IQTIBAS by UMERAH AHMAD

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
IQTIBAS by UMERAH AHMAD

Ba'az dafaa khaamoshi wajood par nahi dil mein utarti hai phir us se zayaada mukammal, khubsoorat or baa maani guftagoo koi or cheez nahi kar sakti or ye guftagoo insaan ki saari zindagi ka haasil hoti hai or is guftagoo ke baad aik doosray se kabhi dobaara kuch kehna nahi parta.

La-Hasil By Umera Ahmed

" Zindagi mein kabhi na kabhi hum us muqam per aa jate hain, jahan sare rishte khatam ho jate hain... wahan sirf hum hote hain aur Allah hota hai,,, Koi maan baap, koi bahan bhai, koi dost nahin hota. Phir humein pata chalta hai k humare pairon k neeche koi zaeen hai na humare sir k ooper koi aasman, bus sirf aik Allah hai jo humein is khala mein bhi thame hueye hai,,, Phir pata chalta hai hum zameen per parhi matti k dhair mein aik zaray ya darakht per lage aik patay se zyada ki wuqat nahin rakhte- Phir pata chalta hai k humare hone ya na hone se sirf humein farq parhta hai,,, Sirf humara kirdaar khatam ho jata hai... Kainat mein koi tabdeeli nahin aati,,, kisi cheez per koi asar nahin parta...
Is k baad humari aqal thikane aa jati hai. "


Peer-e-Kamil (S.A.W.W)

"jis chezze se be-hadd muhababt ho, is k baray ma sochna nahin chahiyea, soch shubhaat ko paida kerti hai aur shubhaa muhabbat ko khatam ker deta ha, tum chahtay ho, tum se meri muhabbat khatam ho jaye?"

Meri Zaat Zara-e-Be'Nishaan



Aap muhabbat zarror karien,Maghar muhabbat kay hasool ki itni khawish na karein.

Aap kay muqadar main jo chez hoo gee woh app ko mill jayee gee,
Magar kisi khawish ko kayee bana kar apnay wajood par phelnay mat dain warna yeh sab say philay app kay IMAAN ko niglay gee.

Pershan honay,Ratoon ko jagna aur saraboon kay pichay baghnay say kisi chez ko muqadar nahi banya ja sakta."


Imaan, Umeed Or Mohabat


"Mein aap se yeh nahin poochon ga k aap ne deen k liye kia chora, Mein sirf yeh poochon ga k aap ne kun chora?? Or yeh sawal is liye keron ga k KHUDA k liye kiye jane wale amal per fakhar k bajaye aap ko pachtawa hai or yeh pachtawa shar se barh ker hota hai. Yeh insan ka her acha amal bhi tabah ker deta hai... Khuda k liye kiye jane wale amal per shuker or phir fakhar kerna chahye k Us ne aap ko aazmaya or aap ne sabit qadmi or istaqamat dikhai.. Lekin agar aap ko pachtana tha to phir aap yeh qurbani na detin,,, Aap bhi saye ka intakhab ker letin... Raste to dono the aap k pass or kisi ne aap ko yaqeenan majboor nahin kiya hoga... Kam az kam Allah ne nahin,,, Us ne to ikhtiyar diya aa ko k intakhab ka haq istma'al kerein... Phir aap ne apne ikhtiyar ka istama'al kiya... Ab yeh pachtawa kun???"


Imaan, Umeed or Mohabat
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ishq insan ko kainat k kisi dosry hissay mein la jata hay. Insan ishq majazi se ishq haqeeqi tak safar tab karta ha jab ishq la-hasil rehta hay ,jab insan jholi bhar bhar kar muhabbat karay or khali dil or hath lay kar phirray..."
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
kuch chehrion ko pehchany main zara bhi dair nahi lagti chahy un say humra koi rishta ho yaan na ho.chahy unhien hum 8 min baad yaan 8 saal baad dehkien.chahay unhien hum nay muhabat say dehka ho yaan nafrat say magar ik bar dehknay kay baad woh chehray damgh main naqsh ho jatay hain.pir dobara kabhi zehan say ohjal nahi hotay

Abhi To Maat Baaqi Hai
 

naeemnaqvi

Newbie
Sep 20, 2011
21
0
0
33
well done

IQTIBAS by UMERAH AHMAD


Ba'az dafaa khaamoshi wajood par nahi dil mein utarti hai phir us se zayaada mukammal, khubsoorat or baa maani guftagoo koi or cheez nahi kar sakti or ye guftagoo insaan ki saari zindagi ka haasil hoti hai or is guftagoo ke baad aik doosray se kabhi dobaara kuch kehna nahi parta.

La-Hasil By Umera Ahmed

" Zindagi mein kabhi na kabhi hum us muqam per aa jate hain, jahan sare rishte khatam ho jate hain... wahan sirf hum hote hain aur Allah hota hai,,, Koi maan baap, koi bahan bhai, koi dost nahin hota. Phir humein pata chalta hai k humare pairon k neeche koi zaeen hai na humare sir k ooper koi aasman, bus sirf aik Allah hai jo humein is khala mein bhi thame hueye hai,,, Phir pata chalta hai hum zameen per parhi matti k dhair mein aik zaray ya darakht per lage aik patay se zyada ki wuqat nahin rakhte- Phir pata chalta hai k humare hone ya na hone se sirf humein farq parhta hai,,, Sirf humara kirdaar khatam ho jata hai... Kainat mein koi tabdeeli nahin aati,,, kisi cheez per koi asar nahin parta...
Is k baad humari aqal thikane aa jati hai. "


Peer-e-Kamil (S.A.W.W)

"jis chezze se be-hadd muhababt ho, is k baray ma sochna nahin chahiyea, soch shubhaat ko paida kerti hai aur shubhaa muhabbat ko khatam ker deta ha, tum chahtay ho, tum se meri muhabbat khatam ho jaye?"

Meri Zaat Zara-e-Be'Nishaan



Aap muhabbat zarror karien,Maghar muhabbat kay hasool ki itni khawish na karein.

Aap kay muqadar main jo chez hoo gee woh app ko mill jayee gee,
Magar kisi khawish ko kayee bana kar apnay wajood par phelnay mat dain warna yeh sab say philay app kay IMAAN ko niglay gee.

Pershan honay,Ratoon ko jagna aur saraboon kay pichay baghnay say kisi chez ko muqadar nahi banya ja sakta."


Imaan, Umeed Or Mohabat


"Mein aap se yeh nahin poochon ga k aap ne deen k liye kia chora, Mein sirf yeh poochon ga k aap ne kun chora?? Or yeh sawal is liye keron ga k KHUDA k liye kiye jane wale amal per fakhar k bajaye aap ko pachtawa hai or yeh pachtawa shar se barh ker hota hai. Yeh insan ka her acha amal bhi tabah ker deta hai... Khuda k liye kiye jane wale amal per shuker or phir fakhar kerna chahye k Us ne aap ko aazmaya or aap ne sabit qadmi or istaqamat dikhai.. Lekin agar aap ko pachtana tha to phir aap yeh qurbani na detin,,, Aap bhi saye ka intakhab ker letin... Raste to dono the aap k pass or kisi ne aap ko yaqeenan majboor nahin kiya hoga... Kam az kam Allah ne nahin,,, Us ne to ikhtiyar diya aa ko k intakhab ka haq istma'al kerein... Phir aap ne apne ikhtiyar ka istama'al kiya... Ab yeh pachtawa kun???"


Imaan, Umeed or Mohabat


---------- Post added at 11:54 AM ---------- Previous post was at 11:53 AM ----------

Nice keep it up
 
Top