Apnay Parents Ki Qadar Kijye

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Asalamo aliekum



kuch batain aisi hoti hain jo intihai khoobsuroorat hoti hain jinhain perh kar 1 ajeeb si khushboo aati hai..aap log hairaan horain hongay ye kon si batain hain..

haan hosakti hain har shaks ki zindagi main hoti hai..aap ki meri sub ki agr aap longo k pass time ho to in khoobsurat baaton ko perhnay aur samajnay k liya zuroor time nikalye ga..



insaan ki zindagi main un k parents kitni ahmiat rakhtay hain..ye to sub ko hi pata hai..lakin un k hotay huay kabhi ye ahsaas nahi hota..

bilkul is tarha jaisay neem k ghanay darakht k neechay insaan beth kar sub kuch bhool jye k kitni dhoop aur tapish hai kitni barish hai mosam ki sakhti jo ye darakht bardaasht karraha hai ..

neem ka darakht apnay ghanay aur thanday sye ki waja se bohat mashoor hai...lakin agr isay kaat dia jye to kia hota hai..

koi shaks kia ye jaan sakta hai jis darakht k neechay ye betha tha wo darakht khud kitni dhoop aur mosam ki sakhtian bardaasht karraha tha..

haan ab aap samajh gai hongay..hamaray parents bilkul is neem k darakhton ki tarha hain jab tak ye hotay hain hamain dunya ki sakhtion ka ahsaas nahi hota aur jab chalay jaatay hain to in ki qadar mehsoos hoti hai phir hum aansoo bahatay hain kaash wo hotay to hum un ki itni khidmat kartay ye karatay wo kartay..


meray piyaaray behan bhaion aap se sirf itna kehna chahti hoon k olaad k liya parents bohat bari naimat hain un ki qadar un ki zindagi main hi jaan lijye plz unhain dukh na pohnchye kisi bhi baat par un k saath jitna mumkin ho khush akhlaaqi se pesh ayen...


Allah nay apni raza ko baap ki raza main aur maan k qadmon k neechay jannat aisay hi nahi rakhdi jis nay apnay parents ko khush karlia is dunya main wo hi shaks kaamyaab hai aur un ki duaon se zindagi ka har safar kamyaab hai...is liya apnay parents ki qadar kijye....

aur meray parents ko apnay esaalay sawaab main yaad rakhye

Allah aap sub k parents ka saya hamesha hamesha aap k saron par qaim rakhay (Ameen---summa Ameen){()|asf


Dua go


by ~*Ss*~
 

sharukh

Newbie
Jan 11, 2008
95
1
0
v good ss ap ki thinking zabardast hain aur ye read kr k bara acha feel hua parents ki kadar really bohat karni chaheya aur un ko jitna hosakay res do...........nice
 

HaRrIz

Newbie
Nov 20, 2007
346
59
0
38
Really Nice On Post ... Is Dunya Mein Sirf Allah HAi Or Ap K Maan Baap . Dats It..
 

mohtarum

Newbie
Mar 31, 2007
334
126
0
48
{(clock)}Buhat achi baat kahi he, waqt per sab ko samjh aa jae to kia baat he. Mager iss ki shayed kuch wajoohat hooti hein.
  1. Kia waldein bucho se apne reham ka sila mangte hein?
  2. Kia wo sab iss lie kerte hein ke bache unke ehsaanmand hoon?
  3. Kia aap unki mohabbat or khidmat ko loota sekte hein?
"Sab log abhi "Istaghfaar" perr ker tamaam dunya ke musalman Maa Baap ko baksh dein. Allah unsab ko Janatul Firdos main jaga aata farmae. Amin!
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
aap theek keh rahay hain muhtaram lakin yehan baat ye horahi hai k olaad apnay parents ki un ki zindagi main qadar karna seekh lay aur parents ko ye na kehna paray k jab hum na hongay to tum longo ko ahsaas hoga...

parents aksar apni olaad ko ahsaas dilaatay hain lakin ahsaan nahi jatatay ahsaan jatana ya sila maangna alag baat hai aur ahsaas dilana lag baat hai jo k bachpan se dilaya jaata hai...

ye reasons jab hotay jab bachay apnay parents ki nahi maantay kisi bhi baat par zid kartay hain wo jin kaamon ko rokain un ko karna chahtay hain tab parents kehtay hain k abhi ham naseehatain karrahay hain lakin hamaray baad tumhara itna khayaal ya naseehatain koi nahi karay ga..

phir un k jaanay k baad ahsaas hota hai..its my experience.

main nay yehan sirf ye batana chaha hai k parents k baat manain unhain disheart na karain kisi baat par aur foran muafi maang lain
 

Sahiba

Newbie
Jan 31, 2008
72
10
0
Its really a Fantastic sharing
kuch baatain waqay hi life main important hai like jo app nay yahaan share ki
hamay hamesha apnay parents ko khush rakhna chahya coz wo hamesha hamay khush rakhtay hamain har wo cheeze provide kartay hain which we want...jiasay bhi kar k wo hamari har khuwaish poori kartay hain....tu hum kion nahi kar saktay we ll try to do our level best
ss ...u share very touching topic waqay hi hamin qadar tab feel hoti hai jab wo hamray paas nahi hoti
i pray sab k parents un k paas rahain....aur hum isi zindgi main un ki qadar jaan sakain
 
Top