Iqrar-e-mohabbat 3 (pehli Nazar)

  • Work-from-home

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
hath dard ker rahy hein tu, khair no joke on serious discussion

qalmi dosti achi hai balky bohat he achi hai, as i have also 4 friends from pakistan, jin k sath mera bohat he acha relation hai, na kabhi un ko meiny apna mobile number diya or na he liya hai...baat vohi dost hota nahi her hath milanay wala
Thank you Haider bhai for your response...

I like trusting people, meeting people, knowing about them, be a helping hand, love them, respect them, laugh with them, cry with them, support them, socialize with them.... but honestly this social network and its relations have NEVER attracted me nor I got attracted with them.

It feels good when people like you as a person and communicate with you...atleast I feel happy that people around me (even on social network) love to read my comments and love to get socialised with me....

To some extent, you are right kay humaray culture main, humari taleem main huamrai saqaafat main, JHOT rach bas gaya hay aur hum iss say jitna chahay bhaag nahin saktay.... hum aksar woh likhtay hain jaisa hum banna chahtay hain woh nahin likhtay jaisay hum hain.... isi liye main social network per itna nahin hoon aur humesha 'space' rakhta hoon kiyonki yahan sachayii kam hii miltii hay...

@NailaRubab kii baat say bhi itifaaq rakhta hoon kay yahan TRUST karna apnay aap ko museebat main daalna hay.... mujhay bachpan say hii qalmii dost banaanay ki aadat thiii... aur aaj meray dost America main hain, Africa main hain... jinn kay saath khat-o-kitabat ka rishta hay, woh aaj bhi mujhay EID CARD bhaijtay hain aur main unhain NEW YEAR wishes cards..... yehi waja hay kay NET KI DUNIYA main bhi qalmi saathi hain jinn ki baatain achii lagtiii hain jaisay aap ho gayay.... magar yaqeen karain yeh rishta srif QALMI hay aur kuch nahin..... main sachayii say kaam laita hoon apnay comments main ho sakta hay yeh baat aap ko achii naa lagay magar yehi meri soch hay... main badalnay ki koshish karta hoon magar mera dil iss ko nahin maanta, woh andar hi andar jalna shuroo ho jaata hay kay aisay rishtay main mulawis hii kia hona jiss ko nibha naa sakay... main agar kisi ko bhai kahoon aur bhai honay ka haq na ada kar sakoon, kisi ko dost kahaoon aur dost honay ka haq na ada kar sakoon tou sab say ziyada gunahgaar apnii hi zaat ko samjhoon ga...

Bhai bohat kuch kehna chahta hoon.... magar ab alfaaz bhi saath nahin day rahay, aur type kartay kartay ungliaan bhi dard honay lagii hain =))
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
see how I am balancing... I agreed with @NailaRubab and @h@!der bhai =))


I am sure @h@!der bhai that TM is neither your priority nor its mine... I come here very often just to share laughter.... kiyonki waqayii humaray mulk main muskurahtain jaisay khatam hotii jaa rahii hain... main haqeqat main bhi aisa hii hoon, matlab meri koshish yehii hotii hay kay jo bhi mujh say milay woh khush rahaay..... However, I keep my distances.... aur yaqeenan humarii haqeeqi zindagi main aksar main nay note kia hay kay hum itnay bay-khabar hotay hain, jaisay aik bhai ko apni behan kay baaray main itna nahin pata hoga jitna aik social network kay muun bolay bhai ko pata hoga.... this is the fact,... we are more open with the person we cannot see.... yehi waja hay kay hum social network main apnii feelings zaahir karnay say katraatay nahin hain kiyon yahan humain sunnay waalay tou bohat hain magar dekhnay waalay koi nahin!!!
app ki bekhabri wali baat sy mujy aik baat yaad aa gaii, yeh sea view wala waqiyaa... TV py new chal rahi the..about C-Views deaths. tu meiny Mom sy pocha k kiya how ahai karachi tu kehti hein k tum ko nahi pata k karachi me kiya howa hai....phir meiny sarii khabar sunii tu pata chala..

in simple ham apny app sy bekhabar hoty ja rahy hein k or pata nahi hai k hamaray surroundings me kiya ho raha hai.
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
zindagi ko ham kahin nahi morty. halaat aur waqiyaat khud apna rasta banaty hen..
magar is me social media yaa personal life ko blame karna har giz darust nahi he..

bigaar ki kaye wajohaat hen.. jo ham sab janty hen.. magar.. phir b wohi sab karty hen.. so fault kis me hua??
anywys app ki baat bilkul theek hai @h@!der bhe bilkul theek hai, her koe apni jaga theek hai, lakin me apna bata chuki hoon, k me social life ko social he rakhti hoon... or inshallah personal life me kabhi shamil nahi karongi
 
  • Like
Reactions: Hoorain

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
i wd say... we need to b in our senses.. either its social or personal life.. balance is everything..
baat app ny vohi ki hai, matlab kaan ghumaa k pakar rahy hein. ham bhe tu yehi irshad farma rahy hein k, social or personal life dono ko alag alag rakho tu he beter hai just like offical/social/personal... then app ki life kamyaab rehti hai
 

Fanii

‎Pяiиcε ♥
VIP
Oct 9, 2013
61,263
16,095
1,313
Moon
yani tum ko @thefire1 ki love story number3 achi nahi lagi...jabhi meiny theek kara hai k meiny iss ki purii post perhi he nahi hai
aisa to kuch b nhi tha k achi nhi thi but funny thi boht is liye hansa :p
tm pori na parh kr b itne lamby lamby replies de rahi ho =))
 

Naila_Rubab

عمر بھر ادھوری محبت کا پورا سفر
Hot Shot
May 27, 2014
17,600
1,701
363
Sharjah
aisa to kuch b nhi tha k achi nhi thi but funny thi boht is liye hansa :p
tm pori na parh kr b itne lamby lamby replies de rahi ho =))
typing kernay ka jis tarah @thefire1 ko mazaa ata hai mujy bhe ossi tarah mazaa ata hai....
 

H@!der

Super Star
Feb 22, 2012
8,413
3,070
1,313
aap dono ki baaten apni apni jaga sehi hen .. aur logical bhi... sab ke apny xperiences hen.. aur Alhamdolillah mere xperiences ab tak achy hi rahy hen.. haan kahin kuch glitches aa jaty hen.. magar. overall .. its really beautiful..
@NailaRubab aap ki baat ka ek aur pehloo b hey ke.. no doubt ladkon aur ladkion ke liye social boundaries alag hen.. aur especially ladkion ke liye aitbaar karna na sirf bahut mushkil he balkey bahut risky bhi.. so its better ke limits define ki jaen jaisey aap ne ki hui hen..

@thefire1 mere nazdeek har wo rishta theek he jo aap ko kisi se chupana na padey.. especially apny ghar walon se.. jahan b shak ka koi shaiba tak aaya.. wahin se kharabi shuroo hoti he.. aur phir.. aaesta aaesta bigad paida hota he.. jo baaz auqaat Ir-reversable aur Ir-repairable ho jata he..so yaa.. keeping distance is wise.. but as i said.. sab ke apny xperinces hen .. aur wohi help karty hen ek opinion bananey me..
 

Aks_

~ ʍɑno BɨLii ~
Hot Shot
Aug 2, 2012
44,916
17,651
1,113
Assalaam-O-alaikum TMians


Aaj main apnay iqrar-e-mohabbat kay saath aik baar phir haazir ho gaya hoon, kiyon karoon mohabbat ka jazba meray andar koot koot kar bhara hay kay main bohat jald mohabbat main mubtila ho jaata hoon, aur phir uss mohabbat ko humesha qayim rakhta hoon....


Jab Tum Say Itifaaqan Meri Nazar Mili Thii
Kuch Yaad Aa Raha Hay Woh January Hii Thii



Jee haay woh Januray ka hi mahina tha jab aik sard shaam 'tahilnay' kay liye apnay ghar say nikla, uss waqt sardii bhi bohat shiddat kii thii kay moon say alfaaz bhi dhuwayin kay saath ada ho rahay thay..... main garam kapRoon main bas sardiyon ka lutf uthaatay huway jaa raha tha kay achaanak meri nazar uss per paRii aur main kuch lamhay ussay dekhta hii raha....


Uss kay wajood nay meri nazar ko apna markaz bana liya tha, main kuch dair usay aisay hi mahwiyat main ussay dekhta raha phir jab apnay hawaaas barqarar huway tou socha kay uss kay paas jayoon, ussay apnayoo, waisay bhi uss ka wajood mujhay apnii taraf khaich raha tha bilkul aisay jaisay koi maqnaatees kisi lohay ko kheech raha hay... yaqeen karain mujhay uss waqt apna dil bhi kisi lohay ka tukRa laga jo uss kii taraf khicha chala gaya....


Jiss tarah phool ki khushboo sab ko apnii khusboo say moatar kartii hay, isi tarah uss ki kashsih nay bhi bohat say logon ki nazroo ka markaz ussay bana diya tha, uss waqt pehlii baar iss gaanay ka matlab samajh aaya.... waisay suna tou bohat baar tha, magar uss dinn jab apnay aap per aisa mehsoos kia tou yeh gaana bohat apna apna sa laga.... kay waqayii uss per paRnay waali har nazar main, main nay apnay dil ko jalta hua mehsoos kia.....


Tumhain Koi Aur Dekhay Tou Jalta Hay Dil
BaRi Mushkilon Say Phir Sanbhalta Hay Dil
Kia Kia Jatan Kartay Hain, Tumhain Kia Pata
Yeh Dil Bay-qarar Kitna, Yeh Hum Nahin Jaantay
Magar Jee Nahin Saktay, Tumahray Bina
Humain Tum Say pyar kitna yeh hum nahin jaantay
Magar jee nahin saktay, tumhaaray bina



Bas phir kia tha, meray sabar ka paymaana chalak utha aur main apnay jazbaat per qaboo na paa kar, aakhir...............































































































Gulshan Khan kii raiRee per gaya aur 'Peshawari Chicken Soup' ka aik baRa piyaala khareed lia, aur apni garma garam Mohabbat ko 'ghattak' gaya =)) =))

@h@!der @Shizu @Hoorain @Seap @Rubi @fouziakhan @amazingcreator @NailaRubab @Shiraz-Khan @Fanii @Hira_Khan @DesiGirl .... please auroon ko bhi tag kara dain :) shurkiya aur @xortica_ ko bhi tag karna mat bhoolna =))
walaikum slaam achaw suspense hy aap ki mohobbat ka soory bhookkyyyyyy :p
 
Top