Non Muslim Cook

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
Assalam-o-alykum

  • Kia koi Muslim kissi non mulism k hath say bana howa halal kahna kah sakta hai ?

  • kia koi muslim kissi non muslim k sath kahna share kar sakte hain ... ya wohi plate ya glass use kare jo kissi non muslim nay use ki ho pehle ??
 
unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan

Walaikumasalam
well nice questions

Apka jo 1s question hai is k baray may kal he aik molvi sahab ne detail may bataya hai
Ksi ghair Muslim k hath ka paka howa khana khana jaiz hai bilkul jis may k vegetables waghera shamil hain...is k ilawa gosht ya meat ki bani hoi koi chez bhi ho to us may thora ehtiyat kerna lazmi hai coz Islam may Halal Or Haram ka Fark rakha gaya hai jo k dosray religions may nahe hai...Or is k ilawa dil may Karahat zaror paida ho sakty hai k aya cooker ney safai say khana banaya hoga ya nahe...to behtar yehi hai k Muslims k hath ka paka howa khana khana chahiyay takay apka dil bhi satisfy rahay

Apka 2nd question jo hai uska answer mughe confirm nahe but soon mein Islam ki roshni may iska answer zaroor dongi
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
Assalam-o-alykum

  • Kia koi Muslim kissi non mulism k hath say bana howa halal kahna kah sakta hai ?

  • kia koi muslim kissi non muslim k sath kahna share kar sakte hain ... ya wohi plate ya glass use kare jo kissi non muslim nay use ki ho pehle ??
1. App ke first Question ka jawab maine Mauala Shah Tarab-ul-Haq Qadri sahib ki aik Audio file say suna hai unhon ne farmaya hai ke Vegitables tak tu koi harj nahi app kha sakty hain but gosht nahi khana cahiye kyon ki app ke pass koi saboot nahi ke yeh jiss cheez ka gosht hai woh halal ki gai thi ya nahi so buhat ehtayat karni cahiye... Vegitables kha sakty hain aghar app ki majbori hai ke kahen aise jagah hain Jahan Ghair Muslim cook hai tu thekh hai kha sakty hain.

2. Dosry Question ka jawab bhi unhon ne diya woh farmaty hain ke waisy tu Ghair Muslim ke sath Ta'auluqat rakhna thekh baat nahi ke kaheen app uss say itna zyada close ho jain ki uss ke mazhab main bhi interest laine lagay aur Islam ke baray main app ke dil main koi ghalat baat paida hoo jai tu ghair muslimon say ta'aluqat itne nah barhain per aghar koi Business waghaira ka muamla hai ya app kaheen Job karty ho jahan Ghair Muslimon say baat cheet hoti hai tu wahan jaiz hai per remember unn say itna zyada ta'aluqat nah rakhain ke unn ke mazhab main mayl hona shoro ho jain so kafi ehtayat rakhi jai

Aghar app ko iss ki Audio files cahiye tu main woh bhi post kar don ga.
 
Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
welll thanx U-s amd midtown for answer( dun worry beast, its all goood))

but midtown second sawal k jawab mein aap nay muslim or gher muslim ki dosti or talluqat ka bataya jab k mein ne poucha tha k kahnay ka barttan(plate, glass, cup) share karna...

kia hum muslim us plate ya glass mein kah pii sakte hian jisy pehle kissi non mulim nay use kia ho....
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
welll thanx U-s amd midtown for answer( dun worry beast, its all goood))

but midtown second sawal k jawab mein aap nay muslim or gher muslim ki dosti or talluqat ka bataya jab k mein ne poucha tha k kahnay ka barttan(plate, glass, cup) share karna...

kia hum muslim us plate ya glass mein kah pii sakte hian jisy pehle kissi non mulim nay use kia ho....
Bhai iss masla per Fatwa tu nahi but aik Alim-e-Deen say pocha hai woh kehty hain ke aisy Glass aur Plate main Musalman nah khain jiss mein Ghair Muslim ne koi Haraam khana khaya ho per aghar uss ne Halal khana khaya ho tu app ki majbori hai phir app kha sakty hain beharhal ehtyat karni cahiye.
I hope ke app ko app ka Jawab mil gaya hai.
Aghar koi mazeed question ho tu mujhe khushi hoo gi uss ka answer daine main.
 
unique-style

°Oº*ÑÅTû®ãll¥ ÛñîQûÉ*°Oº
VIP
Mar 15, 2007
28,055
11,918
1,113
18
Karachi-Pakistan
Bhai iss masla per Fatwa tu nahi but aik Alim-e-Deen say pocha hai woh kehty hain ke aisy Glass aur Plate main Musalman nah khain jiss mein Ghair Muslim ne koi Haraam khana khaya ho per aghar uss ne Halal khana khaya ho tu app ki majbori hai phir app kha sakty hain beharhal ehtyat karni cahiye.
I hope ke app ko app ka Jawab mil gaya hai.
Aghar koi mazeed question ho tu mujhe khushi hoo gi uss ka answer daine main.

Thxz midtown
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
And Shaid aik Hadith shareef hai ya uss ka Mafhom hai ke Pani har cheez ko Paak kar daita hai....
 
sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
agar aisi jaga hon jahan har koi non-muslim ziada hon aur un k saath uthna bethna ho to majboori ki halat main to kiya jasakta hai na?

kyn k bohat se log bahar jobs bhi kartay hain wo halaal khatay hi hain lakin sometimes un ko un hi k saath shar karna parta hai pots use karnay partay hain phir wo kiya karain?
 
The_Dark_Knight

V.I.P Member
Senior Member
Apr 22, 2008
957
472
763
TM
agar aisi jaga hon jahan har koi non-muslim ziada hon aur un k saath uthna bethna ho to majboori ki halat main to kiya jasakta hai na?

kyn k bohat se log bahar jobs bhi kartay hain wo halaal khatay hi hain lakin sometimes un ko un hi k saath shar karna parta hai pots use karnay partay hain phir wo kiya karain?
Waisy meray bhi kafi jann ne walay logh Pakistan say baher hain aur kafi America bhi hain but aisa nahi hona cahiye aur nah unn ke sath kabhi aisa howa hum Muslim hain na so humain Islam ko pehlay dekhna cahiye baqi baad mein i don't think ke aise koi Majbori insaan ko hone cahiye ke woh Halal Chor kar haram ki taraf aa jai khair meine iss ka jawab diya hai ke Allamah sahib ne farmaya hai ke HARAM ki tu bilkul gunjaish nahi na but non-muslims say bhi itna zyada close nah hon ke app apne Deen ko hee bhool jain but unn ke sath khane mein tu koi Problem nahi hoo sakti aghar app aise jagha hain jahan hotay hee non-muslims hain but khayal rahai hamesha Halal cheez khain. {(popcorn)}
 
Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Assalam-o-alykum

  • Kia koi Muslim kissi non mulism k hath say bana howa halal kahna kah sakta hai ?

  • kia koi muslim kissi non muslim k sath kahna share kar sakte hain ... ya wohi plate ya glass use kare jo kissi non muslim nay use ki ho pehle ??

Ghair muslim k hathon ka halal paka khana jaiz hai jaisa k suna hai.

Meray khiaal main ghair muslim say dosti karna, unki dawat karna aur unkay saath khana peena sub jaiz hai shayad quran main bhi is ka zikr hai. Us bartan main khanay peenay say koi farq naheen parta.

Yay aur baat hai k glass main sharab piya gia ho aur ussay dhoya na gia ho to us main pani peena sahi naheen hoga ya phir aisa burtun jis main haram khana khaya gia ho laikin dhoya na gia ho.

Burtun dhulay huway aur paak hon to koi muzaiqa naheen.

Yay sub main nain meri naqis ul aqal jo kahti hai uskay mutabiq jawab dia hai.
 
Status
Not open for further replies.
Top