hai itni dair say maang rahi thi sirf aik baar mana kia aur wo mangti rahi to mujhay ussay paisay day dena chahyay tha.

Agar main ussay paisay day deti to wo kioon marti mujhay. Us waqt mujhay yay naheen maloom tha kay shayad quran main hai kay jub koi tum say kuch mangay to kuch na kuch do.

Ub pata chala hai to Pakistan main naheen aur yahan angraizon ko denay ko dil naheen karta phir bhi mangtay hain to day deti hoon aur kabhi kisi homeless ko bin mangay day deti hoon.
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Hum loag Pakistan main itni buri tareeqay say jhir'ak bhi detay hain bhikarion ko jub kay bohat mana hai faqeeron ko jhir'akna.
 
sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
ss sister there are a lot of other things that we don't follow according to Islamic point of view.agar baat Islam ki karain to aisi harsh baat kerke kisi ka Dil bhi nahin dukhana chahahiye.You need to put urself in other person's shoe to feel the pain that person is going through.We do not know what their majboori is or was that made them begg! Islam ki baat karain to online bhi haram hai lekin sab atay hain sab kerte hain jo kerte hain.
ye kahan likha hai online ana haraam hai?
 
sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
bhhek mangna galat hai ...to hum kya kar rahe hai...hum sabhi bheek mang rahe hai...allah se...kushion ki...knowledge ki...worldly matters ki...our prayers are nothing but demands.......to pray means to demand ..and also our demand is far higher and greedy than normal beggar...we demand for jannat....heaven...bechara beggar to sirf livelihood ke liye kuch mangta hai.....real prayers can not be done...it happens.....like love ...

hum sabhi beggars hai...and it is foolish on the part of beggar that he is begging from beggars..
Allah se bheek mangna ya dua maangna aur hai

bando se bheek maangna aur har koi majboor nahi hota

ziada tar professional hotay hain Allah to sub ko deta hai un ko bhi jo bando se maangtay hain farq sirf is bat ka hai wo apna liya Allah se dua maang kar nahi longo k haath phaila kar le laitay hin

jis nay Allah k siwa ghair Allah k haath phailaya us ki zuroorat kabhi complete hi nahi hosakti

lakin ye bhi hai k kuch majboor bhi hotay hain aur wo pata chal hi jata hai
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
bhikaari bhi insaan hain.apne aap ko unki situation main rakh ke dekho,aam logon ko bhi jab bhook lagti hai to bina khana khaye woh chup nahin kerte.bhook pyaas aur ghurbat ke sataye hoye logon ki madad kerna chahiye na ke unn ko boora bhala kaho!

Exactly bhikari bhi insaan hain. Bohat sahi kaha aap nain Suhana. Bilkul hamain apnay aap ko unki jagah rakh kar daikhna chahyay.

I 100% agree with you Suhana. Laikin aap jin ghareebon ki baat kar raheen hain wo waqai sahi manon kay ghareeb hotay hain per poster jin ghareebon ki baat kar rahi hain wo adi bhikari buchchon ki baat kar rahi hain jin kay parents nain unhain train kar kay aur budtamiziaan sikha kar sir'kon aur mohallon main chor'a hota hai. Unka comparision asal ghareebon say hargiz naheen kia ja sakta.

Aksar adi faqeer buchchay intehai budtameez hotay hain. Aik ghareeb aur miskeen insaan kabhi budtameez naheen hota wo to bechara khud apni takleefon main daba huwa hota hai so unki to koi baat naheen.

Itni achchi tarha say samjha kar SS sister nain likha hai phir to aap ko unki baat samajhni chahyay.
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
acha majboori konsi majboori

aap aur suhana zara ghor se dobara post parh lain to behtar hoga aur vicyyyyyyyyyyy sahab aap ko to kabhi kuch samaj hi nahi ata

main nay un bacho ki baat ki hai jo achay bhalay hain un k maa baap agay karty hain aur wo paisay mang kar wahi k wahi buble gum ya chocklate kha jaatay hain

ghar se un ka koi talluq nahi paisay ka kyn k un k peechay poori foj hoti hai un k maa baap ki jo khd bhi maangtay hain yani gadagri

main nay khd observe kiya hai...aap to sirf batain bana rahay hain

kitnay bacho ko dekha jinho nay majboorian bata kar paisay maangay phir shop par se foran cold drink ya koi pasand ki cheez kha li yani un ko wo sub kuch hasil hai jo ghareeb longo ko hasil nahi jo maangtay nahi...

quran-e-paak main hai k

Allah k baaz banday aisay hain jin k chahron se bhook ka pata chalta hai
lakin wo aam longo ki tarha lapat kar mangtay nahi phirtay.....

kisi aisai ghareeb se poocho jo kisi k agay haath na phailaata ho un ko cold drink to kiya do waqt ki roti mushkil se milti hai

waisay bhi vickyyyyyy sahab kiya aap aisay longo par tars khyen gay jo maang kar apna pait bhar hi laitay hain jin par mehngai asar nahi kart

ya

aisay longo par jin ka aap ko pata ho k ye shaks ghareeb hai lakin kisi se maangta nahi hai..

jis nay Allah k siwa doosro k agay haath phaila liya wo ghareeb nahi bhikaari hai

jis nay Allah k agay haath phailaya wo kabhi bhikaari nahi ban sakta..thats all

I totally understand what you mean SS sister.

Main abhi Pakistan gai thi to wahan Samama shopping mall pay aik poori fauj (family) roz maangti thi akhir dinon main mera roz ka jana tha aur roz wo family mujh say mangti thi aik ko day do to wo ja kar poori family ko bhaij detay thay ub sochain hum kum kay bhookay (I mean itnay salon baad Pakistan gaay aur wahan kay khanay peenay thelay pay, my favourite) Kha rahain hai aur wo saray jaman hain aur mangay ja rahay hain. Bohat bura lug raha tha. Aik insaan kha raha hai aap ussay dhang say khanay naheen day rahay.

Khair ghussay kay saath mujhay un pay tars bhi aa raha tha kay main kis dheetai say in ghareebon kay samnay kha rahi hoon. Aur to aur haath laga laga kar au kapray pakar pakar ka mangtay hain to is par meri buri tarha say hut jati hai per bohat bardasht karti hoon. Unkay gundday hathon say bohat ghin ati hai mujhay. Main apni kapron ko bohat khiaal rakhti hoon. Koi meray kapron main ya mujhay gunday haath lagay to mujhay bardasht naheen hota.

Khatay waqt itna tung kia jub kay day dia tha phir sari toli mangnay lagi aur wo buchcha dobara mangnay laga kaha abhi to dia tha to kahta hai naheen doosray ko dikha kar kahta hai usko dia tha.

Phir jub wo bohat tung karnay lagay to thelay walay nain unhain dhudhkara laikin wo kum dheet naheen meray peechay aa kar mangna shuru kar dia main roz unko deti thi phir bhi.

Khair mujhay tars aya kay becharay ka bhi dil chah raha ho ga khanay ka buchchay nain aik bar kaha mujhay khila do to main nain chund poori usko day di wo neechay baith kar khanay laga jis tarha wo raghbat say kha raha tha mujhay bohat tars aya poocha aur khao gay to phir main nain aik plate aur us ko dila dia. Udhar say uski maan bhi aa kar khanay lagi. Mujhay bohat tars aya.

SS sis bayshak wo adi bhikari hotay hain per adi bhi to wo majboori say buntain hain. Bilkul jaisa aap nain kaha kay forun cold drink peetay hain bubble gum ya khud hi kha letay hain main nain bhi apni ankhon say daikha hai.

Jub mujh say cold drink kuch na peea gia aur wo maan raha tha poocha pioo gay is nain lay kar pi lia mera jhoota. Sochain SS sis kia aap ko main apna jhoota doon to aap piaain gi. Hargiz naheen is liaay kay aap majboor naheen.

Unko khanay peenay kay lalay paray hotay hain. Ghareebon ko Allah buchchay bhi bohat deta hai wo parents becharay paal naheen patay to sir'kon par chor' detay hain maang kar khanay ko. Yay unk majboori hoti hai bahna.

Agar hum aap ko koi kahay maang kar khao to kia aisa kar saktay hain har giz naheen kay hamain Allah nain Alhamdolillah apnay IKRAMAAT say nawaza huwa hai.

Jahan tuk cold drink aur bubble gum ki baat hai to kia hamara dil aksar naheen chahta baray ho kar bhi to un becharon ko bhi to dil chahta ho ga sub ko peetay daikh kar to pee latay hain aur khalaitay hain.

Haan aap nain jo khuddar faqeeron ka muwazna kia hai wo bayshak sahi hai wo loag mangtay naheen meri is ka bhi tajarba hai kabhi share karoon gi wo logon kay agay haath naheen phelatay.

Her insaan khuddar naheen hota. Her kisi ko pata bhi naheen hota kay Allah kay ilawa kisi kay agay haath naheen phelana chahyay. Yay to hum aap choonkay quran ki taleem aur duniawi taleem say arasta hain to samajhtain hain. Ub sochain wo ghareeb becharay kaisay samjhain jinhon nain kabhi quran na parha na kabhi kisi nain bataya hoga aur duniawi taleem to bohat door ki baat hai.

Bahna bohat asan hai jo nazar aay ussay daikh kar uss par ghussa karna laikin undar kay dard shauq aur takleef, khuwahish aur shauq ko samajhna bhi alag baat hai.

Sochain pehli dafa mangnay main kitna bura laga ho ga un sub ko kitni shirmindagi huwi ho gi aur jhatkar aur bheek na milnay per kaisay laga ho ga. Bohat dinon ki bechargi say guzarnay kay baad wo is undaaz pay atay hon gay aksariaat haan kuch budtameez hotay hain khud hi to unki baat alag hai.

Aur bhi waqiaat main zikr karoon ki apnay tajarbay ki insha Allah.

Per apni qaum bhi to daikhain quran main mana hai jhir'akna kitni buri tarha jhir'aktay hain. Allah nain quran main kaha hai kuch na kuch do phir bhi jhir'ak kar aur kuch na day kar aur baaz dafa to char batain suna kar guzar jatay hain.

Khuwah app ko achchi tarha pata ho kay unkay paas bohat paisa hai laikin agar aap say mangay to aap kuch na kuch zaroor dain. Agar wo ghalat kartay hain to Allah khud un say nimtay ga.

Aik hadees main nain parha tha apni zubani likhti hoon.

Mafhoom yoon hai.

Aik shaksh nain Muhammad Sallalho Alaihi Wasallim say manga unhon nain day dia phir manga phir day dia jukay Muhammad Sallaho Alaihi Wasallim jantay thay kay wo lalach ki wajah say mang raha hai phir manga phir day dia. Teesri dafa main Muhammad Sallallaho Alaihi Wasalllim nain kahay kay mangna bura hai kuch is tarha kaha tha main bhool gai exactly to us din say us shaksh nain kabhi naheen manga.

Jub Muhammad Salllaho Alaihi Wasallim ko pata honay kay bawajood bhi mangnay per detay jaa rahay thay to hum kis khait ki mooli hain hum to hargiz naheen samjh saktay kay bunda waqai zaroorat mand hai kay naheen.

Is liaay adi hon y kuch bhi her aik ko kuch na kuch mangnay pay zaroor dain. yay Quran ka kahna hai.

Sochain agar aap aik masoom buchchay ka (khuwah wo kitna budtameez kioon na ho, buchcha to hota masoom hai) pait bhar dain ya us ko aisi cheez dila dain jo wo khushi say kha lay ya us ka dil khush ho jaay ya uskay chahray pay muskurahat aa jaay to kitni khush ho. Ap ko khud bhi khushi ho gi aur Allah to kitna khush ho ga us ka to hum tassawur bhi naheen kar saktay kay us kay majboor aur baykas bunday ko kuch lamhay ki khushi di.

Allah hum pera apnay gunah to maaf karay ga per bundday ka naheen. Is ko agar aisay sochain kay Allah us waqt hum say ziada khush ho ga jub hum us kay azmaish main dalay bunday ka dil khush karain gay. Yay soch rakhain to adi fakeeron ki harkatain hamain kabhi buri naheen lagain geen.

Kia aap ko naheen lugta kay hum unka huq kha rahain Allah nain hamain unkay paisay diaay hain azmaish kay liaay aur hum ya to jor' jor' kar jama kartay hain ya faltoon kamon main ur'atain hain.

Darasal hum nain un becharon ka huq ghazab kia huwa hota hai jo Allah nain hamain dia hota hai.
 
Top