jhooti kasam

  • Work-from-home

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
Assalam-o-alykum,


mera sawal hai k, Jhooti kasam kahnay ka kia gunnah hai? Akser logo ki adat hoti hai k bat bat pay kasam kah lete hain ... chahe wo jhoot hi kiunn na bol rahe ho... so agar koi jhooti kasam khaye janay anjanay mein to us ka gunnah kia hai...
 

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Wa Alaikum Asalam,
Don bhai jab jhoot bolne ka shakht gunnah hai balky sab say bara gunnah jhoot bolna hai tu beshak jhooti qasam ka bhi gunnah hai.
Jhoot kehty hain Haq ke khilaf baat karne ko tu Jhooti baat aur Jhooti Qasam uthane say bilkul guraiz karna cahiye kyon ki hai tu yeh jhoot hee na.

 

umarzai

Newbie
Jun 5, 2008
151
91
0
40
~~Ch@ars@dd@~~
u r right mitdown
asal mien jhooti kasam har soorat mien mana hien
aur jhooti kasam woh log khate hien jo jhoot bolne mien koyee aar mahsoos nahi karte
SO ALLAH pak hum sub ko rahe raast par chlane ki tawfeeq ata farmaien
AMEEN
 

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
acha thans for that...

laykin wo log ... jin ko shaak hota hai k jis paar wo kasam kah rahe hain wo sach hai ya nahi .... then phir bhi wo kasam kah lete hain us par

to us ka bhi gunnah utna hi hai jitna jan bhojh kar jhoti kasam kahnay par hota hai ???

suppose kuch logo ki adat hoti hai ... jayse k jaab larkay cricket khelte hain ... or koi out ho jata hai then larai hota hai k ek kehta hai out ho gaya dosra kehta hai k nahi ...

jis par akser larkay kasmein kahnay lag jate hain k Allah ki kasam out nahi hai ... jab k wo kudh sure nahi ....

so un ka kia gunnah hai ???
 

anmol

Newbie
May 19, 2008
472
154
0
37
walikum salam

well Jhoot tu mazak mae b nhi bolna chahye
ab chahy ap khel rhy hu ya kesi ko esy hee tnag krny ya jhota yaqeen
dalany ko ap kasam utha lae tu wo b gunah hae

" Jis nae jhoti kasam khai us k ghae sae Barkat utha le jati hae"
 

anmol

Newbie
May 19, 2008
472
154
0
37
or agr ap kufara(spelling?) ada krna chahty hu
tu wo b hae but im not sure abt it k kesy kerty hae
 

The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
acha thans for that...

laykin wo log ... jin ko shaak hota hai k jis paar wo kasam kah rahe hain wo sach hai ya nahi .... then phir bhi wo kasam kah lete hain us par

to us ka bhi gunnah utna hi hai jitna jan bhojh kar jhoti kasam kahnay par hota hai ???

suppose kuch logo ki adat hoti hai ... jayse k jaab larkay cricket khelte hain ... or koi out ho jata hai then larai hota hai k ek kehta hai out ho gaya dosra kehta hai k nahi ...

jis par akser larkay kasmein kahnay lag jate hain k Allah ki kasam out nahi hai ... jab k wo kudh sure nahi ....

so un ka kia gunnah hai ???
BHAI GUNNAH TU GUNNAH HAI JHOOTI QASAM YA JHOOT AIK HEE CHEEZ HAI AUR WOH ANJANE MEIN BHI NAHI UTHANI CAHIYE AUR HAAN CRICKET WALI BAAT KA JAHAN TAK TA'ALUQ HAI TU HUM LOGON NE AJJ YEH SOCHNA HEE CHOR DIYA HAI KE JHOOT KI KITNE SAZA HAI AUR HUM KIYA KAR RAHAI HAIN AIK CHOTI CHOTI BAAT KE LIYE HUM JHOOT BOL DAITY HAIN.
BUT AISA NAHI KARNA CAHIYE.

or agr ap kufara(spelling?) ada krna chahty hu
tu wo b hae but im not sure abt it k kesy kerty hae
ALLAH TALA KE SAMNE USS KE PYARE HABIB HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA (sallalahu alaihe wassalam) KA WASEELA PESH KAR KE TAUBA KARAIN.
INSAHALLAH ALLAH MUAF FARMAI GA BESHAK WOH BARA RAHMAN AUR RAHEEM HAI.
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
yehan main kuch kehna chahu gi k larkay larkion ka baat baat par kasam khana actually ab un ka takia kalaam ban gaya hai is liya ye gunah to hai hi lakin un ko itni samjh aur information nahi hoti agr wo Allah se muafi maang lain to Allah muaf kar dega

lakin 1 taraf wo log hain jo quran-e-paak par haath rakh kar ya Allah ka naam lay kar kisi doosray par ilzaam lagana aisay shaks ko Allah ya to zindgi main hi azaab main mubtila kar dega.ya marnay k baad aur marnay k baad wala azaam intihai shadeed hai...kyn k is ki waja se kisi doosray ki life barbaad hui
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
mai bhi 1 baat janna chati hoon...

maine bht se log dekhe hai jo Allah Tala ki, humhare nabi sallallahu Alehi Wasalm ki, apni maa ki kasme bht khate hai.. or Qur'an majeeb ki bhi kuch to Qur'an majeed par haath rakh kar bhi kasam khalete.. or aksar dosre log yani jo un per believe nahi karte wo unko yeh sari kamse lene ko bolte halanke.. yeh baat sub jante hai k chahe app jhooti lo ya sachi kasam lo kasam khana gunah hai.. to a-se logo ki maafi hai?.. or unki kia saza hai?

 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
jitna mei janta hoo.woh yeh hai ke.. kasam khana hi achi baat nhi hoti..chahe woh sachi hoo ya jhooti..
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Bilkul sahi kaha sub nain masha Allah kafi bazameer members hain yahan.

Jhoot bolna mana hai to jhooti qasam to aur bhi bohat mana ho gi. Allah ya quran ki qasam say to aur ziada parhaiz karna chahyay. Baat baat pay qasam khana bohat buri adat hai. Is say bachna chahyay aur ahista ahista is adat ko khatm kar dena chahyay.

Main nain aisay hi logon ko jhooti ya qasam khatay daikha hai jo bohat ziada jhootay hotay hain aur jinki islami taleem na honay kay barabar ya kuch naheen hoti.

Jin gharon main parents khud ya to bohat jhoot boltay ya qasmain khatain ya jhooti qasmain khatain hain to buchchay bhi aisa hi seekh jaatain hain phir wo adatun aisa karnay lugtay hain k baat baat pay jhoot aur jhooti qasmon ka irtikaab kartay hain.

Ziadatar wohi parents is tarha ki har katain kartain hain jin ka ya to islami taleemaat say door door tak wasta naheen hota ya bohat thori maloomat hoti hain Islam k baray main na honay k barabar ya phir knowledge hota hai per amal naheen ya phir dunia jeetnay k chakkar main hotay hain.

Khair wajah koi bhi hum hamain jub bhi aur jis umr main pata chalay k jhoot naheen bolna chahyay aur na hi jhooti qasmain uthana chahyay baat bay baat to forun is adat ko tark karna chahyay.

Agar kisi member ki aisi adat hai to baraay meharbani parhaiz karain aur ahista ahista apni adat badal lain. Shukri.

Topic bohat achcha chaira hai poster nain. Masha Allah.
 
Top