..Astrological belief..

  • Work-from-home

Sakina

Newbie
Oct 12, 2007
652
44
0
aj ki dunya mai astrology jo k bohat advance ho chuki , yah asal mai bohat purana knowledge hai

aik marta ALLAH TALLAH nay farishty ko zameen par bheja k is qoom ko taba o barbaad kar do us farishty nay farmaya k yah to bohat zikar kartii hai ap ka phir b ap kyun unhey azaab dena chaty hai ALLAH TALLAH nay farmaya k waha ja kar khud dekh lo jab farishta zameen par aya tab us nay dekha aik admii nadi k kinaray darakht(tree) ki tehni (branch) say kuch likh raha hai farishty nay us say poucha kiya kar rahay ho us nay kaha mai yah dekhna cha raha hon k mujay aj kitna faida ho ga is nadii k kinaray kaam karny say farishty nay us say phir poucha k is waqt mujay yah bata sakty ho k ALLAH k Farishta (apna naam lay kar) woh kaha hai us admi nay zameen par mathemetical kuch kiya aur aik circle draw kar diya aur kaha yah is circle k ander ya tum ho ya mai hon ... aur ALLAH ka farishta isi mai say aik hai (ya tum ho ya mai hon)

is ka saboot hamei quran-e-pak mai b milta hai k astrology aik knowledge hai

Hazrat Ibrahim (A.S) ka zamana astrology ka gar tha. log pehlay sitaroon say jaan liya karty thay k kiya acha hony wala hai aur kiya bura honay wala hai aur us k mutabik woh apny app ko b prepare rakhty thay jab k asliyat yah hai k jab stars rotate karty hai to un ka asar zameen par parta hai is bina par atmosphere change hota hai aur mosamo mai tabdili atii hai jo insan k zehan par asar andaaz hotii hai agar atmosphere positive ho to asar b positive hota hai warna insan galat soucho mai par jata hai.chand ka asar direct aurat par hota hai aur sooraj ki pooja b pehlay insan isi liye kiya kartyy thay kyun k woh suraj ko khuda samajty thay.

ayat b hai k

"or aasmaan o zameen mai or raat o din k adalny badalny mai nishanaat hai akal walo k liye"

zameen mai to hamei kae nishanaat milty hai assmaan mai stars, moon , sun etc hai woh b nishaniyon mai say hey hai jis ka asar insani zindagi par hota hai

ALLAH TALLAH nay jahan yah knowledge is dunya mai rakha hai waha ALLAH TALLAH nay astrology par belief rakhny k bijaye yah kaha hai ISTIKHARA karoo har kaam karny say pehlay jahan jaiz cheezo ka bataya hai wahan najaiz ka b ilm diya hai.jahan insan mai feelingz rakhi hai wahi nikah ko b farz karar diya hai.jahan haram ko halal say alag kiya hai waha insano mai akal dalii hai.ALLAH tallah nay achae k sath burae ko b janam diya hai magar yah insan par chore diya hai k woh kon sa rasta apnae aur usi par jaza o saza rakhii hai

taqdeer or rizak insan ki peedaish say pehley hey ALLAH TALLAH likh datay hai insan phir is dunya mai ata hai .taqdeer mai sirf zindagi mout hai aur rizak ka wada ALLAH TALLAH nay khud kiya hua hai .magar phir b jannnat o dozak banae hua hai sirf isi liye k insan jo achae ko burae say alag rakhyy aur achay amaal karey us k liye janat hai.insan k naseeb us k aamaal say banty hai us ki qismat us k kaam say banty hai aur jab ham say kuch bura ho jaye to ham ALLAH TALLAH par ilzaam detay hai ya phir jo astrology par belief rakhty hai woh usay zehan par sawaar kar detay hai jabkay yah hamaray imaan ki kamzoori hai.

Hazrat Muhammad (S.A.W) nay b hamesha yah dua ki ALLAH say k "woh ilm day jis say nafa ho na k nuksaan ho"

har cheez ki 2 sides hoti hai positive aur negative isi tarah astrology ki b 2 sides hai . hamei ALLAH tallah par barhosa rakh kar har cheez ko accept karna chaiye .

ALLAH TALLAH nay 2 namazein (kaswoof o khasoof) b kisi maqsad k liye rakhi hon gi yah namazein chand o shuraj garhaan(Eclipse) k waqt parhi jati hai in ki qaza b hoti hai agar koi waqt par na parh sakay tab woh qaza parh sakta hai .

jab chand garhaan (moon eclipse) ya suraj garhaan (sun eclipse) lagta hai woh apny sath kabii achi cheezein(khusiyan, shadiyan, bachon ki pedaish, zindagi, sehat) lata hai kabii burii cheezein (haadsay, bimariyan, aasmani aaftay , amwaat, kehat (famines), na-haq aur shareeyat k khilaaf cheezein) . in sab say bachny k liye ALLAH TALLAH nay 2 numazein rakhii hai jo k farz ki tarah hai yah namaein parh kar hey ham apnay ap ko bacha sakty hai burii aaftoon say.

garhaan (eclipse) ki numaz b wasay hey parhi jatii hai jesay 2 rakaat nafal numaz parhty hai aur sajday mai ja kar ALLAH TALLAH say apnay haq k liye dua karein aur ALLAH ka reham mangein.

jab 2008 saal shuru hua tha tab astrologist nay yah dawa kiya tha k yah saal dunya k liye khoon kharaba laye ga aur saal shuruu b nahi hua tha k benazir ki wafaat k baad hangamay hey shuru ho gaye.yah prediction unho nay is base par di thi k 2008 mai 4 garhaan (Eclipses ) lagny hai .
1. sun eclipse (suraj garhaan ) 07 february 2008
2. moon eclipse (chand garhaan) 21 february 2008
3. sun eclipse (suraj garhaan) 01 august 2008
4. moon eclipse (chand garhaan) 17 august 2008
 

mohtarum

Newbie
Mar 31, 2007
334
126
0
48
Firts off all thats a very good article on astrology and plus on some basic concepts of over religon, like on special occasion special prayers.
The name of angel is Hazrat Jibrael Ellesalam. When you write The name of over prophet Hazrat Muhammad Mustafa Salallaho Ellehiwasalam, must write with "U", word "o" is wrong in prophet's(p.b.u.h) name.
 

Sakina

Newbie
Oct 12, 2007
652
44
0
Firts off all thats a very good article on astrology and plus on some basic concepts of over religon, like on special occasion special prayers.
The name of angel is Hazrat Jibrael Ellesalam. When you write The name of over prophet Hazrat Muhammad Mustafa Salallaho Ellehiwasalam, must write with "U", word "o" is wrong in prophet's(p.b.u.h) name.

shukriya correction k liye mujay yah pehlay nahi pata tha
 

candy

TM Star
Jun 5, 2007
1,274
360
1,183
Canada
wow who can read that its too much
I mean thankx 4 sharing it, cool post, wonderful information, good post, itz very helpful
 
Top