11-Biryani
12-Trifle Pudding
13-Green/Black
14-Kurta Pajama/ Lekin zyada mauka nahi milta kurta pajama pehenne ke liye kyu ki office jaana hota hai to zyada jeans T-shirt ya Casuals hi pehenta hu..
15-Canada aur city Madina
16-TV Dekhne ka maukha hi nahi milta..
17-Winter, Summer meri tabyat ke liye thik nahi hai zyada garmi mujhse seh nahi jaati, hamesha hi sardi me raha hu, lekin i can resist in any season hai kyu ke insaan ko har jagah har season ko bardaasht karne ki aadat honi chahiye...
18-Daastan Imaa Farosho ki(a book on Sultan Salah Uddin Ayubi) ALLAMA IQBAL
Main khud zameen mera zarf(hausla) aasmaan ka hai
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai
Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai
Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein
Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai
Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani
Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai
Bichhar k us se main bas es liye nahi bikhra
Wo keh gaya tha yehi waqt terey imtehaan ka hai
19-Playing Cricket, giggling with Friends
20-Rishte ALLAH TAALA ki di hui aisi nemat hai jo hame hamesha yaad rakhna chahiye lekin aaj kal ke daur me ye bohot dekha jaa raha hai ki Insaan rishton ko tor te jaaraha hai, ek Hadees ka mafoom hai ki Jo Insaan Rishton ko torega wo Jannat me Dakhil na hoga...
Aur mere nazdeek sabse behtareen rishta Maa/Baap ka hai, kyu ke ye rishte ki baat hi sabse alag hai, har rishte apne me ek maqaam rakhta hai lekin ye rishta aisa hai ki har Maa/Baap apni aulaad ko kabhi ghamgeen ya koi mushkil me nahi dek sakte, jab ki aulaad ye rishte ki qadar karna chor ti jaarahi hai, ek baar jab koi aulaad pareshaan hoti hai to Maa ya Baap aaker puchte hai kya problem hai to aulaad jawaab deti hai ki aap log nahi samaj sakoge rehneden.. jab ki hame baat karna nahi aata tha chote the tab aur hame hamare Maa/Baap se zyada koi aur nahi samaj sakta tha....