Coffe With Rr- Dr. Maqsood Hasni!

  • Work-from-home

dr maqsood hasni

Senior Member
Aug 11, 2008
943
286
1,163
72
kasur, pakistan
uncle jhoot ka pucha hy ..koshish ka nhi {(wallbash)}
baita zindgi khab hai
lamhoon ki kani hai
tarkh likhi ja rahi hai jo sar se paoon tak jhoot par ostawar hai
jhoot son rahe hain jhoot bool rahe hain
cheez baichne ke liay qasmain kha rahe hain
mofad ki khatar ghar bahir chair se jhoot bool rahe hain
kis kis jhoot ka arz karoon
 

dr maqsood hasni

Senior Member
Aug 11, 2008
943
286
1,163
72
kasur, pakistan
@dr maqsood hasni zara hamary swalo py b nazar dalen
reshta bhai sahib ne dikhaya tha pasand abba ji ne kya qabool ki mohar mein ne lagaee thi
donoon maire liay bohat hi mohtaram thay
issi liay aap ki anti aaj bhi mujhy bohat aziz hai
jawani ka kya likhoon bas gozar gaee kuch likhne parnay main kuch janchnay pakhnay main aur kuch saman hayaat aktha karnay main... aur bas yah hi jawani thi
ishq ko mein ne hamaisha waqt ka ziya samjha hai yah la'yaeniat ki taraf safar hai issay damagh ka bokhar kehna ziyada monasab ho ga. dosra is ke liay kabi waqt hi nahain mila.
baita ishq to siraf aur siraf Allah hi ka jachta sajta hai.
 
  • Like
Reactions: cute bhoot

cute bhoot

Sss...sssh €|[--]00T
Super Star
Oct 11, 2010
11,997
3,415
1,313
33
wadi-e-jinnat
Maqssood bohat barya jawab diye ap ny
*kis age ma shadi kee
*hamari aunty agar naraz ho jayen tu kesy manaty hain
*tm py kesy aana howa
*aisa member ko shararti ho aur ap ko tang karta hu
 
  • Like
Reactions: dr maqsood hasni

dr maqsood hasni

Senior Member
Aug 11, 2008
943
286
1,163
72
kasur, pakistan
Maqssood bohat barya jawab diye ap ny
*kis age ma shadi kee
*hamari aunty agar naraz ho jayen tu kesy manaty hain
*tm py kesy aana howa
*aisa member ko shararti ho aur ap ko tang karta hu
21 saal ki umr main
baita ab kya naraz aur kya razi hona hai
bolti hai to apnay monh se bolti hai maira kya karch aata hai.
monh, zoban, jabray, asaab, damagh aur lungs os ke istamal main hotay hain. mein 2 kan rakhta hoon aur oon ka khoob istamal karta hoon. eak se sonna dosre se nikal diya
yar maira khayaal bhi to rakhti hai na.
mein do char ghainte is kaam ke liay afford nahain karta. pechlay saloon ka likha parha jama kar raha hoon daboon main band kar raha hoon aanay waloon ke kaam aa'ay ga. warna raddi oth ja'ay ga.
bas aa gya khuch yaad nahain
bachoon ki choti choti masoom si sharatain achi lagti hain. yah hi umr har phir bicharay daal roti main phans jaein ge.
 
  • Like
Reactions: Hoorain

dr maqsood hasni

Senior Member
Aug 11, 2008
943
286
1,163
72
kasur, pakistan
maira shuru se hi iman raha hai kah Allah mujhy aur maire ahwal ko mujh se ziyada janta hai. koshesh karna maira kaam hai bless karna Os ki sach aur suchi zaat ka kaam hai.
 

thefire1

TM Star
May 31, 2014
1,802
586
163
Assalaam-o-alaikum Dr. Sahab,

Main nay aap ki kayii tehreer paRhii hain, aap kay alfaaz humaray maashray kii khoob akaasi kartay hain, meray chand sawaal hain, main inn sawaal kay jawab say apni maloomat aur ilm main izaafa karna chahta hoon. Meray sawaal taweel hongain jiss kay liye pasihgii maazrat, kia karoon jab zehan kasmaskash ka shikaar hota hay tou sahii alfaaz dhoondna dushwaar ho jaata.

1. Humara maashra 'double standard' ka shikaar hay, humaray maa baap apny baitay ko kisi laRki kay ishq main mubtula honay ko 'Nadaani' keh kar taal daitay hain, aur jab kay humari behan agar kisi ko pasand karay aur apni pasandeedgi ka izhaar karay tou ussay 'khandaan ki izzat' per khatra kiyon kehtay hain?

2. Hum khudh tou Star plus or dosray channels per drama main aik laRki ko ishq main mubtula hota dekhtay hain, rape scenes, laRki ka aghwa hona, laRki ka chori chupay larkon say milna... waghaira dekhtay hain aur jab yehi amal humaray apnay ghar main hota hay tou hum kehtay hain kay 'bachay haath say nikal gaya'.... mera sawaal yeh hay kay jiss tarah ki taleem hum apnay bachoon ko dain gain humain waisa hi phal milay ga... tou humaray waaldain humain 'bad-tameez', 'bad-tehzeeb', waghaira kay alqaabaat say kiyon nawaztay hain, jab kay unhoon nay khudh humain sahii taleem say aarahasta nahin kia???

3. Hum izzat kay naam per apni beti ka qatal kardaitay hain 'Honor killing' ka naam day kar, magar yeh ganwaara nahin kartay kay apni beti ki uski pasand say shaadi karwa dain, kia yeh waqayi bohat muskil kaam hota hay?

4. Merii waalda kay intiqaal kay baad, mujh say apnay waalid ka tanha rehna nahin dekha gaya, tou main nay apnay liye ammi dhoondnay ka faisla kia, magar meray tamam baRay bhai behan iss baat per razamand na huway, yeh keh kar khandan main humari kia izzat reh jaayay gii... kia khandan ki izzat ki khaatir hum apnay walid ko akaila rehnay dain... abbu tou khudh bhi raazi nahin hain, magar meri zidd kay aagay na srif ghar waloon nay balkay abbu nay bhi ghutnay tayk diye... kia humain zaroorat nahin hay kay hum apni soch ko change karain aur kisi 'baiwa' yaa 'talaaq yaafta' ko sahara bhii dain aur apnay waali ko bhi aik 'saathi'?

5. Ishq aur Mohabbat main farq ko wazhay tour per bayan karain, main chahoon ga kay aap Quran-o-ahdith ki roshni main iss kay farq per roshni daalain... kiyonki agar Mohabbat ka wajoob ALLAH nay humaray diloon main daala hay tou itnay khoobsurat rishtay ka Quran aur Ahdith main bhi zikar hona aik laazmi fayl hay?

Baaqi saawaal main baad main poochoon ga, shukriya.
 
Top