~bazm-e-sukhan Anaaya Ali K Sath~ *saviou*

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


ahan nice reply

ye debate thread nhi warna debate hoti :p

maine kaha k kuch shayer aise hain jo shayri jaise azeem hunar se koi azeem kaam nhi karte maslan jaisa azeem kaam alama iqbal ne kiya

maira matlab ye k bohat se logon k paas ye azeem hunar hay par wo isse ache maqsad k liye istamal nhi kartey
ghalat tarz pe le jaatey hain
anywayz nice reply

aap se kis ne kaha k aap shayer nhi :-?
agar shayer na hote to is thread may thori hotey :p


agla sawal

aaj k nojawan shayron k naam koi eham paigham ??
aap k khayal may aaj k shayron ki soch may kisi cheez ki kami hay agar hay to kia?

ahan nice reply

shukran :)

ye debate thread nhi warna debate hoti :p

koi baat nahi munazare k liye aap adminz se ijazat le kar ek thread bana len
aaj kal sab ko hamse debate karna hai pata nahi kyun /:)


maine kaha k kuch shayer aise hain jo shayri jaise azeem hunar se koi azeem kaam nhi karte maslan jaisa azeem kaam alama iqbal ne kiya

haan behna har koi azeem kaam karle to phir wo azeem nahi keh lata isliye hazaron me koi ek hi aise azeem kaam par faiz hota hai :)


maira matlab ye k bohat se logon k paas ye azeem hunar hay par wo isse ache maqsad k liye istamal nhi kartey
ghalat tarz pe le jaatey hain
anywayz nice reply

haan bilkul sahi kaha apne waisa hi haal aalimo ka bhi hai ilm to sikh lete hain sab jaan to lete hain lekin jab ilm ajaye usko apne mufad k liye istemal karte hain aur deen ko galat raah par le jaate hain
Allah hame ilm de nafe ilm de jisse sabhi ko faida ho aur akhirat k liye najat ka sabab bane Aameen :)


aap se kis ne kaha k aap shayer nhi :-?
agar shayer na hote to is thread may thori hotey :p

hame to aisa hunar nahi na k kisko bewaqoof bana den :p
is amr ne hame kaha k Nasir shayad ap shayar nahi ho
hosakta hai is tarah k shayar nahi honge isliye shayad is thread me hain :)
aur ye to khaas taur par annu ki maherbani hai jo inhone hame yahan dawat diye aur apka bhi shukriya ke itne ahem sawal puch rahe hain :)



agla sawal

aaj k nojawan shayron k naam koi eham paigham ??

yehi ke apne sheron me jis tarah se ham wazan ko talash karte hain waise hi ham ye bhi koshish karen ke isme haq baten hi shamil karen :)


aap k khayal may aaj k shayron ki soch may kisi cheez ki kami hay agar hay to kia?


kami to har kisi me hai pehle ke shayaron me bhi thi aur aj bhi hai haan bohot kam hote hain jo iski nishan dahi karte hain

aaj k shayaron me jahan tak hamne gaur kiya jisme ham khud bhi shamil hain wo ye ke ham shayari karte huye kabhi haqeeqat ke bahar chale jate hain aur kabhi aisi galtian kardete hain jo shar'ee taur par bhi sahi nahi hoti to hame qusoosan iska khayal rakhna chahiye :)
 
  • Like
Reactions: Aara'af and hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!



ahan nice reply

shukran :)

afwan

ye debate thread nhi warna debate hoti :p

koi baat nahi munazare k liye aap adminz se ijazat le kar ek thread bana len
aaj kal sab ko hamse debate karna hai pata nahi kyun /:)

bas g maza aaying na aap se debate karne may :p chlain is tajweez par ghaur kartey hain :-?


maine kaha k kuch shayer aise hain jo shayri jaise azeem hunar se koi azeem kaam nhi karte maslan jaisa azeem kaam alama iqbal ne kiya

haan behna har koi azeem kaam karle to phir wo azeem nahi keh lata isliye hazaron me koi ek hi aise azeem kaam par faiz hota hai :)

har koi azeem kaam karna chahey to ALLAH ki madad se kar sakta hay masla yhi hay k har koi chahta nhi :)


maira matlab ye k bohat se logon k paas ye azeem hunar hay par wo isse ache maqsad k liye istamal nhi kartey
ghalat tarz pe le jaatey hain
anywayz nice reply

haan bilkul sahi kaha apne waisa hi haal aalimo ka bhi hai ilm to sikh lete hain sab jaan to lete hain lekin jab ilm ajaye usko apne mufad k liye istemal karte hain aur deen ko galat raah par le jaate hain
Allah hame ilm de nafe ilm de jisse sabhi ko faida ho aur akhirat k liye najat ka sabab bane Aameen :)
AAMEEN SUM AAMEEN
jee bilkul aaj logon k paas ilm hay par wo ba amal nhi hain



aap se kis ne kaha k aap shayer nhi :-?
agar shayer na hote to is thread may thori hotey :p

hame to aisa hunar nahi na k kisko bewaqoof bana den :p
is amr ne hame kaha k Nasir shayad ap shayar nahi ho
hosakta hai is tarah k shayar nahi honge isliye shayad is thread me hain :)
aur ye to khaas taur par annu ki maherbani hai jo inhone hame yahan dawat diye aur apka bhi shukriya ke itne ahem sawal puch rahe hain :)

hahaha arre nhi nhi aap se ye sawal is liye poocha k aap bhi aik shayer ho behtar jawab daite is sawal ka aur main ye daikhna chahti thi k waqe hi ye sach hay ya sirf maira zaati andaza hay :)q k shayer haqeeqat ko ziada qareeb se daikhne ki salahiat rakhtey hain deeply sochtey hain ye alag baat hay k kuch haqeeqat pasand bantey hain aur kuch jaantey hue bhi haqeeqat ko jhutlaatey hain



agla sawal

aaj k nojawan shayron k naam koi eham paigham ??

yehi ke apne sheron me jis tarah se ham wazan ko talash karte hain waise hi ham ye bhi koshish karen ke isme haq baten hi shamil karen :)


aap k khayal may aaj k shayron ki soch may kisi cheez ki kami hay agar hay to kia?


kami to har kisi me hai pehle ke shayaron me bhi thi aur aj bhi hai haan bohot kam hote hain jo iski nishan dahi karte hain

aaj k shayaron me jahan tak hamne gaur kiya jisme ham khud bhi shamil hain wo ye ke ham shayari karte huye kabhi haqeeqat ke bahar chale jate hain aur kabhi aisi galtian kardete hain jo shar'ee taur par bhi sahi nahi hoti to hame qusoosan iska khayal rakhna chahiye :)

MASHAALLAH perfect answer :-bd
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
assalam o alaikum uncle.
main firse haazir hon chund ek sawalat k saath

1 . sher ki khaasiat bayan kijiye?
2 . ksi sher ka pahla bundh qaafia aur doosra bundh kia kahlata hai ?
3 . nazm ka maana kia hai ?
4 . ghazal kise kahte hain?
5 . urdu zuban ka pahla naam kia tha ?

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
apki phir se haziri se is thread me char chaand lag gaye khush aamdeed


1 . sher ki khaasiat bayan kijiye?

sher ki khaasiat me kitaben likhi jaasakti hain bas ham apko ek sher k zariye hi sher ki khasiat batayenge gaur karen

Tum Kya Jaano Shayari Kya Hai
Yeh Ek Rakh Me Dabi Hui Chingaari Hai
Jo Baat Zubaan Par AA Nahi Sakti
Wohi Likh Kar Kehne Ki Taabir Hai...!!!​

2 . ksi sher ka pahla bundh qaafia aur doosra bundh kia kahlata hai ?

janab agar ghazal likh rahe hain to phir har qaafia ki last line Radeef hogi :)

3 . nazm ka maana kia hai ?

Nazm:- nazm ke lughvi maa'ni haiN "Peerona"
nazm ko ek hee mazmoon (subject) per bayaan kiyaa jaataa hai. is kaa har sher ek doosre se juraa hotaa hai aur sab mil kar ek hee mazmoon (subject) bayaan karte hain aur nazm kaa ek unwaan hotaa hai.
Nazm men matle' maqte' kee koi pabandee naheeN hotee


Nazm ki kismeN paai jaati haiN
1: ghazal numaa nazm (who nazm jis mein ghazal jeise usoolon ko lazim rakha jaaye
2: azaad nazm (woh kalam-e-mozon jis mein Qaafia aur radeef na hon lakin behr ho)

hamare naQis e’lm mein itna hi tha … aap se guzrish hai keh apko jitna E’lm hai who bhi hamare saath mil ker e’lm ko aagey barhayen :)

misal k taur par ek is par nazar dalen

Roz sahil pe khade hoke yahi dekha hai
Shaam ka pighla hua surkh-sunhari rogan
Roz matiyale-se paani mein yeh ghul jaata hai
Roz sahil pe khade hoke yahi socha hai
Mein jo pighali huee rangeen shafaq ka rogan
Ponchh loo haathon pe

Aur chpuke se ik baar kabhi
Tere gulnaar se rukhsaaron pe chhap se mal doon
Shaam ka pighala hua surkh-sunhari rogan



4 . ghazal kise kahte hain?

Ghazal :- Ghazal ke lughvi maa'ni haiN "a'urtoN ke saath baat cheet aur i'shQ baazi (shaa'iri )."

who Sanaf-sukhn (kind of speech) jis mein a'moman"(generally) Husn–o-i'shQ , viSaal-o-firaaQ , sharaab-o-shabaab aur tasavuf-o-ma'rfat (mysticism) waghera ki baatien kahi jaaien

lakin ghazal is Had bandi ki paband nahieN rahi, ab is mein har Qisam ke mouZooa'at-o-masail nazm kiye jaate haiN, is ka her she'r a'moman (generally) mukhtalif mazmoon(subject) per mushtamil hota hai, iska pehla she'r matla' kehlaata hai, jis ke donoN miSre'y hum radeef hum Qaafiaa hote haiN, baaQi asha'ar ke misra'-e-caani meN Qaafia radeef hota hai aakhri she'r jis meN shaa'ir ka takhalus ho maQta' kehlaata hai, sub se ache she'r ko "shah bait" kehte haiN
ghazal kaa unwaan naheeN hotaa .

misal k taur par is par nazr dalen

1. koi ummid bar nahin aati
koi surat nazar nahin aati
2. aage aati thi haale dil par hasi
ab kisi baat par nahin aati
3. hum wahan hain, jahan se humko bhi
kucch hamaari khabar nahin aati
4. kaabaa kis muh se jaaoge 'Ghalib'
sharm tumko magar nahin aati

5 . urdu zuban ka pahla naam kia tha ?

ye kaisa sawal hai jahan tak ham samjhe hain apko batayenge
janab urdu asal me in teen zuban se maqooz ki gayi ya isse hi develop huyi hai
persian arabic turkik baki aap wazeh karden

umeed hai apke sawalon ka maqool jawab diye hain ham :)
 
  • Like
Reactions: Aara'af

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
main ek ghante k liye gaib kya huvi yahan se...yahan to halat hi badle pare hain...{(thinkg)}
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
2 . ksi sher ka pahla bundh qaafia aur doosra bundh kia kahlata hai ?

janab agar ghazal likh rahe hain to phir har qaafia ki last line Radeef hogi :)

is sawal ki muje smjh nhi aayi..{(thinkg)}
mere khayal me sawal ye hona chaheye tha k ghazal ka pehla shair to matla hota hai last kon sa hota hai? jise maqta kehte hain..hai na..
shair k to dono misre hi hote hain na...wese ye qafia to ghazal me aane wale hum'awaz or hum'wazn alfaz hote hain jo shair k radeef se pehle aate hain or radeef qafia k bad bar bar aane wala lazf hota hai..kya khayal hai ap ka?
 
  • Like
Reactions: hoorain

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113



jee jee apka hi asar hai inpar :)
is baat pe hume ek shair yaad aa gya..
azr karte hain..
hum na hote to un me b ye khobi na hoti..
hum jo ache the hota gya woh b acha..!!

;)){(popcorn)}
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
2 . ksi sher ka pahla bundh qaafia aur doosra bundh kia kahlata hai ?

janab agar ghazal likh rahe hain to phir har qaafia ki last line Radeef hogi :)

is sawal ki muje smjh nhi aayi..{(thinkg)}
mere khayal me sawal ye hona chaheye tha k ghazal ka pehla shair to matla hota hai last kon sa hota hai? jise maqta kehte hain..hai na..
shair k to dono misre hi hote hain na...wese ye qafia to ghazal me aane wale hum'awaz or hum'wazn alfaz hote hain jo shair k radeef se pehle aate hain or radeef qafia k bad bar bar aane wala lazf hota hai..kya khayal hai ap ka?

bilkul sahi kaha annu :)
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
hain woh kyun..
tension na len popcorn khayen..{(popcorn)}{(popcorn)}{(popcorn)}:)
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
nasir bhai kahan gum gaye....{(thinkg)}{(thinkg)}{(thinkg)}{(thinkg)}
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
pata nhi....{(popcorn)}
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313


afwan bhaya

popcorn idhar hi hain {(popcorn)}

aap bhi lain gaye?
ye ham kya sun rahe hain hoorain aur kisi aur ko popcorn zaroor kuch gadhbar hai





hahaha

jab kuch milta nhi to kiya q :-? :p
hamne kya kiya /:)




nahi mujhe mota nahi hona hai [-X

ye kya zamana agaye koi popcorn se bhi mota hota hai kya
ya phir kahin ap ye to nahi kehna chahte ke hoorain popcorn kha kha kar moti hogayi hian :p/:)





oooooopsh jo dara wo gya :p

jaise aapki marzi :) {(popcorn)}

sahi kaha apne :)
 
  • Like
Reactions: Aara'af and ~Zeest~
Top