12 Rabi Ul Awwal

  • Work-from-home

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,301
1,313
AMEEEN................[DOUBLEPOST=1349770258][/DOUBLEPOST]
@Detective aik taraf aik thread pe aap sab ko aik karney ki baat kar rahi hain aur dosri he thread pe un par tanqeed kya is terha se hum sab aik honge. Allah sab ko hidayat de Aameen
pr mai ney koi firqey ki baat nhi ki:(
jo sahi msg tha wohi post kiya ap daikhiye mai uper sey firqey ka nam remove kiya hai,,,,,,,o_O
 
zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,301
1,313
aqalmandoo ke lye ishara kafi hota hai . aur yahan mashaAllah sarey aqalmand hazraat hain
kassam sey mai kisi firqey ki wajah sey ye share nhi kiya...:mad:
tou kya humain EID millad mnani chahiyeo_O
 
Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
kassam sey mai kisi firqey ki wajah sey ye share nhi kiya...:mad:
tou kya humain EID millad mnani chahiyeo_O
main us topic pe nahi jaon ga ke manani chaye ke nahi manani chaye . i m just telling u jab aik taraf aap sab ko aik karna chah rahi ho toe aisi batoon ko bhi radd karoo jis se doorian barhti hain. warna koi faida nahi aap ki pehle wali thread ka . JazakAllah khair
 
  • Like
Reactions: Detective

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,301
1,313
main us topic pe nahi jaon ga ke manani chaye ke nahi manani chaye . i m just telling u jab aik taraf aap sab ko aik karna chah rahi ho toe aisi batoon ko bhi radd karoo jis se doorian barhti hain. warna koi faida nahi aap ki pehle wali thread ka . JazakAllah khair

pr aj pakistan aur hind mai sirf koi aik firqa nhi EID millad mnatey tamam pakistani mnatey hai,,,,hum khud mnaya krtey they ,,,jab humain pta nhi tha,,,,,,mai yahan sirf rabul awaal key barey mai btaya hai,,,,,k ulmaa key nazdeek sahi tareekh kya hai,,,,,
 
cutepoison

Banned
Jun 14, 2012
1,426
1,274
163
Karachi
jin ki books me likha hoa hai aesa aur phir bhi mana rahai hain to han phir to ghalat hoa ek tarhan se ilm ki kami hoi ... but agar aap k paas jo book hai us me likha hoa hai aur un ki books me nahi to phir ye tazaad hai ...
phir wo ghalat nahi kar rahai ... Nabi pak (s.a.w) ki wiladat k barey me Quran pak me date nahi bataii gai means is ka taluk history se hai .. aur yahan sari laraii hi history ki hai ...
history pe jo laraii hai wo khatam nahi hone wali isliye is tarhan ki behas kar k apas me inteshar na phelaen please...
 
zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,301
1,313
Hummmmmmm

umdaah thread great worked

hum bhi INSHA'ALLAH is mauzu per rabi ul awwal ke qareeb hone per
tafseeli thread lagayengen aur biddat e hasna kabhi usme zikr hoga INSHA'ALLAH .
g zaroor lgaiye ga JAZAKUMULLAH KHAIR

aur rajab key koondon key barey bhi aik thread zroor lgaiye ga:)

JAZAKUMULLAH KHAIR
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
jin ki books me likha hoa hai aesa aur phir bhi mana rahai hain to han phir to ghalat hoa ek tarhan se ilm ki kami hoi ... but agar aap k paas jo book hai us me likha hoa hai aur un ki books me nahi to phir ye tazaad hai ...
phir wo ghalat nahi kar rahai ... Nabi pak (s.a.w) ki wiladat k barey me Quran pak me date nahi bataii gai means is ka taluk history se hai .. aur yahan sari laraii hi history ki hai ...
history pe jo laraii hai wo khatam nahi hone wali isliye is tarhan ki behas kar k apas me inteshar na phelaen please...
Ilm ki kami to tab hogi ke wo ye bolen jisne book me ye likha hai ke 12 rabi ul awwal
Rasool e kareem saww ke wafat ka din hai us shakhs ka humen ilm nahin
lekin ye to us shakhs ke tamaam kitaabein parh parh kar khud ko uske peeche
rizwiya bolte hain aur unke har fatwe ke durust hone ka daawa karte hain

bhale hi is mutaaliq jitna bhi ikhtilaaf kar lein loug lekin sanad ke saath sahih bukhaari
me ahadeeth maujood hain aur baqaaiyda unhone ahadeeth ke abwaab jamah kiye hain
Marz e Nabi a.s ke mauzu per jinme tamaam ahadeeth sanad ke saath hain wahin
rasool e kareem saww ke wisaal yaani is dunya se unke rooh e mubarak ke rukhsat ki
tareekh bhi hai so hadeeth wali sanad ke bawajood ikhtilaf ka kya jawaz ?? aur agar
unko ikhtilaf hai phir jis tareekh e wisaal per unka apna yaqeen hai us din jashn manane
se ummat e MUSLIMA ka dil dukhaate hain aur kuch nahin karte

aur haan @Cutepoision bro har baat ka zikr QURAN me tafseel se bayan nahin
lekin uska zikr hai phir tafseel o tafseer ahadeeth se saabit hai jese maut e nabi a.s
ka bhi zikr QURAN me mukhtalif maqamaat per aaya hai phir Sahih bukhaari me
uske mukhtalif abwaab maujood hain aur
jese ke biddat ka bhi hai aur biddati ko bataur e tafseer
mushrik kaha gaya hai ab teen eid wale ko ghalat kehna inteshaar phelana
nahin hai balke kisi ko ghalat harkat se rokna hai

ALLAH PAK hum subko hidayat ata farmaaye aur saal me do hi eidein manane ki taufeeq de Aameen .
 
JAZAKUMULLAH KHAIR bilkul sahi kaha aap ney...

ager koi ye sabit kr dey k 12 rabul awwal tareekh e pedaish hai tou mnatey rahey khushi sey apni biddat e husna

pr ager ye tareek e inteqaal hai tou ye husna bidaat kis wajah sey mna rhey hai,,,,,?
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,085
1,313
31
Karachi,PK
JAZAKUMULLAH KHAIR bilkul sahi kaha aap ney...

ager koi ye sabit kr dey k 12 rabul awwal tareekh e pedaish hai tou mnatey rahey khushi sey apni biddat e husna

pr ager ye tareek e inteqaal hai tou ye husna bidaat kis wajah sey mna rhey hai,,,,,?
Haan ji siso balke 12 ko peidaiysh sabit karna door ki baat wo khud 12 ko tareekh e wisaal maante hain

ab ALLAH PAK hi hidayat de aise jaahilon ko Aameen humen bhi biddat e hasna karne ka

kaiin baar shauq hota hai lekin phir QURAN ki yeh ayat aage aa jati hai ke

Aap farma dein agar tum ALLAH se mohabbat
karte ho to meri perwi karo tab ALLAH tumhen
mehboob bana lega aur tumhare liye tumhare
gunah maaf farma dega aur ALLAH nihayat
bakhshne wala mehrban hai

Quran surat al Imran ayat#31

to jab ALLAH PAK ka aelaan hai hukm hai farmaan hai ke
agar ALLAH se mohabbat karte ho to Rasool e kareem saww
ki pairwi karo aur is tarah humaare gunah bakhshe jaayengen
aur ALLAH humen mehboob bana lega to RASOOL E KAREEM saww
ki pairwi me humen do eidein mili hain aur jinke naqsh e qadam pe
chalne ka unhone kaha tha un Sahaba e ikraam r.a ke hayaat me bhi
humen do eiden hi mili hain so jise ALLAH se uske RASOOL saww se mohabbat hai
uski do eidein hain baaqi jaahilon ko hum ALLAH ka chaahne wala kahen
ya isse ghair kahen unhen faraq nahin parta .
 
Top