kya ye Muhabbat hai?

  • Work-from-home

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
hmmm bht acha aur naseehat amoz tahreer hai....
aise hadse toh bht hote hai
logo ko en sab ka knowledge bhi hota hai
phr bhi jahalat se baz nhi ate.....
Khair
yeh Muhabbat nahi Hamaqat hai
Allah Hidayat de...Ameen
thnx for sharing ANnu:)
 
~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Bahut Umdagi se tumne Annu Muashere ki ek burayi ki taraf qalam uthaya hai....
haan mohabat gunah nahi magar log ise gunah ka roop dedete hain...
Apne shareek e safar ka intekhab har kisi ka haq hai lekin humare liye Qudrat ne kuch qanoon banaye hain aur jo in hudood ko par kar jata hai,uske liye tabahi aur barbadi ka rasta intezar karta hai...
Har chamkti cheez sona nahi hoti aur na hi har jazba Mohabat kahlata hai..Waqti iltefaat aur dil ki gehrayi se ki gayi mohabat me bahut farq hota hai,jo k ajkal ki nasal is farq se be behra hai...aur isi khushnuma rishtay e Mohabat ko kabhi na khatm honewale gunah k raste me tabdeel kardete hain...
Allah hidayath de...Ameen

Annu mubarakbad is khubsurat tahreer par dear..khush raho...{(dancing)}
 
Babar-Azam

"Be serious" - "I am wild"
TM Star
Jun 27, 2010
4,089
1,482
1,013
Abbottabad
nice thread...laiken mery khyal se is tarha k waqiyat jo b hoty hain is mai saab se zyada qasoor parents ka aur barun ka hota hai...agar kahien pe larka ya larki khush hun tu rishta de dena chahiay tu mery khyal se koi b yeh qadam nai uthay ga aur agar belawajah inkar karain parents tu phir tu lazmi baat hai k larky aur larkian aisay he qadam uthain gai qn k is age mai baqi cheezun ki kisi ko parwa na hoti....aur baqi jo yeh mulaqatain waghera hoti hain yeh tu ghalat hai...
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
awsum sharing annu...........bohat bohat accha likha hai{(thx)}..
tumhare qalam main jadooo hai waqai
n mohabbat aur dhokay main kaafi farq hai, ye kismat ki baat hai k kis ko mohabbat milti hai aur kis ko dhoka
but hamen kismat aazmane se ziyada sab ALLAH pe chor dena chaiye aur apne parents pe:) taa k agar baad main halaat kharab hon ya hum dhoka khayen, tou at least poori zindagi ki nadamat aur pachtawe se tou bach jayenge na
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Iam completely Speechless... aise khubsorati se likha hain aapni jitna bhi apreciate kare kum hain
Sania k Advices wakiye mei kabel e Ghaur hain us mei hikmat and wise baate hain jho ager koi banda samajh jaye and usay implement kare so they will never fall astray... Aise buhut se wakiyat hue hain and sab ka anjaam same he hota hain gher se bhagna is the worst way es se ek tu hota yeh hain k Parents ko zilat k zindagi guzarne huti hain and unke ghum kabhi jeene nahin degi dusre baat yeh k no one can be so sure k jess bande k saath voh bhaag ker shadi k plan ker rahe hain voh wakiye mei sincer hain.
yeh baat sahi hain k Aurat zaat buhut he emotional hote hain jald he kessi k baato mei athe hain and that is the reason k kuch loug unke emotions ka faida utha the hain but akal tu sub k paas hain ager thora sa hikmat se kaam le so koi aise unhe ghalat raaste pe lead na kerte jes k baad sewae berbadi and zilat k kuch nahin hota,
so jaise k Nelli ne kaha k sub Allah and aapni Parents per chorne chahye so wakiye result Sania k zindagi k jaise Izzat and Mohabbat se bhari hugi InshAllah.
baki aapne buhut acha likha hain and saath mei ager aap thora buhut Hina k saath jho hua voh kio hua? uska wazahat ker leti tu story aur bhi clearly subko samajh ajate else thunbs up for this writing of yours :)
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941

shukria..
han g nello thek kaha..Allah behtar janta hai humare liye kya behtar hai ..so wait for the right time..
aur jis ka intikhab humare liye kia gya hai..wohi humare liye sb se behtar hai..

thnx 4 ur comment
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
/hmmmm very nicely written by u annu :)

aaj k muashrey ki bohat si buraiyon may se aik bohat barri burayi ko highlight kiya hay aap ne

aapki story parhtey hue aik choti si kahani yaad aayi muje
main usse share karna chahungi

kisi mulk k badshah ko aik larki se muhabbat ho gai jo bohat khoobsurat thi badshah ne us larki se shadi kar li aur hamesha usse utni hi muhabbat di badshah k haan doosr mulkon k badshahon ka bhi aana jana tha wo apni biwi ko bhi sab se milwata kisi mulk badshah ko uski biwi bohat pasand aayi us badshah ne uski biwi se rah_o_rasam barha li aur badshah ki biwi doosre mulk k badshah k saath chali gai
badshah bohat dukhi hua wo us se sachi muhabbat karta tha wo bohat roya us ne bohat koshish ki k uski biwi wapis aa jaaey

us ne doosre badshah se deal ki k tum meri biwi ko wapis bhijwa do badley may tum jo chaho main tumhe dunga

doosre badshah ne kaha theek hay agar tum waqe hi us se muhabbat kartey ho to apni biwi ki qeemat lgao main apni pasand ki qeemat par tumhari pasand tumhe wapis bhaij dunga
doosri ryasat ki currency "TAKKA" thi

Badshah bola main apni biwi ki qeemat 2 takkey lgata hoon

doosra badshah bohat hayran hua aur bola k tum to us se itni muhabbat kartey ho aur qeemat sirf 2 takkey

to badshah bola "jis aurat ko apne kirdaar aur apni izzat se bhar kar koi cheez azeez ho uski value to aik takka nhi hoti
ye to meri muhabbat hay k amin2 takkey lga rha hun

jo log ye keh rhe hain k q k parents nhi maaney shadi k liye to unhe bhaagna hi tha

to at least aap aik baar ye zaroor soch lo k jo insan 4 din ki mail mlaap ko muhabbat ka naam de kar apne parents apne ghar waalon ki itne ssaalon ki belos muhabbat ka khayal nhi rakhta aur unhe dukh de kar bhaag sakta hay wo kisi se kaise sachi muhabbat ka dawa kar sakta hay
 
Qalandar

Active Member
Aug 8, 2011
323
477
63
37
اللہ رحم فرمائے یہ برائی واقعی ہمارے معاشرے میں ایک حقیقت کا روپ ڈھار چکی ہے، یہ محبت نہیں دیوانگی اور جہالت ہے،
محبت ایک عظیم رشتہ کا نام ہے، اس کے مختلف روپ ہیں ، اگر محبت ماں سے ہو تو اس کا روپ اور اس کی کیفیت الگ ہوگی، محبت بہن سے ہو تو اس کا روپ اور کیفیت الگ ہوگی ، محبت بیوی سے ہو تو اس کا روپ اور کیفیت الگ ہوگی اسی طرح ہر رشتہ سے جو مھبت ہوگی اس کا روپ اور کیفیت الگ ہوگی، لیکن ایک غیر محرم لرکی اور غیر محرم لڑکے کی دیوانگی ، اس کی نفس پرستی کو محبت کا نام کیوں دیا جاتا ہے، اس دیوانگی اور جہالت کو محبت کا نام کس نے دیا مجھے تو اس نام نہاد محبت کے لفظ سے اختلاف ہے، یاد رکھیں محبت ایک عظیم، اور بلند اور محترم لفظ ہے، اس لفظ کو ایسے دیوانگی اور نفس پرستی پر استعمال کرنا لفظ محبت کی توھین ہے،
ہمارے معاشرے میں اب بے حیائی اور بے راہ روی عام ہوچکی ہے، ایک باپ کی غیرت اور ایک بھائی غیرت مرچکی ہے، اس کی بیٹی، یا بہن کیا کررہی ہے، کس سے مل رہی ہے، کوئی پرواہ نہیں بلکہ بعض والدین خود اپنی بچیوں کو آزاد کردیتے ہیں، کیونکہ وہ سوچتے ہیں اگر یہ چار دیواری میں رہیں تو ان کے رشتے کیسے آئینگے ، لہذا اسے خود گھر سے باہر نکالتے ہیں، اور بچیاں باہر نکل کر کیا کرتی ہیں وہ اندھے ہوجاتے ہیں،
پھر اسی کا یہ نتیجا نکلتا ہے کہ لرکیاں گھروں سے بھاگ جاتی ہیں۔
اس جرم میں سب برابر کے مجرم ہیں،

اللہ رب العالمین رحم فرمائے

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Iam completely Speechless... aise khubsorati se likha hain aapni jitna bhi apreciate kare kum hain
Sania k Advices wakiye mei kabel e Ghaur hain us mei hikmat and wise baate hain jho ager koi banda samajh jaye and usay implement kare so they will never fall astray... Aise buhut se wakiyat hue hain and sab ka anjaam same he hota hain gher se bhagna is the worst way es se ek tu hota yeh hain k Parents ko zilat k zindagi guzarne huti hain and unke ghum kabhi jeene nahin degi dusre baat yeh k no one can be so sure k jess bande k saath voh bhaag ker shadi k plan ker rahe hain voh wakiye mei sincer hain.
yeh baat sahi hain k Aurat zaat buhut he emotional hote hain jald he kessi k baato mei athe hain and that is the reason k kuch loug unke emotions ka faida utha the hain but akal tu sub k paas hain ager thora sa hikmat se kaam le so koi aise unhe ghalat raaste pe lead na kerte jes k baad sewae berbadi and zilat k kuch nahin hota,
so jaise k Nelli ne kaha k sub Allah and aapni Parents per chorne chahye so wakiye result Sania k zindagi k jaise Izzat and Mohabbat se bhari hugi InshAllah.
baki aapne buhut acha likha hain and saath mei ager aap thora buhut Hina k saath jho hua voh kio hua? uska wazahat ker leti tu story aur bhi clearly subko samajh ajate else thunbs up for this writing of yours :)
thnx siso.
thek kaha ap ne..
aksr is age yani 18 se kam ki age me esa hota hai..or ye baat b hai larkiyan jazbati hoti hain..aur thori masoom b hoti hain..is liye dosron ki baaton me jaldi aa jati hai.
khair phir b apni soch ko humesha positive rakhna chaheye aur apne kirdar ko humesha buland..
hmmm..ap ne bilkulthek kaha k mujhe us bare me batana cheheye tha Hina k sath kese huva..lekin story itni lambi ho gyi k phir main ne thora kam karne k liye ye nhi bataya..jese boht se ese logo k sath hota hai wese hi us k sath huva..Numan sincere nhi tha..sirf waqat guzari..muhabbat ka bhoot jald hi un dono k sar se utar jata hai..aur Hina k chehre pe tezaab b wohi phenkta hai..aur yon woh waike hi dikha dete hain k illegal kitni worth rakhti hai..jo time k sath nafrat me change ho jati hai..aur zindgi ki sb se bari hamakat lgti hai..

main wese Sania ki story b sath me thori share karna chahti thi..lekin shyd last line me waziya ho hi jata hai..zindgi me use har cheez best mitli hai..woh apne kidar ko kamzor nhi parne deti or apne Mazhab,values or haqiqat muhabbat ko pechanti hai..
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
{(goodpost)} and NILI ny RIGHT likha
kabhi koi topic start karygain to tafseel sy is MHOOZOO Per bhi baat hoge
ap kahani parhen aur bataen k ap is bare me kya sochte hain..
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
abhi sara read nai kia but comments ki wjaha sy main ny bookmark kr liya hy InshaAllah main jald hi sara parhny ki koshich kru ga..:)

ok..inshaAllah..
 
farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
Very SAD acha howa Story ki baki line likh di ab Mukamal lagti hai Nice Sania ny apny Qirdar k sath apni AQAL bhi ki bhi mani lakeen shaeed SHAEED HINA k naseeb my nahee tha k who apni AQAL bhi STYAMAAL kary Khair NICE STORY hai
or eh jo likha ( ye baat b hai larkiyan jazbati hoti hain..aur thori masoom b hoti hain..is liye dosron ki baaton me jaldi aa jati hai. ) is my thora sa change bhi aaj k zamaany my k siruf lerkian hi aese nahee hote lerky bhi aese hoty 2 no aese insan payjaty hain .. LERKIAN bhi kisi sy kam nahee {(laugh)}
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar

thnx siso.
thek kaha ap ne..
aksr is age yani 18 se kam ki age me esa hota hai..or ye baat b hai larkiyan jazbati hoti hain..aur thori masoom b hoti hain..is liye dosron ki baaton me jaldi aa jati hai.
khair phir b apni soch ko humesha positive rakhna chaheye aur apne kirdar ko humesha buland..
hmmm..ap ne bilkulthek kaha k mujhe us bare me batana cheheye tha Hina k sath kese huva..lekin story itni lambi ho gyi k phir main ne thora kam karne k liye ye nhi bataya..jese boht se ese logo k sath hota hai wese hi us k sath huva..Numan sincere nhi tha..sirf waqat guzari..muhabbat ka bhoot jald hi un dono k sar se utar jata hai..aur Hina k chehre pe tezaab b wohi phenkta hai..aur yon woh waike hi dikha dete hain k illegal kitni worth rakhti hai..jo time k sath nafrat me change ho jati hai..aur zindgi ki sb se bari hamakat lgti hai..

main wese Sania ki story b sath me thori share karna chahti thi..lekin shyd last line me waziya ho hi jata hai..zindgi me use har cheez best mitli hai..woh apne kidar ko kamzor nhi parne deti or apne Mazhab,values or haqiqat muhabbat ko pechanti hai..
Hmmmm True aapke tahreray read ker k Iam just thinking k yeh sub humare muashre mei kitna aam huchuka hain. abhi hum mei se buhut loug es baat ko jante hain annaya lekin pir bhi amal nahin kerte sub samajhte hain k ghalat kaam ka anjaam ghalat he hain lekin phir bhi aapni nafs ko Zameer se berh ker tarjeeh dete hain.. Allah (SWA) hum subko ache shaor de ta k hum sahi aur ghalat baat k dermiyaan distinguish ker sake.. Aameen
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
nice thread...laiken mery khyal se is tarha k waqiyat jo b hoty hain is mai saab se zyada qasoor parents ka aur barun ka hota hai...agar kahien pe larka ya larki khush hun tu rishta de dena chahiay tu mery khyal se koi b yeh qadam nai uthay ga aur agar belawajah inkar karain parents tu phir tu lazmi baat hai k larky aur larkian aisay he qadam uthain gai qn k is age mai baqi cheezun ki kisi ko parwa na hoti....aur baqi jo yeh mulaqatain waghera hoti hain yeh tu ghalat hai...

ap ne khanai parhi hai na..
us me main ne ye b likha hai k Hina ki sis use kehti hai k main humare father ko mana lon gi..larke ko kaho izzat se rishta bejhe..lekin woh apne parents ko bataen bageer hi bhaag jate hain..
or yahan ye baat b thi k un k parents ki tarbiyat b achi thi..Sania to boht achi thi..us ki soch parh k andaza ho gya ho ga..
asal me boht selog ese hote hain jo ghalat aur sahi me tameez nhi kar pate..or amuman 16 ya 17 saal me larkiyan khasi jazbati hoti hain..une esa hi lgta hai ..koi khawabon ka shehzada aaye ga..halan'k k esa kuch hota nhi..
ek baat aur jo log zahiri khoobsorati ko ehmiyat dete hain aur usi k peche bhagte hain..un ka injam b esa hi hota hai..
illegal muhabbat ka koi wajood nhi hota..sab jhoot or dhoka hai bas..
 
  • Like
Reactions: ~BaBaR-AzAm~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113

Hmmmm True aapke tahreray read ker k Iam just thinking k yeh sub humare muashre mei kitna aam huchuka hain. abhi hum mei se buhut loug es baat ko jante hain annaya lekin pir bhi amal nahin kerte sub samajhte hain k ghalat kaam ka anjaam ghalat he hain lekin phir bhi aapni nafs ko Zameer se berh ker tarjeeh dete hain.. Allah (SWA) hum subko ache shaor de ta k hum sahi aur ghalat baat k dermiyaan distinguish ker sake.. Aameen
han siso..
sirf parh ya sun lena alag baat hoti hai..asal baat to amalkarna hoti hai..
sb se mushkil hi insan banana hai..aur sb se mushkil apne nafas ko harana..
agar esa na hota to sb kuch thek hota.. jannat aur dozakh ka tasavur b na hota.
lekin Allah ne shetan ko b is dunya me insan k sath hi bheja hai..
Allah hume sahi raste par chalne ki tufeeq day
AMEEN
 
Top