Musalman Larki Ki Shaadi, Islam Ke Nazariye Se...?

  • Work-from-home
Jan 4, 2010
14,281
3,264
0
29
Ap k dil mein :D
hehe thak gye kia rply krte krte :p

hmm so u dnt have any reason, its just written in Quran? dere must be any reason yaar aise to nhi na likh dia gya :s

and seriosuly i have got manyy different answerssssss meine jis se b is baare mein janne ki koshish ki hai :( and i am nt anjust wid my religion, pooch ri hon k aisa kyun hain or us haal mein krna kia chahiye ?? Agher poochenge nhi to janenge kese apne he religion k bare mein :p ab khud he dekh lo u also dun have any reason to it,, u have just said k its written in Quran...

kher agher Muslim larki kisi non-muslium se shaadi kr le to fir wo Muslim nhi kehlayegi ? uska rabb he badal jayega Allah Ta'la se ??haha joke hai kia yeee, huff manti hon k its written in Quran and we have to follow it we cant go against Quran and wat Allah Ta'la have said, but fir b dere shud b any reasonnnnn ab agehr koi non-beliver hum se pooche k aisa kyun hai so we are gonna rply coz its written in our Holy Book ? they r gonna make fun of uss seriouslyy..

anywayz thans alot for your replies, or koi baat burri lagi ho to mazhrat chahongi :)
 
  • Like
Reactions: smart-gangster

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Asalam-o-Alaykum

Pata nhi k aisi thred pehle b ban chuki hai k nhi, kher agher ban chuki hai pehle to mjhe btane ki zarorat nhi {(haha})

Jesa k sab jante hein aik Muslim larki kisi non-muslim se shaadi nhi kar skti, jab k larka kar skta hai ? Aisa kyun hai akhir ? kia Muslim larki ko ijazat nhi apni marzi se shaadi karne ki? kia uski pasand , na pasand zara b point nhi rkhti??

Meine Norway mein bht se aise parents dekhen hein, jinki larki agehr kisi non muslim se shaadi krna chahe ya larka apni ZAAT ka na ho to larki ko Pakistan le ja kar wahan kisi larke se shaaadi kra di jati hai, aisa kyun hai akhir ? religion jisse log AMAN ka naam dete hein wo aik nhi na jane kitnio ki life barbaad kr deta hai? just coz of a Muslim girl can't marry a non muslim ?

Mujhe to aj tak aik solid reason nhi smjh ayi k why can't a Muslim girl marryyyyy a non-muslim ? Jab k larka kar skta hai to larki kyun nhi ?? Meine to ye b suna hai k larka b sirf ussi larki se shaadi kar skta hai jo Islam ki 4 kitabon mein se kisi aik per Imaan rakhti ho, ab pta nhi ye baat kahan tk sach hai ?{(thinkg)}

To kher mera question yahan ye hai k larki kyun nhi kisi non-muslim se shaadi kar skti ? Agehr larki ko nhi ijazat to larkon ko kyun hai fir ?Or agehr aik Muslim larki kisi non-muslim se shaadi krna chahe to us sorat-e-haal mein kia karna chahiye??
w salam...................
Kya baat hai sissoo jaani k Aisa sawal pucha apne........
Ji haan iska yhi javab hai k nasal srf mard se yani larke se chalti hai..larki agar ghair muslim ho to koi farq nhi partha k Khandan aur bacchon ka sarbarah mard hota hai..Aur larki khud muslim larkay se shadi kar k musalman hojati hai aur agar na bhi ho to usay muslim gharana milta hai..Larki ko isliye ijazat nahi k Ghair Muslim se shadi k baad na srf uska mazhab balaky uski anewali nasl tamam ki tamam Ghair muslim kahlaygi..
aur pasand ki yahan kaise baat aati hai sisso?Musalman larki kyun kar ghair mazhab ko pasand kar sakti hai?
Yahan par larkay aur larki ki tafreeq nahi.,larkay ko 4 shaadiyon ki ijazat hai larki ko nahi,wahin p ghar ki kifalat aur zimmedari srf mard par daali gayi hai...Islam me kisi k sath koi zyadti nahi hui..jahan jisko jo farayez ya huquq dene hain islam ne diye hain...Bahut sari zimmedariyan mard hazrath par hain jabkay aurat p aisi zimmedari nhi jo wo kar nhi sakti....
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513


hmmmm acha to sirf is liye k age ki nasal MUSALMAN nhi kehlayi jayegi to is liye larki kisi non-muslim se shaadi nhi kr skti ??{(thinkg)} Or agher larki krna chahe kisi non-muslim se to uski zabardasti shaadi kisi or se kra do or do zindaagiyan barbaad kr do sirf is liye k age ki nasal Musalman nhi kehlayi jayegi ? {(thinkg)} Baat pasand ya na pasand ki nhi yahan, ab agher koi larki kisi non.muslim se shaadi krna chahe to us haal meinn kia krna hoga haaan ? siwaye uski zabardasti shaadi kisi or se kra dene k... Or bro ye to koi point na hoya k larki kisi non-muslim se shaadi kr leeee to age ki nasal Musalman nhi kehlayi jayegi to usse kisi b ghadde k sath band do ?? Hum larkian hain koi nasal barane ki machine nhi... {(nix)}
AM sisss.........mujhe apki baaton p hansi arahi hai..
khair apke in sawalon ka javab deti hun....magar sorry to say k apki baten samjh se bahar hain..
apki pahli baat k larki ki pasand...Agar larki non muslim ko pasand karti hai to apke nazriye me usko ijazat hona chahiye..right?
pahli baat k Islam k kuch qanoon,kuch rules hain...
Pahla rule kisi ghair mard se pardaa...yhi baat hai k jab koi musalman larki islam k basic rule parday ka khyal nhi karti toh shayed yh pasand na pasand ki bat ati hai..
dusri baat siss yh hai k zaruri nhi k apko jo cheez pasand aye wo apke liye jayez ya acchi ho..Islam ne humko paband kiya hi isliye k hum halal haram me farq mahsus karen..Agar sab apni apni pasand se har kaam anjam dene lagen to na yh muashera rahega na hi kisiko Allah ka khauf rahega.....Humare waledain ki bahut bari zimmedari hoti hai apni aulad k liye...jo apke liye jayez nahi ya sahi nhi har maa aur baap rokte hain aur apne bacchon k liye jo sahi hota hai wahi karte hain...
Rahi baat apke akhri jumlay ki toh mei kahungi k Larki ko haq hasil hai k wo apni pasand se shadi karay magar bat wahi Islam k daiyere me rahte hue.....
Allah ne har makhluq ko koi na koi maqsad se paida kiya hai aur yh duniya ka nizaam apni marzi ya pasand se nahi balkay srf Kayenaat k Maalik ki marzi se chalta hai.....
 

cute bhoot

Sss...sssh €|[--]00T
Super Star
Oct 11, 2010
11,997
3,415
1,313
33
wadi-e-jinnat
wo es lia k larki apny husband k mazhab ma rang jati hy lakin agar koi larki kisi non muslim se shadi kary tu aik larka
larki k mazhab ko theek tarah se accept nahi karta jab bachoo k k mazhab ke bari aati hy tu har musliman larki yehi chahy ge k us k bahy muslim hoo na k kisi aur religion ko follow karen jab k larka chahy k us k bachy usi k religion ko follow karen
usy us larki ka nimaz parhana ya kuch b aisa karna theek nahi lagy ga agar wo kisi bachy ko islam k bary ma batay tu b larai esi tarah bohat se batoon par jhagry hongy
aik larka kar sakta hy agar larki musliman ho jany k lia tyar ho
in case of girls
zyada tar non muslim larky shadi k lia waqti tor par musliman to ho jaty hain but after some time again apny religion ko follow karty hian

sab se barh kar k being a muslim kya kisi larki ka zameer gawara kary ga k kisi non muslim se shadi ke jay no never agar koi kary b tu wo shadi shadi nahi ho ge hamara religion aisi shadi ko accept nahi karta
 
Jan 4, 2010
14,281
3,264
0
29
Ap k dil mein :D
w salam...................
Kya baat hai sissoo jaani k Aisa sawal pucha apne........
Ji haan iska yhi javab hai k nasal srf mard se yani larke se chalti hai..larki agar ghair muslim ho to koi farq nhi partha k Khandan aur bacchon ka sarbarah mard hota hai..Aur larki khud muslim larkay se shadi kar k musalman hojati hai aur agar na bhi ho to usay muslim gharana milta hai..Larki ko isliye ijazat nahi k Ghair Muslim se shadi k baad na srf uska mazhab balaky uski anewali nasl tamam ki tamam Ghair muslim kahlaygi..
aur pasand ki yahan kaise baat aati hai sisso?Musalman larki kyun kar ghair mazhab ko pasand kar sakti hai?
Yahan par larkay aur larki ki tafreeq nahi.,larkay ko 4 shaadiyon ki ijazat hai larki ko nahi,wahin p ghar ki kifalat aur zimmedari srf mard par daali gayi hai...Islam me kisi k sath koi zyadti nahi hui..jahan jisko jo farayez ya huquq dene hain islam ne diye hain...Bahut sari zimmedariyan mard hazrath par hain jabkay aurat p aisi zimmedari nhi jo wo kar nhi sakti....

Thanx siso k apne tym nikal kar aik aik baat likhi :) per baat yahan per aa kar he khtm hoti hai k sirf issi liye manah kia gya hai k age ki nasal fir Muslim nhi kehlayi jayegi or sirf issi liye aik Musalman larki kisi gair mazhab wale se shaadi nhi kr skti jab k dono ko Allah Ta'la ne he bheja duniya mein... Jab larka larki raazi hon to religion ka panga beech mein aa jata hai.. Na jane kitne log honge aise jo sirf religion ki wajah se shaadi nhi kr paate or kch kar letee hein or fir b khush rehte hein... Bachpan mein aksar mama papa kehte the k Allah Ta'la apne bandon mein koi frk nhi krta, per ab jab barri hoyi hon to itne frk hain k list he itni lambi hai, mazhabon ka frk, zaat paat, gora kalaa, ameer ghareeebbb....{(thinkg)}

Aisa nhi hai k meri soch Quran k against hai ya Allah Ta'la k, toba Astagfar karti hon is itne barre gunnah se, per aksar ye sawal uthta hai khud he zehen mein, sirf is liye k larka Muslim nhi or itni zindgiyan barbaad... {)^})
 
Jan 4, 2010
14,281
3,264
0
29
Ap k dil mein :D
AM sisss.........mujhe apki baaton p hansi arahi hai..
khair apke in sawalon ka javab deti hun....magar sorry to say k apki baten samjh se bahar hain..
apki pahli baat k larki ki pasand...Agar larki non muslim ko pasand karti hai to apke nazriye me usko ijazat hona chahiye..right?
pahli baat k Islam k kuch qanoon,kuch rules hain...
Pahla rule kisi ghair mard se pardaa...yhi baat hai k jab koi musalman larki islam k basic rule parday ka khyal nhi karti toh shayed yh pasand na pasand ki bat ati hai..
dusri baat siss yh hai k zaruri nhi k apko jo cheez pasand aye wo apke liye jayez ya acchi ho..Islam ne humko paband kiya hi isliye k hum halal haram me farq mahsus karen..Agar sab apni apni pasand se har kaam anjam dene lagen to na yh muashera rahega na hi kisiko Allah ka khauf rahega.....Humare waledain ki bahut bari zimmedari hoti hai apni aulad k liye...jo apke liye jayez nahi ya sahi nhi har maa aur baap rokte hain aur apne bacchon k liye jo sahi hota hai wahi karte hain...
Rahi baat apke akhri jumlay ki toh mei kahungi k Larki ko haq hasil hai k wo apni pasand se shadi karay magar bat wahi Islam k daiyere me rahte hue.....
Allah ne har makhluq ko koi na koi maqsad se paida kiya hai aur yh duniya ka nizaam apni marzi ya pasand se nahi balkay srf Kayenaat k Maalik ki marzi se chalta hai.....

ap ne jo rules btaye sisoo wo mere questions ki smjh se bahir hein :p

ab ap khud socho siso, aghr aik Muslim larki kisi non.muslim ko pasand krti hai or beech mein religion ka panga hota hai or Quran mein likha hai k its not allowed ? or iski wajah se larki k parents usse kisi or k palle band dete hein? to kia ye fair hai ?? Kia us larki ki marzi koi mtlb nhi rkhti ??
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
what did u mean by other God ? Are dere many Gods ruling da world ? how silly :s

or ye inni mushkil mushkil English kahan se copy paste ki mere to opr se guzr gyi hai :p

So u r saying dat its written in Quran bt still wats reason behind it ? Is it dat k nasal fir Musalman nhi hoyegi ?:s and da house in heven made me laugh, jeeteee jee kisi or k palle band jaoooo or mar mar kar jiyo k age ja kar heaven millegi {(nea)} Mujhe to nhi lagta k millegi non-muslims b to Allah Ta'la ne he bnaye hein wo b ussi rabb k he bande hein naaa :s

kher ab ye b bta do k if a girl wants to marry a non-muslim guy so wat shud she do ?? {(thinkg)}
AM sis aap kisi aalim se is sawal ka jawab talash karain
lakin is tara se aap baat nhi karo aik taraf aap keh rhi ho k aap muslim ho
doosri taraf aap ALLAh k hukam k baare may is andaaz se baat kar rhi ho
aap jannat ko nhi maan rhi non muslim ALLAh k bandey hain zaroor hain
lakin har qoum pe ALLAH ne apne nabi bhaijey jo unhe seedha raasta dikhaatey rhe aur kuch ne wo raasta apnaaya aur apni dunya aur aakhirat dono sawaryi kuch dunya ki khushion k hasool may dunya aur aakhirat dono barbaad kartey hain
AQAL to sab k paas hay na to ye khud insan pe hay k wo konsa rassta ikhtayar karta hay

bohat saari batain aur haqayq aise hain jo waqt k saath hamain pata chaltey hain
aap apne har sawal ka jawab talash karo yaqeenan mileyga aap ko INSHAALLAH
lakin sirf kisi khawahish ki takmeel na hone par mazhab k baare may aise kaise bol sakta hay koi
ALLAh ne jo bhi hukam insan k liye diye hain wo insan ki bhalayi hi k liye hain

ALLAH says:

"Allah Says
Ay Ibn Adam!
Aik teri chahat hai
Aik meri chahat hai
Hoga tu wohi jo Meri chahat hai
Pas Agr tu ney sapurd kardiya apney ko uskey
jo Meri chahat hai,
Tu Mein baksh Donga tujhey jo teri chahat hai
Agr tu ney mukhalfat ki uski jo Meri chahat hai
tu Mein tujh ko thaka Donga usmein jo teri chahat hai,
Akhir phir hoga wohi jo Meri chahat hai"

quran paak may o bhi ehkaam aLLAh ne hamain diye hain wo har tara hamare faidey may hay
dunyawi khushion ya apni khawahishaat k hasool k liye hum unhe point out nhi kar saktey

lakin aap zaroor kisi aalim se raabta karo confusion door hona bohat zaroori hay
lakin musalman k liye zaroori hay k wo aLLAH uski bhaiji hui kitaabo ,farishton , AMBIA karam(R.A) aur yom_e_aakhirat par yaqeen rakhey.
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
aur pichli posts may encounter ne bilkul sahi kaha

"k apni aqal ko quran_o_sunnat k tabiya karo" na k" Quran_o_sunnat ko apni aqal k tabiya karo"

i hope k aapki confusion jald khatam ho jaaey
INSHAALALH aapko koi behtar aur tasalli bakhsh jawab miley ga :)
 
Jan 4, 2010
14,281
3,264
0
29
Ap k dil mein :D
Islam mein larki ko b pora haq hai apni marzi se shaadi krne ka. Mujeh abhi b yaad hai aik waqiya jo meine masjid mein suna tha.

Aik baar aik aurat Hazrat Mohammad (SAW) k pass ayi thi or us ne kaha tha k meri shaadi meri marzi k khilaaf kra de gyi hai, or uska itna he kehna tha k Hazrat Mohammad (SAW) ne usse ussi waqt kaha beti chalo mein tmhe abhi he tallaq dilwa kar deta hon...

or ye waqiya zahir krta hai k larki ko b pora haq hai apni marzi se shaadi ka, uski marzi b duniya mein mtlb rkhti hai, is itne ahem faisle mein uski raye b zarori hoti hai, agehr wo kisi non-muslim ko pasand krti hai to fir wo kese kisi Muslim se shaadi krke khush reh payegi ?? Islam itna strict nhi jitna usse humare muashreeee ne strict bna dia hai, kuch rules khud se bna liye or jo rules likhe we hein Quran mein unhe or strict krke log bayan krte hein...
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Am Sissss......apki baton ka mere paas yhi javab hai k....
Beshak Allah tala apne bandon me koi farq nahi rakhta..
usay bhi rizk ata karta hai jo Uski ibadat karte hain Unhe bhi jo Usse munkir hain...
Aaap jab allah aur Quran k against nahi ho toh yh batao k haq aur batil kya hai?
Kya Quran me saaf saaf yh nahi likha k kon haq par hain aur kon Allah ko bhulaye hue hain?
Agar sab ek hota toh na hi Allah Islam bhejta aur na hi Quran..bcz according to you k kisi me bhed bhau nahi sab allah ki makhluq...
suno bahnaa...jisne Allah ka hukum nahi pahchana,jisne Islam k qanoon ko nhi maana,Usse Rishta karna kya jayez hai?Aaap apni waqti pasand aur duniyavi cahr din ki zindagi k liye kisi aise sahks k sath rahna gawara kaise karoge jo is kayenat k Maalik ko hi nahi jaanta?jo quran k hukum ko hi nahi maanta?
Think abut it...............
 
Jan 4, 2010
14,281
3,264
0
29
Ap k dil mein :D
AM sis aap kisi aalim se is sawal ka jawab talash karain
lakin is tara se aap baat nhi karo aik taraf aap keh rhi ho k aap muslim ho
doosri taraf aap ALLAh k hukam k baare may is andaaz se baat kar rhi ho
aap jannat ko nhi maan rhi non muslim ALLAh k bandey hain zaroor hain
lakin har qoum pe ALLAH ne apne nabi bhaijey jo unhe seedha raasta dikhaatey rhe aur kuch ne wo raasta apnaaya aur apni dunya aur aakhirat dono sawaryi kuch dunya ki khushion k hasool may dunya aur aakhirat dono barbaad kartey hain
AQAL to sab k paas hay na to ye khud insan pe hay k wo konsa rassta ikhtayar karta hay

bohat saari batain aur haqayq aise hain jo waqt k saath hamain pata chaltey hain
aap apne har sawal ka jawab talash karo yaqeenan mileyga aap ko INSHAALLAH
lakin sirf kisi khawahish ki takmeel na hone par mazhab k baare may aise kaise bol sakta hay koi
ALLAh ne jo bhi hukam insan k liye diye hain wo insan ki bhalayi hi k liye hain

ALLAH says:

"Allah Says
Ay Ibn Adam!
Aik teri chahat hai
Aik meri chahat hai
Hoga tu wohi jo Meri chahat hai
Pas Agr tu ney sapurd kardiya apney ko uskey
jo Meri chahat hai,
Tu Mein baksh Donga tujhey jo teri chahat hai
Agr tu ney mukhalfat ki uski jo Meri chahat hai
tu Mein tujh ko thaka Donga usmein jo teri chahat hai,
Akhir phir hoga wohi jo Meri chahat hai"

quran paak may o bhi ehkaam aLLAh ne hamain diye hain wo har tara hamare faidey may hay
dunyawi khushion ya apni khawahishaat k hasool k liye hum unhe point out nhi kar saktey

lakin aap zaroor kisi aalim se raabta karo confusion door hona bohat zaroori hay
lakin musalman k liye zaroori hay k wo aLLAH uski bhaiji hui kitaabo ,farishton , AMBIA karam(R.A) aur yom_e_aakhirat par yaqeen rakhey.
Hoor sis meine kb jannat ko manne se inkaar kia ? Mera poora imaan hai jannat per jo humen ache kaam krke he milni hai.. mere kehna ka mtlb sirf yahi tha k jeeteee jee agher jahanam jesa jeena hai sirf is liye k Quran mein aisa likha hai... ap logon mein se koi b mere sawal ko nhi smjh paa ra ulta kch glt he sochi ja re hein sbhi :(
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
AM sis pichey jitni bhi aayat bayan ki gai un may saaf saaf likha hay
k aik mard ehl_e_kitaab se shadi kar sakta hay

remember ehl_e_kitaab matlab jo hamari kitaab ko maanta hay
aur mard bhi is soorat may jab k ehl_e_kitaab larki pakbaaz ho

lakin aik aurat shadi nhi kar sakti
"i know k aapko confusion idhar hay k jab aik mard shadi kar sakta hay to aurat q nhi:"

issi liye to keh rhi hoon kisi aalim se baat karain confusion door ho jaeeygi yaqeenan is may bhi insano k liye musalihat hay issi liye ye hukam aaya
q k Quran majeed aik aisi kitaab hay jiska mozoo hi" insan" hay


aap ko wo itna purana waqea yaad hay aur us par yaqeen bhi hay
lakin Quran paak may jo likha us pe aap sawal pooch rhi hain
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
AM sis aap aik din w8 kar sakti hoon?

main aapko INSHAALLAH is ka jawab dhoondh doongi
aur clear kar dungi
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
AM sis aap aik din w8 kar sakti hoon?

main aapko INSHAALLAH is ka jawab dhoondh doongi
aur clear kar dungi
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Islam mein larki ko b pora haq hai apni marzi se shaadi krne ka. Mujeh abhi b yaad hai aik waqiya jo meine masjid mein suna tha.

Aik baar aik aurat Hazrat Mohammad (SAW) k pass ayi thi or us ne kaha tha k meri shaadi meri marzi k khilaaf kra de gyi hai, or uska itna he kehna tha k Hazrat Mohammad (SAW) ne usse ussi waqt kaha beti chalo mein tmhe abhi he tallaq dilwa kar deta hon...

or ye waqiya zahir krta hai k larki ko b pora haq hai apni marzi se shaadi ka, uski marzi b duniya mein mtlb rkhti hai, is itne ahem faisle mein uski raye b zarori hoti hai, agehr wo kisi non-muslim ko pasand krti hai to fir wo kese kisi Muslim se shaadi krke khush reh payegi ?? Islam itna strict nhi jitna usse humare muashreeee ne strict bna dia hai, kuch rules khud se bna liye or jo rules likhe we hein Quran mein unhe or strict krke log bayan krte hein...
Am sisss....................sorry to say k ek musalman larki akbhi kisi gahir muslim ko anhi pasand kar sakti..
Aur jo pasand karti hai aur Allah O Quran ki marzi par apni pasand ko tarjeeh deti hai.kya Wo sach me Allah aur Quran ko chahnewali ya mannewali hai?
 
  • Like
Reactions: Tooba Khan
Jan 4, 2010
14,281
3,264
0
29
Ap k dil mein :D
Am Sissss......apki baton ka mere paas yhi javab hai k....
Beshak Allah tala apne bandon me koi farq nahi rakhta..
usay bhi rizk ata karta hai jo Uski ibadat karte hain Unhe bhi jo Usse munkir hain...
Aaap jab allah aur Quran k against nahi ho toh yh batao k haq aur batil kya hai?
Kya Quran me saaf saaf yh nahi likha k kon haq par hain aur kon Allah ko bhulaye hue hain?
Agar sab ek hota toh na hi Allah Islam bhejta aur na hi Quran..bcz according to you k kisi me bhed bhau nahi sab allah ki makhluq...
suno bahnaa...jisne Allah ka hukum nahi pahchana,jisne Islam k qanoon ko nhi maana,Usse Rishta karna kya jayez hai?Aaap apni waqti pasand aur duniyavi cahr din ki zindagi k liye kisi aise sahks k sath rahna gawara kaise karoge jo is kayenat k Maalik ko hi nahi jaanta?jo quran k hukum ko hi nahi maanta?
Think abut it...............

to kia fir issi liye aik Muslim larki us non.mus ko chor de?? kyunki Quran mein ye likha hai ? Ap mere dil mein nfrt dalne ki koshish kr ri ho ye baaten keh kar k jab wo non.mus manta he nhi is duniya k Rabb ko to kese aik Muslum larki uske sath zindgi guzarne ka faisla kar le ? hahah ye humari apni soch hai sisooo, rabb to non-Muslims ko b utna he deta hai jitna hum Muslims ko deta hai... Or agher aik trah se dekha jaye to non.muslims countries ziyadaaaa taraqqqi kar chuki heinnn as compared to Muslim countries or uski wajah b sirf yahi hai humarii soch bht choti hoti ja ri hai... Dilon mein nfrten rkh kar hum khud ko Muslim ka naam dete heinnn? :s
 
Jan 4, 2010
14,281
3,264
0
29
Ap k dil mein :D

Am sisss....................sorry to say k ek musalman larki akbhi kisi gahir muslim ko anhi pasand kar sakti..
Aur jo pasand karti hai aur Allah O Quran ki marzi par apni pasand ko tarjeeh deti hai.kya Wo sach me Allah aur Quran ko chahnewali ya mannewali hai?
Siso meine bht si larkiyan dekhi hain Norway mein jinho ne non-muslim se shaadi ki hai or bht khush b rehte hein.. Agher Allah Ta'la un se naraz hota to zaror fir un per zawal aa chuka hota, per ye sirf hum insaan ki choti soch hai :( Manti hon k Qurna mein manah kia gya hai per agher larki aisa karti hai to usse Islam se nikala to nhi jata.. aise to Quran mein Muslims ko itni baaton se roka gya hai, chori, chugli and etc etccc, or jo karte hein wo b to Islam se nikale nhi jate haan per ye Allah Ta'la ko nhi psnd or uska kbih na kbih insaan per zawal b aa jata hai... Per Rabb to wohi rehta hai na Allah Ta'la heee....
 
  • Like
Reactions: smart-gangster
Top